Maa Baap Ke Huqooq

maa-baap-ke-huqooq-har-mard-aurat-par farz hai kya kya hai ye Janiye


Maa Baap Ke Huqooq


har mard Aurat Par Apne Maa baap ke huqooq Adaa karna Farz hai
khaskar Niche likhe hue Huqooq ka Adaa Karna behad Zaroori hai

Khabardar khabardar
khabardar....!!

1> hargiz hargiz Apne kisi Qaul wa fa'il se Maa-baap ko kisi kism ki koi takleef na dei'n
Agarche maa-baap Aulaad pr kuchh zyaadti bhi  kren
Magar fir bhi Aulaad pr farz hai ki
wo hargiz.. hargiz kabhi bhi aur kisi bhi haal me maa-baap ka dil na dukhayei'n




2> Apni har baat aur apne har Amal se maa-baap ki taazeem wa takreem krei'n aur hamesha unki izzat wa hurmat ka khyal krei'n.

3> Har jayez kaam me maa-baap ke hukmo'n ki farmabardaari krei'n

4>  Agar maa-baap ko koi bhi haajat ho to jaan-o-maal se unki Khidmat krei'n.

5>  Agar maa-baap apni zarurt se Aulaad ke maal mei'n se koi lelei'n  to
khabardar khabardar
hargiz-hargiz bura na maane

Na izhaar-e-narazgi krei'n
Balki ye samjhei'n mei'n aur mera maal sab maa-baap ka hai

*Hadees Shareef me h Huzure Aaqdas صل الله عليه وسلم ne eik shakhs se ye farmaya*
Tu aur tera maal sab tere baap ka hai


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Bachcho-ke-huqooq
► Beti ke Huqooq
► Qazaa-namaaz-ka-bare-me-masail


6> Maa-baap ka inteqaal ho jaye to aulaad par maa-baap
ka ye haq hai

ki unke liye maghfirat ki dauei'n karte rahe aur apni nafli ibaadto'n aur khair wa-khairaat ka sawaab unko pahunchate rahe

7> Maa-baap ke  dosto'n aur unse milne walo ke sath ehsaan aur achha bartao  krei'n.

8> Maa-baap ke zimme jo Karz ho usko adaa kare ya jin kaamo ki wo waseeyat kar gaye hai'n unki waseeyat par amal krei'n

9> Jin kaamo'n se maa-baap ko takleef hoti thi unki wafaat ke baad bhi wo kaam na krei'n ki isse unki rooh ko takleef pahunchegi

10> Kabhi-kabhi maa-baap ki qabro'n ki zyarat ke liye  bhi jaya krei'n
Unki Kabron par fatiha padhei'n Salaam
karei'n aur unke liye duae maghfirat krei'n isse maa-baap ki Rooh ko khushi hogi aur fatiha ka sawaab farishte noor ki thaali me rakhkr unke saamne paish kreinge

aur Maa-baap khush hokar apni aulaad ko duai'n denge


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Namaze-Janaza-Mai-Takbir-Ke-Waqt-Aasman-Ki-Taraf-Munh-Uthana
► Janaze-Ko-Kandha-Dene-Ka Tareeqa


Dada-dadi,nana-nani,chacha-phuphi,khala-mamu ke  huqooq bhi maa-baap hi ki tarah hai
yun bade bhai ka haq bhi baap hi jesa hai

Chunache
 *Hadees Shareef me hai*
"Bade bhai ka haq chhote bhai par aisa hai jaise ki baap ka haq bete par hai."


 Is zamane me ladke aur ladkiyan apne maa-baap ke huqooq se bilkul  jaahil aur ghafil hai'n

Unki ta'azeem-o-tehreem aur farmabardari wa khidmat-guzari se munh modey hue hai'n

balki kuchh to itne bade bad'bakht aur na'lahak  hai'n
ki
maa-baap ko apne qaul-o-fai'l se azziyat aur takleef dete hai'n Aur isi tarah gunahe-kabeera mei'n mubtila hokar qahre-qahhar wa gazbe-jabbaar me giraftaar aur azaab-e-jahannum ke haqdar ban rhe hai'n.


*Khoob yaad rakho*
tum apne maa-baap ke sath achha ya bura jo bhi sulooq kroge tumhari Aulaad bhi tumhare sath waisa hi sulooq kregi

Aur yeh bhi yaad rakho maa-baap ke sath achha sulooq karne se rizq mei'n taraqqi aur umar mei'n khair-o-barkat naseeb hoti hai

Yeh Allah ta'al ke sachhe *Rasool صل الله تعالى عليه وآله وسلم*
ka farmaan hai jo hargiz-hargiz kbhi  Ghalat nhi ho sakta
Is baat par imaan rakho ki

Allah Ta'ala Hamen Apne Maa baap
Ka Sachcha Farmabardar Banaye
Aameen

(Reference
Bahare-Shariyat
Page no.93-95)

New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣