QURBANI KE FAZAIL MASAIL AUR QURBANI KARNE KA TAREEQA

QURBANI KE FAZAIL MASAIL AUR QURBANI KARNE KA TAREEQA

QURBANI KE FAZAIL MASAIL AUR QURBANI KARNE KA TAREEQA



HADIS-
Insaan Baqar Eid Ke Din Koi Esi Neki Nahi Karta
Jo ALLAH (ﷻ) Ko Khoon Bahaane Se Ziyada Pyari Ho,
Yeh Qurbani Qiyaamat Me Apne Singo Baalo
Aur Khuro Ke Saath Aaegi
Aur Qurbani Ka Khoon Zamin Par Girne Se Pahale
ALLAH (ﷻ) Ke Haa Qabul Ho Jata Hai
Lihaza
Khush Dili Se Qurbani Karo
(TIRMIZI Jild 3 Page 162 Hadis 1498)


PUL SIRAAT KI SUWARI:

Hazrate Allama Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehalvi
(رحمة الله تعالى عليه)
Farmate Hai: Qurbani Apne Karne Wale Ke
Nekiyo Ke Palle Me Rakhi Jaegi Jis Se
Nekiyo Ka Palada Bhaari Hoga
(ASHI'ATUL LAM'AAT Jild 1 Page 654)

Hazrate Sayyiduna Allama Ali Qaari
(رحمة الله تعالى عليه)
Farmate Hai: Fir Uske Liye Suwari Banegi Jis Ke Zarie
Yeh Shakhsh Ba  Aasaani Pul Siraat Se Guzrega
Aur Us (Jaanwar) Ka Har Uzav Malik
(Yaa'ni Qurbani Pesh Krne Wale) Ke Har Uzav
(Ke Liye Jahnnam Se Aazadi) Ka Fidya Banega
(MIRQATUL MFATIH Jild 3 Page 574 Tahatul Hadis 1470
MIR'AAT Jild 2 Page 375)


HAR BAAL KE BADLE 1 NEKI:

HADIS-
Qurbani Karne Wale Ko Qurbani Ke Jaanwar Ke
Har Baal Ke Badle Me 1 Neki Milti Hai
(TIRMIZI jild 3 Page 162 Hadis 1498)


JAHNNAM KI AAG SE ROK-

HADIS-
Jis Ne Khush Dili Se Taalibe Sawab Hokar Qurbani Kee,
Toh Voh Aatashe Jahnnam Se Hijaab (Yaa'ni Rok) Ho Jaegi
(AL MU'AJMUL KABIR Jild 3 Page 84 Hadis 2736)


CAPABLE HONE KE BA VUJUD QURBANI N KRE TOH?:

HADIS-
Jis Shakhs Me Qurbani Krne Ki Vus'at Ho
Fir Bhi Voh Qurbani N Kre Toh Voh Hmari
Eidgaah Ke Qarib N Aae
(IBNE MAAJAH Jild 3 Page 529 Hadis 3123)

Jo Log Qurbani Ki Istita'at (Yaa'ni Taaqat)
Rakhne Ke Ba Vujud Apni Wajib Qurbani Ada Nahi Krte
Unke Liye Lamahae Fikriyya Hai


KYA KARZ LEKR BHI QURBANI KRNI HOGI?:

Agar Kisi Par Qurbani Wajib Hai Aur Us Waqt
Uske Paas Rupey Nahi Hai Toh Karz Lekar
Ya
Koi Chiz Farokht Kar Ke Qurbani Kre
(FTAWA AMJDIYYA Jild 3 Page 315)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Ruhaani Ilaaj Quran Se
► Dini Knowledge
► Nabiyon Ka Bayaan


QURBANI KE AHAM TARIN MSAIL:

Qurbani Karne Wale Ise Zarur Pdhe
ان شاء اللہ
Kaafi Maa'lumaat Hansil Hogi


Har Baalig, Muqim, Musalman Mard Wa Aurat,
Malike Nisab Par Qurbani Wajib Hai
(AALMGIRI Jild 5 Page 292)


Baa'z Log Pure Ghar Ki Taraf Se Sirf  1 Bakra Qurban Karte Hai
Haala Ki
Baa'z Awqaat Ghar Ke Kaee Afraad Saahibe Nisaab Hote Hai
Aur
Is Bina Par Uoon Saaro Par Qurbani Wajib Hoti Hai
Uoon Sab Ki Taraf Se Alag Alag Qurbani Kee Jae
Ek Bakra Jo Sab Ki Taraf Se Kiya Gaya
Kisi Ka Bhi Wajib Ada N Huva Ki Bakre Me
1 Se Ziyada Hisse Nahi Ho Skte
Kisi 1 Tey Shuda Fard Hi Ki Taraf Se Bakra Qurban Ho Skta Hai


Gaay (Bhes) Aur Uoont Me 7 Qurbaniya Ho Skti Hai
(AALMGIRI Jild 5 Page 304)


Na Baalig Ki Taraf Se Agarche Wajib Nahi
Magar Kar Dena Behtar Hai (Aur Ijaazat Bhi Zaruri Nahi)
Baalig Aulad Ya Zauja Ki Taraf Se Qurbani Krna Chahe
To Un Se Ijaazat Talab Kre
Agar Uoon Se Ijaazat Liye Bigair Kr Dee To
Unki Taraf Se Wajib Ada Nahi Hoga
(AALMGIRI jild 5 page 293
BAHAARE SHARI'AT jild 3 page 428)

Ijaazat 2 Tarah Se Hoti Hai
1-SRAAHATAN
Maslan In Me Se Koi Vaajeh Taur Par Kah De Ki
Meri Taraf Se Qurbani Kr Do

2-DLAALATAN (UNDER STOOD)
Maslan Yeh Apni Zauja Ya Aulad Ki Taraf Se Qurbani Krta Hai
Aur
Unhe Is Ka ilm Hai Aur Voh Raazi Hai
(FTAWA AHLE SUNNAT gair Matbuaa)


Qurbani Ke Waqt Me Qurbani Krna Hi Lazim Hai
Koi Dusri Chiz Is Ke Qaaim Mqam Nahi Ho Skti
Maslan Qurbani Ke Bakra Ya Us Ki Kimat
Sadqa (Khairaat) Kr Dee Jae Yeh Na Kaafi Hai
(AALMGIRI jild 5 page 293
BAHAARE SHARI'AT jild 3 page 335)

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Islami Masail
► Auraton ke MasaiL
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL

QURBANI KE JAANWAR KI UMR:

Uoont 5 Saal Ka,Gaay 2 Saal Ki, Bakra 1 Saal Ka
(Is Me Bakri, Dumba, Dumbi, Aur Bhed
(Nar Wa Mada) Dono Shamil Hai)

Is Se Km Umr Ho To Qurbani Jaiz Nahi
Ziyada Ho To Jaiz Balki Afzal Hai
Haa
Dumba Ya Bhed Ka 6 Mahine Ka Bchcha
Agar Itna Bda Ho Ki Dur Se Dekhne Me
Saal Bhar Ka Maa'lum Hota Ho To Uski Qurbani Jaiz Hai
(DURRE MUKHTAAR Jild 9 Page 533)
Yaad Rakhiye!
Mutlaqan 6 Maah Ke Dumbe Ki Qurbani Jaiz Nahi,
Is Ka Itna Farba (Yaa'ni Tagada)
Aur
Qad Aavar Hona Zaruri Hai Ki Dur Se
Dekhne Me Saal Bhar Ka Lage
Agar 6 Maah Balki Saal Me 1 Din Bhi Km Umr Ka
Dumbe Ya Bhed Ka Bchcha Dur Se Dekhne Me
Saal Bhar Ka Nahi Lgta To Uski Qurbani Nahi Hogi


Qurbani Ka Jaanwar Be Aib Hona Zaruri Hai
Agar Thoda Sa Aib Ho
(Maslan Kaan Me Chira Ya Suraakh Ho) To Qurbani Makruh Hogi
Aur
Ziyada Aib Ho To Qurbani Nahi Hogi
(BAHAARE SHARI'AT Jild 3 Page 340)


AIBDAAR JAANWARO KI TAFSIL JIN KI QURBANI NAHI HOTI
>>> Esa Paagal Jaanwar Jo Chrta N Ho,
>>> Itna Kmzor Ki Haddiyo Me Magz N Rahaa,
(Is Ki Alaamat Yeh Hai Ki Voh Duble  Pan Ki Vajah Se Khda N Ho Ske)
>>> Andha Ya Esa Kana Jis Ka Kana Pan Zaahir Ho,
>>> Esa Bimar Jis Ki Bimari Zaahir Ho,
(Yaa'ni Jo Bimari Ki Vajah Se Chara N Khaae)
>>> Esa Langda Jo Khud Apne Paau Se
Qurban Gaah Tak N Ja Ske,
>>> Jis Ke Paidaishi Kaan N Ho Ya 1 Kaan N Ho,
>>> Vahashi (Yaa'ni Jangali) Jaanwar Jaise Nilgaay
Ya Khunsa Jaanwar (Yaa'ni Jis Me Nar Wa
Mada Dono Ki Alaamate Ho)
Ya Jallala Jo Sirf Galiz Khata Ho
>>> Ya Jis Ka 1 Paau Kaat Liya Gaya Ho,
>>> Kaan, Dum Ya Chakki Ek Tihaai (1/3) Se Ziyada Kte Hue Ho
>>> Naak Kti Huee Ho,
>>> Daant N Ho (Yaa'ni Jhad Gae Ho),
>>> Than Kte Hue Ho Ya Khushk Ho
In Sab Ki Qurbani Na Jaiz Hai
Bakri Me 1 Than Ka Khushk Hona
Aur
Gaay,Bhes Me 2 Ka Khushk Hona "Na Jaiz"
Hone Ke Liye Kaafi Hai
(DURRE MUKHTAAR Jild 9 Page 535,
BAHAARE SHARI'AT Jild 3 Page 340)


Jis Ke Paidaishi Sing N Ho Uski Qurbani Jaiz Hai
Aur Agar Sing The Magar Tut Gae,
Agar Jad Samet Tute Hai To Qurbani Nahi Hogi
Aur
Sirf Upar Se Tute Hai Jad Slaamat Hai To Ho Jaegi
(AALMGIRI Jild 5 Page 297)


Behtar Yeh Hai Ki Apni Qurbani Apne Haath Se Kre
Jab Ki Achchhi Tarah Zabah Krna Janta Ho
Aur
Agar Achchhi Tarah N Janta Ho To Dusre Ko
Zabah Krne Ka Hukm De Magar Is Surat Me
Behtar Yeh Hai Ki Waqte Qurbani Vahaa Haazir Ho
(AALMGIRI Jild 5 Page 300)


Dusre Se Zabah Krvaya Aur Khud Apna Haath Bhi
Chhuri Par Rakh Diya Ki Dono Ne Mil Kar Zabah Kiya
To Dono Par BISMILLAH Kahna Wajib Hai
Ek Ne Bhi Jaan Bujh Kar Chhor Dee
Ya
Yeh Khyaal Kar Ke Chhor Dee Ki Dusre Ne

Kah Lee
Mujhe Kahne Ki Kya Zarurat,
Dono Surto Me Jaanwar Hlaal N Huva
(DURRE MUKHTAAR Jild 9 Page 551)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► TAKBIRE TASHRIQ PADHNE KA TAREEQA
► HALAAL JAANWAR KI 22 CHIZE KHANA MAN'A HAI
► QURBANI KE FAZAIL MASAIL AUR QURBANI KARNE KA TAREEQA

JAANWARO PAR RAHAM KI APIL:

(Qurbani Krne Wale Aur Qassaab Hazrat Ise Zarur Pdhe)

"Bade Jaanwar" Vgaira Ko Girane Se Pahle Hi
Qible Ka T'ayyun Kar Liya Jae,
Litane Ke Baa'd Bil Khusus Pathrili Zamin Par Ghasit Kar
Qibla Rukh Krna Be Zban Jaanwar Ke Liye
Sakht Aziyyat Ka Baais Hai
Zabah Krne Me Itna N Kaate Ki Chhuri
Gardan Ke Mohare (Haddi) Tak Pahunch Jae Ki
Yeh Be Vajah Ki Taklif Hai

Fir
Jab Tak Jaanwar Mukammal Taur Par Thanda N Ho Jae
N Uske Paau Kaate
N Khaal Utare,
Zabah Kar Lene Ke Baa'd Jab Tak Rooh N Nikal Jae
Chhuri Kte Hue Gale Par Mas (Touch) N Kre
N Hi Haath
Baa'z Qassab Jald "Thanda" Krne Ke Liye Zabah Ke Baa'd
Tadapte "Bade Jaanwar" Ki Gardan Ki Zinda Khaal
Udhed Kar Chhuri Ghonp Kar Dil Ki Rage Katte Hai,

Isee Tarah Bakre Ko Zabah Krne Ke Fauran Baa'd
Bechaare Ki Gardan Chatkha Dete Hai,
Be Zbano Par Is Tarah Ke Mjalim N Kiye Jae
Jis Se Ban Pade Uske Liye Zaruri Hai Ki Jaanwar Ko
Bila Vajah Iza Pahunchane Wale Ko Roke
Agar Ba Vujude Qudrat Nahi Rokega Toh
Khud Bhi Gunaahgaar Hoga

"Bahaare Shari'at" Jild 3 Par Hai:
"Jaanwar Par Zulm Krna Zimmi Kafir Par
(Ab Dunya Me Sab Kafir Harabi Hai) Zulm Krne Se Ziyada Bura Hai
Aur
Zimmi Par Zulm Krna Muslim Par Zulm Krne Se Bhi Bura Hai
Kyu Ki Jaanwar Ka Koi Mueen Wa Madadgaar
ALLAH Ke Siva Nahi Is Garib Ko Is Zulm Se Kaun Bchaae"
(DURRE MUKHTAAR wa RADDUL MUHTAAR Jild 9 page 662)

Zabah Krne Ke Baa'd Rooh Niklne Se Qabl (Pahle)
Chhuriya Chla Kar Be Zban Jaanwaro Ko
Bila Vajah Taklif Dene Walo Ko Dar Jana Chahiye
Kahi Mrne Ke Baa'd Azaab Ke Liye Yehi Jaanwar
Musallat N Kar Diya Jae

Kitaab "Jahnnam Me Ley Jane Wale Aa'maal"
Jild 2 Safahaa 323 Par Hai:
Insaan Ne Naahq Kisi Chaupaae Ko Mara
Ya Use Bhuka Pyasa Rakha Ya Us Se Taaqat Se Ziyada
Kaam Liya Toh Qiyaamat Ke Din Us Se Usi Ki Misl
Badla Liya Jaega Jo Is Ne Jaanwar Par Zulm Kiya
Ya Use Bhuka Rakha

Eid Ke Mut'allik Msgs Padhne Ke Liye Is Link Par Click Kre👇👇
► QURBANI KE FAZAIL MASAIL AUR QURBANI KARNE KA TAREEQA


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣