Allah Ne Farmaya:
قَدْ جَاءَكُم مِّنَ اللَّـهِ نُورٌ وَكِتَابٌ مُّبِينٌ
"Beshak Tumhare Paas Allah Ki Taraf Se Ek Noor Aur Wazeh Kitaab Aayi."
📖 (Surah Al-Ma’idah, Ayat 15)
Tafaseer Ke Mutabiq Yahaan "Noor" Se Murad Nabi Kareem ﷺ Ki Mubarak Zaat Hai, Kyunki Aap ﷺ Hi Wo Waseela Hain Jinke Zariye Allah Ne Hidayat Duniya Tak Pohanchai.
Ek Aur Jagah Farmaya:
وَدَاعِيًا إِلَى اللَّهِ بِإِذْنِهِ وَسِرَاجًا مُّنِيرًا
"Aur Allah Ki Taraf Us Ke Izn Se Bulane Wala Aur Roshan Chiragh."
📖 (Surah Al-Ahzab, Ayat 46)
Yahan "Siraajan Muneera" Se Murad Aap ﷺ Ki Noorani Shakhsiyat Aur Hidayat Ka Chiragh Hain Jo Qayamat Tak Duniya Ko Roshan Karta Rahega.
Hadees Se Daleel:
1️⃣ Hazrat Jabir Ibn Abdullah Radhiallahu Ta'ala Anhu Farmate Hain:
"Maine Pucha: Pehli Cheez Jo Allah Ne Paida Ki? Toh Nabi ﷺ Ne Farmaya: Pehle Allah Ne Tumhare Nabi ﷺ Ke Noor Ko Paida Kiya."
📖 (Musannaf Abdur Razzaq, Hadees 20885)
2️⃣ Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radhiallahu Ta'ala Anhuma Se Riwayat Hai:
"Nabi ﷺ Ka Noor Har Cheez Se Pehle Paida Kiya Gaya."
📖 (Tafseer Ruhul Ma’ani, Jild 6, Safha 97)
3️⃣ Hazrat Ka’ab Al-Ahbar Radhiallahu Ta'ala Anhu Farmate Hain:
"Jab Allah Ne Adam Alaihissalam Ko Paida Farmaya, Toh Unki Peeth Mein Noor Ko Rakha Aur Jab Wo Noor Chamka, Toh Adam Alaihissalam Ne Pucha: ‘Ya Allah! Ye Kaisa Noor Hai?’ Allah Ne Farmaya: ‘Ye Noor Tumhare Betay Muhammad ﷺ Ka Hai.’"
📖 (Dala’il An-Nubuwwah, Imam Baihaqi)
Nateeja:
Huzoor ﷺ Noor Bhi Hain Aur Bashar Bhi, Magar Aam Bashar Ki Tarah Nahin! Balki Aap ﷺ Noor-e-Mujassam Hain Jo Allah Ke Sabse Badi Naimat Ban Kar Duniya Mein Aaye.
اللهم صل وسلم وبارك على سيدنا محمد وعلى آله وأصحابه أجمعين
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe