Rishtedaron ke huqooq

Rishtedaron ke huqooq

Rishtedaron ke huqooq


Allah Ta'ala ne Qura'an Shareef mein aur Nabi Kareem ﷺ
ne Hadees Shareef mein bar-bar rishtedaro'n ke sath 
ahsaan aur achhe bartao ka hukm farmaya hai

Lihaaza inlogo ke huqooq ko bhi adaa karna har Musalman Mard wa Aurat par laazim wa zaruri hai. Khaas taur par in chan'd baato'n par Amal krna to laazmi hai.


1 - Agar apne azeez-o-aqriba
Garib wa mohtaaz ho aur khane bnane ki taaqat na rakhte ho to apni taaqatbhar aur gunja'ish ke Mutaabiq unki maali madad karte rahe'n. 

2- kabhi-kabhi rishtedaro'n ke yahan aate-jaate rahe aur unke gham wa khushi mein hamesha shareeq rahen

3- Khabardar Khabardar... hargiz-hargiz apne rishtedaro'n se 
kat-e-ta'alluq karke rishte ko na Toden
Rishtedari Khatam Kar dene 
boht bada gunaah hai Nabi Kareem ﷺ ne farmaya hai ki 

 " Ya'ni apne rishtedaro'n se 
kat-e-ta'alluq krne wala Jannat mein nahi daakhil hoga."


 Aur rishtedaro'n ki taraf se koi takleef bhi pohnch jaye to 
sabar karna aur fir bhi unse mel-jol rakhna aur unse ta'alluq 
bar'qaraar rakhna bhot bada sawaab ka kaam hai. 

Hadees Shareef mein hai ki jo tumse ta'alluq tode tum usse 
mel-milaap rakho aur jo tum par zulm kare tum usko mu'aaf krdo Aur 
jo tumhare sath bad'sulooqi kare tum uske sath nek sulooq krte rho.

Aur ek Hadees Shareef mein yeh bhi hai ki

 "Rishtedaro'n ke sath achha sulooq krne se aadmi apne ahl-o-ayaal ka mehboob ban jaata hai
Aur uski maaldari badh jaati hai. Aur uski umar mein daraazi aur barkat hoti hai."


In Hadeeso'n se yeh sabaq milta hai ki rishtedaro'n ke sath nek sulooq krne ka kitna bada ajar-o-sawaab hai aur duniya wa aakharat mein bhi iske fawa'id aur mnafe'aa kis qadar zyada hain. 

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Bachcho-ke-huqooq
► Beti ke Huqooq
► Maa-Baap-ke-Huqooq


Aur rishtedaro'n ke sath bad'sulooqi aur unse ta'alluq kaat lene ka gunaah kitna bhayaanak aur khaufnaak hai

aur dono jahan me iska nuqsaan aur bawaal kis qadar zyada khatarnaak hai
Isliye har Musalman Mard aur Aurat pr laazim h ki apne rishtedaro'n ke huqooq adaa krne aur unke sath achha bartao aur nek sulooq krne ka khaas taur pr dhyaan rkhe

Yaad rakho ki shari'at ke ahkaam pr amal krna hi Musalman k liye dono jahan mein salaah wa falaah ka samaan hai

Shari'at ko chhod kr koi bhi Musalman dono jahan mein
Kamyab nahi Ho skta.

Jo log zara-zara si baat pr apni behno, betiyo'n ,phuphiyo'n , khalao'n , chacha,mamuo'n ,bhateejo , 
bhaanjo se yeh kehkr kat-e-ta'alluq kr lete hain
 ki aaj se mein tera rishtedar nhi hun aur tu bhi  
mera rishtedar hai.
 Aur salaam-kalaam milna-julna sab band krdete hain yhan tk ki rishtedaro'n ki shadi ghami ki taqreebat ka bhi boycotts krdete hain. 

Hadd hogyi baad bad'naseeb apne kareebi rishtedaro'n ke janaaze aur kafan-dafan mein bhi shareeq nahi hote to in hadeeso'n ki roshni mein khud hi faisla karo ki yeh log kitne bad'naseeb, hirma'naseeb aur gunaahgaar hain
(tauba-tauba نعوذ با للہ)



New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣