ROZAH TODNE WALI CHIZEN
MAS'ALA
Khane Pine Ya Jima-a( sex ) karne Se Roza Toot Jata Hai
Jabki Rozedar Hona Yaad Ho
Aur Agar Rozedar Hona Yaad Na Raha Aur Bhool Kar Kha Pi Liya Ya Jima-a Kar Liya Toh Roza Nahin Toota
( Fatawh Hindiyah Kitabul Saum Jild1 Page: 202 )
MAS'ALA
Hukka Bidi Cigrate Churat sigaar Pine Se Rozah Toot Jata Hai
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 5 page 117 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Rozah-Ke-Masail
° Rozah-Todne-Wali-Chizen
° Roza-Kisse-Nahi-Totta
° Kab-Roza-Chhor-sakte-hain
ROZAH TODNE WALI CHIZEN
MAS'ALA
Daton Mein Koi Chize Ruki Hui Thi Chaney Barabar Ya Usse Ziyadah Thi
Usey Kha Liya Ya Chaney Se Kam Hi Thi Magar Usko Munh Se Nikal Kar Fir Kha Gaya Toh Roza Toot Gaya
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum Jild 1 Page 202 )
MAS'ALA
Nathnon Me Dawa Chadhai Ya Kaan ( Ear ) Mein Tel Dala
Ya Tel Chala Gaya Toh Roza Toot Gaya
Aur Agar Paani Kaan Mein Dala
Ya Chala Gaya Toh RoA Nahin Toota
Jadeed Tahqeek ( Latest Research ) Ke Mutabiq Kaan Mein Manfaz Na Hone Ki Bina Par Roza Nahin Tootega
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum Jild Page 204 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Ghusal-Ka-Tareeqa
° Wuzu-Ka-Tareeqa
ROZAH TODNE WALI CHIZEN
MAS'ALA
Kulli Karne Mein Bila Qasd Pani
Halaq Se Nichey Chala Gaya Ya
Naak Mein Pani Chadha Raha
Tha
Bila Qasd Pani Dimagh Mein Chadh Gaya Toh Roza Toot Gaya
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum Jild 1 Page 202 )
MAS'ALA
Dusre Ka Thook Nigal Gaya Ya
Apna Hi Thook Hath Par Rakh
Kar Nigal Gaya Toh Roza Toot Gaya
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum Jild 1 Page 203 )
MAS'ALA
Qasdan(jankar) Munh Bhar Kar Qai (Wometing ) Ki Aur Rozedar
Hona Yaad Hai Toh Roza
Toot Gaya
Aur Agar Munh Bhar Se Kam
Ki Toh Roza Nahin Toota
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum Jild 1 page 204 )
MAS'ALA
Bila Qasd Aur Be Ikhtiyar Qayi
Ho Gai Toh Roza Nahin toota
Thodi Qayi Ho Ya Ziyadah
Rozedar Hona Yaad Ho Ya Na Yaad Ho Bahar Haal Rozah
Nahin Tootega
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum Jild 1 Page 204 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° CHAAND-DEKHNE-KA-BAYAN
° Radio-Taar-Telephon-ki-Khabar-Par-Chand Maan lena kaisa
° Eid-Ki-Namaz Ka Mukammal Tareeqa
° Eid-Ke-Baad-6-Roze-Rakhne Ka Sawab
MAS'ALA
Munh Mein Rangeen (Colourd)
Dhaga( Thread )
Ya Koi Rangeen Chiz Rakhi
Jisse Thook Rangeen Ho Gaya
Fir Is Rangeen Thuk Ko Nigal
Liya Toh Uska Roza Toot Gaya
( Fatawah Hindiyah Kitabul
Saum Jild 1 Page 203 )
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe