Namaz Ki Sharton Ka Bayaan


NAMAZ

Har Musalman Mard  Aur Aurat Ko Jaan Lena Chahiye Ki Eimaan Aur Aqide Ko Sahih Kar Lene Ke Bad Sab Farzon Me Sabse Bada Farz Namaz Hai

Kyunki QURAANE  Majeed Aur Ahadees Me Bahut Zyada Bar Iski Taakid Aayi Hai

Yaad Rakho Ki Jo Namaz Ko Farz Na Mane Ya Namaz Ki Tauhin Kare Ya Namaz Ko Ek Halki Aur Be
Qadr Chiz Samajh Kar Iski Taraf Be Tawajjogi Barte Woh Kafir Aur Islam Se Kharij Hai

Aur Jo Shakhs Namaz Na Padhe Wo Bahut Bada Gunahgar. Qahre Qahhar
Aur Ghazabe Jabbar Me Giraftar Aur Azabe Jahannam Ka Haqdar Hai

Aur Woh Is Layaq Hai Ki Badshahe Islam Pahle Usko Tanbih Wa Saza De

Fir Bhi Wo Namaz Na Padhe Toh Usko Qaid Kar De
Yahan Tak Ki Taubah Kare Aur Namaz Padhne Lage

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓



  • Namaz Me Quran Padhne Ka Bayan
  • Salatut-tasbih-ki-fazilat-aur-iski-Namaz
  • Farz,Wajib,Sunnat,Makruh,kya hai

  • Balki Imame Malik Wa Shafei Wa Ke
    Nazdik Badshahe Islam Ko Us Ke Qatal Ka Huqm Hai
    ( Durre Mukhtar Kitabul SalaT Jild 6 Page 8 )

    Shariyat Ka Yeh Masla Hai Ki Bachcha Jab 7 Baras Ka Ho Jaye Toh Usko Namaz Sikha Kar Namaz Padhne Ka Hukm Den

    Aur Jab Bache Ki Umar 10 Baras Ki Ho Jaye Toh  Mar Mar Kar Usse Namaz Padhwaen


    Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓



  • Namaz Me Dahine Pair Ka Angutha Sarak jene Se Kya Namaz Nahi Hoti
  • Namazi-k-Saamne-se-Guzarna-Mana-hai Hatna Gunah Nahi
  • Kuchh Zaruri Masail
  • ° Najashaton-Napakiyo ka-bayan


  • MAS'ALA-
    Namaz Khalis Badani Ibadat Hai

    Isme Niyabat Jaari Nahi Ho Sakti
    Yani Ek  Ki Taraf Se Dusra Nahi Padh Sakta

    Na Yeh Ho Sakta Hai Ki Zindagi  Me Namaz Ke Badle Kuchh Maal Batore Fidyah Ada Kar Ke Namaz Se Chutkara Hasil KarLe

    Han Albattah Agar Kisi Par Kuch Namazen Reh Gai Hain Aur Inteqaal Kar Gaya Aur Wasiyat Kar Gaya Ki UsKi Namazon Ka Fidyah Ada Kiya Jaye

    Toh Ummid Hai Ki (Insha Allah) Yeh Qubool Ho
    Aur Yeh Wasiyat Bhi Warison Ko Uski Taraf Se Puri Karni Chahiye Ki Qubool Wa Afwa Ki Ummid Hai

    ( Durre Mukhtar Wa  Mohtar Kitabul Salah Jild 2 Page 12-13 )


    Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓



  • Aulia Allah Ka Bayaan
  • Nabiyon Ka Zikar
  • baitul-khula (Toilet) me Qible-ki-taraf munh-ya Peeth Karne ka Masala


  • SHARAITE NAMAZ

    Is Se Pahle Ki Hum Namaz Ka Tariqa Batayen Un 6 Chizon Ko Bata Dena
    Zaruri Hai Jinke Baghair Namaz Shurua Nahi Ho Sakti

    Un 6 Chizon Ko
    SHARAITE Namaz Kahte Hain Aur Woh Yeh Hain

    1. Paaki
    2. Sharm Ghah Ko Chupana
    3. Namaz Ka Waqt
    4. Qibla Ki Taraf Munh Karna
    5. Niyyat
    6. Takbire Tahrima
    ( Durre Mukhtar Wa Radul Mohtar Kitabul Salah Jild 2 Page 90- 133 )

    PAHLI SHART

    Yani PAAKI Ka Matlab Hai ki Namazi Ka Badan Us Ke Kapde NAMAZ Ki Jagah Sab Pak Hon Aur Koi Najashat Jaise Paishab Pakhana Khoon Leed Gobar Murghi Ki Beet Wagairah Na Lagi Ho
    Aur Namazi Be Ghusl Aur Be'wuzu Bhi Na Ho


    DUSRI SHART

    Yani Sharmgah Chupane Ka Ye Matlab Hai Ki Mard Ka Badan Naaf Se Lekar Ghutnon Ke Niche Tak Sharm Ghah Hai Is Liye Namaz Ki Haalat Me Kam Se Kam Naaf Se Le Kar Ghutnon Ke Niche Tak Chupa Rahna Zaruri Hai

    Aur Aurat Ke Tamam Badan Ka Dhaka Rahna Zaruri Hai
    Sirf Chehra Aur Hatheli Aur Takhnon Ke Niche Qadam Ke Khule Rahne Ki Ijazat Hai
    Takhne Ko Bhi Chupa Rahna
    Zaruri hai


    TISRI SHART

    Yani Waqt Ka Yeh Matlab Hai Ki Jis Namaz Ke Liye Jo Waqt Mukarrar Hai Woh Namaz Usi Waqt Me Padhi Jaye


    CHAUTHI SHART

    Yani Qibla Ko Munh Karna Is Ka Matlab Zahir Hai Ki Namaz Me Khana-e-Kaaba KI Taraf Apna Chehra Karna


    PANCHWI SHART

    Yaani Niyat Ka Yeh Matlab Hai Ki Jis Waqt Ki Jo Namaz Farz Ya Sunnat Ya Wajib Ya Nafil Ya Qaza Padhta Ho
    Dil Me Is Ka Pakka Irada Karna Ki Main Falan Namaz Padh Raha Hun Aur Agar Dil Mein Irade Ke Sath Zuban Se Bhi Kah Le Toh Behtar Hai


    CHATHI SHART

    Takbire Tahrima Yani
    ALLAHU AKBAR  Kahna

    Yeh Namaz Ki Akhri Shart Hai Ki Iske Kahte Hi Namaz Shuru Ho Gayi


    Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

  • Ramzano ke MasaiL
  • Nikah Ke Masail
  • Namaz Ke MasaiL
  • Kuchh Zaruri Masail

  • Ab Agar Namaz Ke Siwa Dusra Koi Kaam Kiya Ya Kuchh Bola Toh Namaz Toot Gayi

    Pahli Panch Sharton Ka Takbire Tahreema Se Pahle Aur Namaz Khatm Hone Tak Maujood Rahna Zaruri Hai Agar Ek  Shart Bhi Na Pai Gai Toh Namaz Nahin Hogi

    Insha Allah Agli post jald hi ki jayegi Namaz ke Bare Me Next post me Padhen Aur bhi Masail
    New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen

    Aapko hamari Post kaise lagti
    hai Comment box me Zaroor likhe
    aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

    For More Msgs Click This Link
                www.diniraah.in
     
    Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
    ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

    ●●►jazakALLAH khairan◄●●

    ╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

    Post a Comment

    0 Comments