TAKBIRE TASHRIQ PADHNE KA TAREEQA

TAKBIRE TASHRIQ PADHNE KA TAREEQA

TAKBIRE TASHRIQ PADHNE KA TAREEQA



(Baqar Eid Ke Dino Me Jama'at Ke Baa'd
Takbir Padhi Jaati Hai Uske Ahkaam)



Chand ki 9vi Zul Hijjatil Haram Ki Fajar Se 13vi tarikh Ki Asar Tak
Paancho Waqt Ki Farz Namaze Jo Masjid Ki
Jma'ate Mustahabba Ke Saath Ada Kee Gaee
Un Me Ek Baar Buland Aawaz Se Takbir Kahna Wajib Hai
Aur 3 Baar Afzal
Ise Takbire Tashriq Kahte Hai
Aur Voh Yeh Hai

ARABIC MEIN TAKBEE

اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ لَا إلَهَ إلَّا اللَّهُ وَاَللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ وَلِلَّهِ الْحَمْدُ

ROMAN MEIN TAKBEER

"Alllahu Akber Allahu Akber La'ilaaha illallahu Wallahu Akber Allahu Akber Wala ilaahil Hamd"

(BAHAARE SHARI'AT Jild 1 Page 779
TANVIRUL ABSAAR Jild 3 Page 71)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► TAKBIRE TASHRIQ PADHNE KA TAREEQA
► HALAAL JAANWAR KI 22 CHIZE KHANA MAN'A HAI
► QURBANI KE FAZAIL MASAIL AUR QURBANI KARNE KA TAREEQA

Takbire Tashriq Salam Fairne Ke Baa'd
Fauran Kehna Wajib Hai
Yaa'ni Jab Tak Koi Esa Feal(kaam) Na Kiya Ho Ki
Us Par Namaz Ki Bina Na Kar Sake Maslan
Agar Masjid Se Baahar Ho Gaya Ya Qasdan Wuzu Tod Diya
Ya
Chahe Bhul Kar Hi Klam Kiya Toh Takbir Saaqit Ho Gaee
Aur
Bila Qasad Wuzu Tut Gaya Toh Kah Ley
(DURRE MUKHTAR wa RADDUL MUHTAAR Jild 3 Page 73)


Muqim Ne Agar Musafir Ki Iqtida Kee Toh Muqim Par Wajib Hai
Agarche Is Musafir Imam Par Wajib Nahi
(DURRE MUKHTAR wa RADDUL MUHTAAR Jild 3 Page 74)

Nafal, Sunnnat Aur Vitr Ke Baa'd Takbir Wajib Nahi
(BAHAARE SHARI'AT Jild 1 Page 785
RADDUL MUHTAAR Jild 3 Page 73)


Jumuaa Ke Baa'd Wajib Hai
Aur
Namaze (Baqar) Eid Ke Baa'd Bhi Kah Ley
(BAHAARE SHARI'AT Jild 1 Page 785
RADDUL MUHTAAR Jild 3 Page 73)


Masbuk (Jis Ki 1 Ya Zaaid Rak'ate Faut Huee Ho)
Par Takbir Wajib Hai Magar Jab Khud
Slam Faire Us Waqt Kahe
(RADDUL MUHTAAT Jild 3 Page 76)


Munfarid (Yaa'ni Tanha Namaz Pdhne Wale) Par Wajib Nahi
(AL JAUHARATUN NAYYIRAH Page 122)
Magar Kah Ley Ki Saahibain
(Yaa'ni Imam Abu Yusuf Aur Imam Muhammad (رحمة الله تعالى عليه)
Ke Nazdik Is Par Bhi Wajib Hai
(BAHAARE SHARI'AT Jild 1 Page 786)

Eid Ke Mut'allik Msgs Padhne Ke Liye Is Link Par Click Kre👇👇
► QURBANI KE FAZAIL MASAIL AUR QURBANI KARNE KA TAREEQA


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣