Qayamat Se Pehle Dajjal Ka Zahoor Ek Ahem Waqiya Hoga Jo Ahadees Mein Tafseel Se Bayan Kiya Gaya Hai. Hazrat Muhammad ﷺ Ne Humein Is Fitna Se Aagaah Farma Diya Hai.
✨ Dajjal Ka Zahoor Kahan Hoga? ✨
Rasoolullah ﷺ Ne Irshad Farmaya:
"Dajjal Mashriq (Porab) Me Ek Jagah Se Niklega Jise Khorasan Kaha Jata Hai, Uske Peechay Aise Log Honge Jin Ke Chehre Tah Bah Tah Dhaal Ki Tarah Honge."
📖 (Sunan At-Tirmidhi: 2237)
Ek Aur Hadees Mein Aata Hai:
"Dajjal Mashriq Ke Ek Shehar Se Niklega Jise Isfahan Kaha Jata Hai, Aur Uske Sath 70,000 Yahudi Honge."
📖 (Sahih Muslim: 2944)
🔎 Tafseel:
Ahadees Se Wazeh Hota Hai Ke Dajjal Ka Zahoor Khurasan Se Hoga, Aur Isfahan (Jo Ke Aaj Ke Iran Mein Hai) Mein Bhi Uska Ahem Base Hoga.
💡 Ibrat:
Dajjal Ka Fitna Intehai Sakht Hoga, Isliye Humein Quran Aur Sunnat Par Mazbooti Se Amal Karna Chahiye Aur Har Waqt Allah Ki Panah Maangni Chahiye.
اللّٰهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ
(Ya Allah! Mujhe Masih Dajjal Ke Fitne Se Mahfooz Farma.)
📖 (Sahih Muslim: 588)
🔹 Allah Humein Dajjal Ke Fitne Se Mehfooz Rakhe, Aameen!
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe