Valentine'S Day Haraam In Islam
*Quraan* - Musalman Mardon ko hukm do ki Apni Nigahen kuchh Neechi Rakhein..........Aur Musalman Auraton ko Hukm do ki apni Nigahen kuchh Neechi Rakhein
📕 Paara 18,surah Noor Aayat 30-31
*HADEES* - Ajnabi aurat ko shahwat se dekhne Waalon ki aankh Qayamat ke din aag se bhar di jayegi
📕 Hidaaya,jild 4,safah 424
*HADEES* - Jo gair Aurat aur mard ek doosre ko dekhen to dono par ALLAH ki laanat hai
📕 Mishkat,safah 270
Ye Bhi Padhen👇👇👇
*HADEES* - Huzoor Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya ki agar Ajnabi Aurat par Nazar pad jaaye to Fauran Nazar hata lo ki pahli Nazar maaf hai
📕 Abu daood Sharif Page 292
*HADEES* - Huzoor Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam ne Irshaad farmaya ki Aurat Chhipane ki cheez hai jab wo baahar Nikalti hai to Shaitan use jhaank kar dekhta hai
📕 Tirmizi,jild 1 Page 140
*HADEES* - Jo Aurat khushbu lagakar baahar Nikle jo
jisko iski Khushbu mili to Aisa hai ki jaise Usne Zina karaya
📕 Nisaayi,jild 2, page 240
📕 Tirmizi,jild 2, page 102
*HADEES* - Hazrate faatima zuhra Razi’Allahu Ta-ala Anha farmati hain ki Aurat ke liye sabse Behtarin amal ye hai ki use gair mard na Dekhne paaye
📕 Fatawa razviya,jild 9,safah 28
*HADEES* - Huzoor Sallallahu Ta-ala Alaihi Wassallam irshaad farmate hain ki Aurat ke paas jaane se bacho ek sahabi ne arz ki devar ke paas jaane me kya
hukm hai aapne farmaya ki Devar to maut hai
📕 Tirmizi,jild 1,safah 140
*FUQHA* - Hazrat yahya Alaihissalam se logon ne poochha ki zina ki Ibteda kahan se hoti hai aapne farmaya aankh se
📕 Kimiyaye saadat,safah 498
*FUQHA* - Gair mahram ka ek doosre ke saath tanhayi Ikhtiyar karna aur ek Doosre ko choona gunahe sageera hai lekin agar iska inkaar karta hai jab to maaz ALLAH kaafir hai
📕 Almalfooz hissa 4,safah 31
*ⓩ Aap soch rahe honge ki main Mohabbat ke topic par ye kya bayaan kar raha hoon,to Azizo
ye Shariyat ka hukm hai jo maine bayaan kar diya ab agar koi
in sabse bachte hue kisi se muhabbat karta hai to yaqinan usko aashiq
kahenge,
buzurgaane deen farmate hain ki ishq mijaazi ishqe haqiqi tak pahunchne ki seedhi hai
isko yun samajhiye ki jisko uski Mohabbat Rab ke Qareeb karde to Mohabbat hai aur jisko uski Mohabbat rab se door karde to ye Mohabbat nahin balki Aawarapan hai
ab ishqe Mijaazi Yaani Duniya Waalon ki Muhabbat maslam maa ki Muhabbat baap ki Muhabbat biwi ki Muhabbat bachchon ki
Muhabbat dosto azizo rishtedaaro se Mohabbat ye sab ishqe mijaazi hai aur yahi Mohabbat agar shariyat ke daayre me rahkar ki jaaye to isi Mohabbat ko ibaadat kahte hain
Aur ispar mutlakan sawaab hai maslan biwi bachchon se pyaar karte hain magar namaz roze aur deegar ibadaton
ka poora poora khayal rakhte hain
jab to unse Mohabbat karna bhi ibaadat kahlayegi lekin agar shariyat ka hukm todte hain maslan unko kamakar
khilaane me is qadar Masroof ho gaye ki na to Namaz ka Khayaal raha aur Deen ka paas jab to ye muhabbat muhabbat nahin balki Jahannam me jaane ka raasta hai
Aaj ke is daur me agar kisi cheez ki sabse Zyadah Kasrat hai to wo isi naam nihaad Mohabbat ki hai,
shayad hi koi aisa ho jo ingage ho warna sab hi busy hain aur apni nazar me sab hi aashiq hain
ek mard ka aurat se Mohabbat karna ye ek fitri baat hai lekin Shariyat ke kuchh usool hain aur jahan tak main samajhta hoon Shayad 1 laakh me 1 bhi in usoolo ko poora nahin karta
ek gair ladki ko dekhna Haram usse baat karna haraam usse milna julna haraam jab itna saara haraam kaam karenge to muhabbat kya khaak rahi haan
kisi par ek nazar pad gayi aur usi ek nazar me kisi ko ishq ho gaya to ye jayaz magar usool fir bhi wahi ki na to mil sakte hain aur naa baat kar sakte hain chhoona chhaana to bahut door ki baat hai
shariyat me ek Aashiq ki kya Pahchan batayi gayi hai padh lijiye aur fir us paimane par Apne Aapko Rakhkar dekhiye ki kya aap Aashiq hain*
*AASHIQUE* mel milaap se door rahta hai
*AASHIQUE* har waqt Khyalon me Dooba rahta hai
*AASHIQUE* hamesha chup chaap rahta hai
*AASHIQUE* jab use dekho to nazar nahin aata
*AASHIQUE* jab usse baat karo to baat nahin karta
*AASHIQUE* jab use bulao to sunta nahin
*AASHIQUE* Musibat par ghumgeen nahin hota
*AASHIQUE* bhook pyaas ki parwah nahin karta
*AASHIQUE* duniya ke liye duniya waalo se ladta nahin
*AASHIQUE* har waqt Khuda ki Baargah me iltijayen karta hai
📕 Muqashifatul quloob, page 87
*ⓩ Agar koi is zamane me aisa hai
To wo aur uska ishq dono sar Aankhon par aur aise hi Aashiqon ko Shahadat ka Martaba milne ki riwayat aayi hai
Magar aaj jo log valentine's day manate hain kya wo shariyat ke usool ke Mutabik Mohabbat karte hain aur kya wo sachche aashiq hain
agar hain to kyun sadkon aur baazaro me ek doosre ka haath thaame hue behayaayi karte nazar aate hain
aur agar nahin hai aur Yaqinan Nahin hain to Maan lein ki wo Mohabbat nahin balki ek Haraam Kaam kar rahe hain aur bila shubah wo log khuda ke mujrim hain aur unhein apne is aamaal se toubah karni hogi
Allah Sabhi Bhaiyon behno Ko Shariyat
par Amal karne ki toufiq Ataa farmaye Aameen
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe