* Har mazhab mein khawateen ki ahmiyat mardon ke muqablay mein kam rahi. Balke unhein muashray mein kamtar samjha gaya, unhein har burai ki jar bataya gaya, unhein shahwat ki machine bana kar rakha gaya. Aik tareek daur khawateen par aisa guzra ke woh tamam haqooq se mehroom rahin.
Lekin yeh Islam ka kirdar hai ke usne Hawa ki beti ko izzat ke laiq samjha aur use mard ke barabar haqooq diye.
♥ Quran ki Surah Baqarah (2:228) mein kaha gaya:
"Aurton ke liye bhi aam qaiday ke mutabiq waisay hi haqooq hain jaisay mardon ke haqooq un par hain."
Islam mein khawateen ka maqaam
Islam mein khawateen ka bohat buland maqaam hai. Islam ne khawateen ko zindagi ke har shobay mein ahmiyat di hai. Maa ke roop mein use izzat di hai, biwi ke roop mein use izzat di hai, beti ke roop mein use izzat di hai, behan ke roop mein use izzat di hai, bewa ke roop mein use izzat di hai, khala ke roop mein use izzat di hai, matlab yeh ke mukhtalif halaat mein use izzat di hai jin ka bayan karna yahan mauqa nahi. Hum to sirf ooper bayan karday kuch halaat mein Islam mein khawateen ki izzat par mukhtasaran roshni dalen ge.
∗ Maa ke roop mein izzat –
Maa honay par un ke baray mein Quran ne yeh tanbeeh ki ke "Aur hum ne insaan ko us ke walidain ke baray mein taeed ki hai – us ki maa ne kamzori ke sath use pait mein rakha aur do saal us ke doodh chhurane mein lagay – ke mere sath shukar guzar ho aur apne walidain ke sath bhi. Aakhir kaar meri hi taraf lotna hai." (Surah Luqman:14)
Quran ne yeh bhi kaha ke "Tumhare Rab ne faisla kar diya hai ke us ke siwa kisi ki ibadat na karo aur walidain ke sath acha sulook karo. Agar un mein se koi aik ya dono hi tumhare samnay buraapay ko pohanch jayen to unhein 'uff' tak na kaho aur na unhein jhirako, balke un se shaistagi se baat karo. Aur un ke samnay narmi ke bazoo bichhao aur kaho, 'Aey mere Rab! Jis tarah unhon ne bachpan mein mujhe pala hai, tu bhi un par reham farma.'" (Surah Bani Israel:23-25)
» Hadees: Maa ke sath acha sulook karne ka Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bhi hukum diya.
Aik shakhs un ke paas aaya aur poocha ke mere achay sulook ka sab se zyada haqdar kaun hai?
Aap ne farmaya: Tumhari maa.
Us ne poocha: Phir kaun?
Farmaya: Tumhari maa.
Us ne poocha: Phir kaun?
Farmaya: Tumhari maa.
Us ne poocha: Phir kaun? Farmaya: Tumhare walid.
Goya maa ko walid ke muqablay mein teen guna zyada haq haasil hai.
» Hadees: Aakhri Rasool Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Allah ki itaat walidain ki itaat mein hai aur Allah ki na farmani walidain ki na farmani mein hai." (Tirmizi)
∗ Biwi ke roop mein izzat –
Pak Quran mein Allah Taala ne farmaya: "Aur un ke sath achay tareeqay se raho." (Surah Nisa:19) Aur Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Aik shohar apni biwi ko bura na samjhe agar use us ki aik aadat napasand ho to doosri pasand ho gi." (Muslim)
∗ Beti ke roop mein izzat –
Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jis ne do betiyon ki parwarish ki yahan tak ke woh baligh ho gayin aur un ki achi jagah shadi kar di to woh shakhs qayamat ke din hamare sath ho ga." (Muslim)
Aap ne yeh bhi farmaya: "Jis ne betiyon ke sath kisi qisam ka takleef uthaya aur woh un ke sath acha sulook karta raha to yeh us ke liye jahannam se pardah ban jayen gi." (Muslim)
∗ Behan ke roop mein izzat –
Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jis ke paas teen betiyan hon ya teen behnein hon aur un ke sath acha sulook kiya to woh jannat mein daakhil ho ga." (Ahmad)
∗ Bewa ke roop mein izzat –
Islam ne bewa ki ehsasat ka bara khayal rakha balke un ki dekh bhaal aur un par kharch karne ka bara sawab bataya hai.
Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Bewaon aur ghareebon ki dekh bhaal karne wala aisa hai jaise woh hamesha din mein roza rakh raha ho aur raat mein ibadat kar raha ho." (Bukhari)
∗ Khala ke roop mein izzat –
Islam ne khala ke roop mein bhi khawateen ko izzat dete hue use maa ka darja diya.
Hazrat Bara bin Aazib kehte hain ke Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Khala maa ke barabar hai." (Bukhari)
Allah Taala hamein Islami masail ko seekhne aur samajhne ki taufeeq ata farmaye.
*Ameen*
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe