Ghair-muslim ke tehwaar manaana Kaisa

Ghair-muslim ke tehwaar manaana Kaisa

Ghair-muslim ke tehwaar manaana Kaisa


Ghair-muslim ke tehwaar manaana ya un ke tareeqe ya rasm apnaana ya sahi maanna ya un ki ta’azeem karna ya mubarak-baad dena ye kufr hai.
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 208 :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا ادْخُلُوا فِي السِّلْمِ كَافَّةً وَلَا تَتَّبِعُوا خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ ۚ إِنَّهُ لَكُمْ عَدُوٌّ مُبِينٌ

Aye Eimaan walo, Islaam me pure daakhil ho jaao aur shaitaan ke raasto par na chalo, Beshak wo tumhara khula dushman hai.

O you who have believed, Enter into Islaam completely [and perfectly] and do not follow the footsteps of Shaitaan. Indeed, he is to you a clear enemy.


Hadees e Nabawi :

(1) Tum me se koi shakhs us waqt tak kaamil mo’min nahi ho sakta jab tak ke uski khwaahishaat us deen ke taabe’ na ho jaaye jise main lekar aaya hu.
(Bukhari)

(2) Jo shakhs jis qaum ki naqal karega (mushaabehat ikhtiyar karega) us ka hashr usi qaum ke saath hoga.
(Abu Daawūd, Hadees -4031)


ALLĀH ta’ala Qur’an majeed me farmata hai :
Aye mere mo’min bando, hamesha islaami tareeqa apnao aur har amal shariate islaam ke mutaabik karne ki puri koshish karo. Ya’ni Ibaadaat me, tahewaar me, shaadi me aur dusre khushi ke mauqe par, maiyat me, milaad ki majlis me ya juloos me, kisi se mulaqat me aur har mauqe par Qur’an aur Sunnat o hadees par amal karte raho ke isi me kaamyaabi hai.

Shaitaan hamesha musalmano ko nafs ke zariye behkata hai aur kai baar hame lagta hai ke Gair-muslimo ke tehwaar aur tareeqa achha hai.

Magar hame ye yaad rakhna chahiye ki Shaitaan mo’min ka khula dushman hai aur har waqt use behkakar kar shariate islaam se door karke gunah ki taraf le jaane ki koshish karta hai. Jab koi insaan uske makro fareb me fanskar gunah karta hai to shaitaan khush hota hai.

Aur jab koi banda apne eimaan ko bachate hue ALLĀH ki raza ke liye ishqe Rasool sallallahu alaihi wa sallam ke saath nek amal karta rehta hai to ALLAH ta’ala raazi hota hai aur use deen wa dunya ki bhalai ata farmata hai.

Mo’mino ko chahiye ke hamesha islaami tareeqa apnaayen aur ghair-muslim ke tehwaar manane se aur us me saamil hone se door rahen.
Chahe wo New Year ho ya Christmas Ya Good Friday, Valentine’s Day ya April Fool ho, Deewali ho ya Holi, Janmastami ho ya Raam Naum, Mahawir jainti ho ya Paryusan, Cheti chaand ya Guru Naanak jainti ho, ya Nouruz ya Khordad Saal ya Pateti ya aur koi bhi gair-muslim ke tehwaar ho us me saamil na ho.




ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur sab ke eimaan ki hifaazat farmae aur hidaayat farmae aur in baato ko samajhkar yaad rakhne ki aur us par amal karne ki aur dusro ko samjhane ki taufiq ata farmae aur nek amal karne ki aur Gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae.
Aameen.