Quran Aur Hadees Ki Roshni Mein Jawab:
Quran Ki Roshni Mein:
Allah Ta'ala Ne Quran Majeed Mein Irshad Farmaya:
وَقُلْ رَّبِّ أَدْخِلْنِيْ مُدْخَلَ صِدْقٍ وَّأَخْرِجْنِيْ مُخْرَجَ صِدْقٍ وَاجْعَلْ لِّيْ مِنْ لَّدُنْكَ سُلْطٰنًا نَّصِيْرًا
"Aur Dua Karo: Ae Mere Rab! Mujhe Behtareen Jagah Par Daakhil Kar Aur Behtareen Jagah Se Nikalkar Le Jaa, Aur Mujhe Apni Taraf Se Ek Mazboot Madadgaar Ata Farma."
📖 (Surah Al-Isra, Ayat 80)
Ye Ayat Hijrat Ki Ahmiyat Ko Bayan Karti Hai Aur Yeh Sabit Karti Hai Ke Madina Munawwarah Mein Daakhil Hona Allah Ki Khaas Rahmat Ka Hissa Tha.
Hadees Ki Roshni Mein:
Hazrat Ibn Abbas Radhiallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ke:
"Rasulullah ﷺ Ne Makkah Mukarramah Ko 53 Saal Ki Umar Mein Chhoda Aur 10 Saal Madina Munawwarah Mein Guzare, Phir Wisaal Farmaya."
📖 (Sahih Bukhari, Hadees No. 3906)
Natija:
Hazrat Muhammad ﷺ Ne 10 Saal Madina Munawwarah Mein Guzare Aur Is Dauran Islam Ka Poora Nizaam Qaim Hua Aur Deen Mukammal Hua.
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe