History Of Masjid e Aqsa Baitul Muqaddas

Duniya Ke Jin Shahron Ki Izzato Tazeem Ki Jaati Hai Unme Jerusalem Yaani Baitul Muqaddas Bhi Hai Jo Musalmano Eesayion Aur Yahudiyon Ke Liye Ek Jaisa Maqaam Rakhta Hai,

Jerusalem Ka Maayne Hota Hai Khudayi Hukumat,Is Shahar Ke Bahut Saare Naam Hai Sabse Pahle Ise Jebus Kaha Gaya Phir Baad Me Hazrat Daood Alaihissalam Ke Zamane Me Jerusalem Pukara Gaya Lekin Yahudion Ne Hazrat Ibraheem Alaihissalam Se Mansoob Karne Ke Liye Ise Sirf Jereh Kaha Aur Shelm Ka Izaafa Qabl Eesa 2008 Ek Baadshah Gura Jiska Naam Shelm Tha 

History Of Masjid e Aqsa Baitul Muqaddas


To Uska Naam Jodkar Ise Jerusalem Likha Gaya Aur Maayne Likhe Gaye Inheritence Of Peace,Iska Ek Naam Alquds Bhi Hai Magar Musalmano Ne Ise Hamesha Baitul Muqaddas Yaani Mutabarrak Ghar Ya Baitul Maqdis Yaani Paak Maqaam Ke Naam Se Hi Pukaara Hai,

Jabki Qa'ab Ki Ek Riwayat Ke Mutabiq Ek Naam Ilya Likha Hai Jiska Maayne Hai Baitullah Aur Ek Jagah Shaam Bin Nooh Ke Bete Inya Ke Naam Par Bhi Aaya Hai,

Shora Hazraat Kahin Kahin Isko Albilaat Se Bhi Yaad Karte Hain Iske Alawa Ise Golden City Ke Naam Se Bhi Mukhatib Kiya Jaata Hai Kyunki Suraj Ki Kirne Jab Iske Pattharon Par Padti Hai To Peeli Raushni Se Jagmaga Uthti Hai

Yahudiyon Ne Qabl Eesa 2000 Me Jab Ek Baadshah Ko Shikast Di Tab Se Unke Liye Ye Muazzam Hua Jabki Eesayion Ke Liye Saleeb Al Salboot Is Jagah Thi To Unke Liye Ye Jagah Muazzam Thi 
Magar Musalmano Ke Liye Roze Awwal Se Hi Ye Jagah Muqaddas Rahi Thi Iski Buniyaad Arab Ke Baadshah Saadiq Maliq Ne Rakhi Thi
 Ise Aman Ka Shahar Bhi Kaha Jaata Tha Magar Tareekh Uthakar Dekhiye To Pata Chalta Hai Ki 3000 Saal Se Zyada Purane Is Shahar Ko Kabhi 3 Saal Ka Bhi Sukoon Na Mila,
Yahan Hone Waali Ladayion Ka To Shumaar Hi Nahin Kiya Ja Sakta Aur Marne Waalo Ki Ginti Karna Bhi Bahut Mushkil Hai,

Kitabon Me Aata Hai Ki 18 Martaba Iski Nayi Tameer Ki Gayi Hai Matlab Saaf Hai Ki Itni Hi Dafa Ye Shahar Khandraat Me Tabdeel Ho Chuka Hai,6 Martaba Mazhabi Tabdeel Ho Chuke Is Shahar Ko Sabse Pahle Hazrat Daood Alaihissalam Ne Apna Darus Sultanat Banaya Tha Uske Baad Hazrat Sukeman Alaihissalam Bhi Yahi Qaabiz Rahe,

Rafta Rafta Ahle Babul Yahan Qaabiz Hue Phir Yahudi Phir Unani Baad Me Yahudi Phir Qaabiz Hue Uske Baad Romiyon Ne Unse Hathiya Liya Aur Yahudion Ka Yahan Aana Jaana Hi Bund Kar Diya Gaya,

Baad Me Arab Musalmano Ne Ise Romiyon Se Chheena Aur 450 Saal Yahan Hukumat Ki Phir Uske Baad Saleebi Jungo Ka Silsila Shuru Hua Aur Alag Alag Qaumo Ki Tabdeeli Hoti Rahi
 Ye Shahar Na To Kisi Dariya Ke Paas Hai Na Kinare Par Magar Iske Bawajood Yahan Kabhi Qahat Nahin Pada,
Peene Ke Liye Dariyaye Jihoon Ka Paani Istemal Hota Tha Wo Bhi Kaar Aamad Nahin Hota,Gharo Me Chashme Aur Hauz Banaye Gaye Hain Jinme Barsaat Ka Paani Jama Hota Hai Aur Yahi Poore Saal Kaam Me Aata Hai,

Is Shahar Me Musalmano Ke Beshumaar Alamat Paayi Jaati Hai Jispar Aksar Eesayion Aur Yahudiyon Ka Qabza Hai Aur Bagair Guide Ke Is Shahar Ko Dekh Paana Taqriban Na Mumkin Hai
📕 Baitul Muqaddas,Safah 1-100

Aalahazrat Farmate Hain Ki Yahan Ki Zameen Aasman Se Sabse Zyada Qareeb Hai Kyunki Iski Oonchayi Har Jagha Se 18 Meel Zyada Hai

📕 Fatawa Razviyah,Jild 4,Safah 687

* Hadees Sharif Me Hai Ki Baitul Muqaddas Kaaba Muazzama Ke 40 Saal Baad Wajood Me Aaya
📕 Bukhari Sharif,Jild 1,Safah 477

Magar Ibtidayi Daur Ki Malumaat Faraham Na Ho Saki Kitabon Me Sabse Pahle Jis Qaum Ke Aabad Hone Ka Zikr Milta Hai Wo Qable Maseeh 2500 Me Aale Saam Thi,

Ye Qaum Arab Se Hijrat Karke Yahan Aayi Thi Aur Inme Ek Qaum Majusiyo Ke Naam Se Mashhoor Thi,

Qable Maseeh 2008 Me Hazrat Ibraheem Alaihissalam Hibroon Ke Maqaam Par Pahunche Jise Aapki Nisbat Se Alkhaleel Bhi Kaha Jaata Hai,Dheere Dheere Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ki Taaqat Wa Qoowat Is Shahar Par Badhti Gayi 

Phir Jab Damishq Ke Baadshaho Ne Hazrate Loot Alaihissalam Ki Shaan Me Gustakhi Ki Jo Ki Ardan Me Muqeem The To Aapne Un Baadshaho Se Jung Ladi Aur Unko Peechhe Hatne Par Majboor Kar Diya,

Aur Jab Aap Fatah Karke Laute To Baitul Muqaddas Ke Shah Jiska Naam Yabusi Tha Usne Aapka Isteqbaal Kiya,

Yahi Wo Jagah Thi Jahan Se Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ne Hazrate Hajira Wa Hazrat Ismayeel Alaihissalam Ko Waadiye Faaran Me Chhoda Tha,Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ki Umr 175 Saal Huyi Aur Yahi Waadiye Hibroon Me Aapka Mazaar Sharif Bana

Aapke Wisaal Ke 40 Saal Baad Hazrat Yaqoob Alaihissalam Ne Baitul Muqaddas Ke Ek Maqaam Par Bait-e Eel Banaya Aur Sadiyon Baad Isi Khandraat Par Hazrat Suleman Alaihissalam Ne Haikal Ki Imaarat Uthayi,

Hazrat Yaqoob Alaihissalam Apne Bhai Audam Ke Khauff Se Wahan Se Hijrat Kar Gaye The Aur Kayi Saalo Baad Jab Aap Laute To Aap Israyeel Ke Naam Se Mashhoor Ho Chuke The Yahai Wajah Thi Ki Aapki Qaum Ko Bani Israyeel Kaha Jaata Hai,Audam Ke Bete Ka Naam Hazrat Ayyoob Alaihissalam Hai,

Hazrat Yaqoob Alaihissalam Ne Baite Eel Me Khwab Me Rub Ka Deedar Kiya Aur Us Jagah Ek Nishani Bana Di,

Aapke Baad Aapke Bete Hazrat Yusuf Alaihissalam Jab Baadshah Bane To Aap Aur Aapki Qaum Yahi Muntaqil Ho Gayi Aur Is Jagah Ko Khoob Urooj Haasil Hua,

Aapke Baad Aapki Qaum Idhar Udhar Muntaqil Ho Gayi Aur 400 Saal Baad Allah Ne Unpar Raham Farmaya Ki Hazrat Moosa Alaihissalam Misr Me Maboos Hue,

Aapne Firaun Ke Changul Se Un Logon Ko Nijaat Dilayi Firaun Ko Dariye Neel Me Gark Karaya Ba Wajood Iske Wo Nafarmani Karte Rahe Aur But Parasti Me Mubtela Ho Gaye,

Bani Israyeel Ke Gunaho Ki Maula Taala Ne Unhein Ye Saza Di Ki Wo Waadiye Teeh Me Phans Gaye Aur Usi Me 40 Saal Ka Arsa Guzaar Diya Yahan Tak Ke Unke Bachche Jawaan Ho Gaye,Aur Taqriban 200 Saal Baad Dobara Unko Baitul Muqaddas Me Jaane Ka Mauqa Mila
(Baitul Muqaddas,Safah 10-12) 

History Of Masjid e Aqsa Baitul Muqaddas


* Hazrat Aadam Alaihissalam Se Lekar Hazrat Daood Alaihissalam Tak Tamam Nabiyon Ka Qibla Kaaba Hi Raha Aur Hazrat Suleman Alaihissalam Se Lekar Hazrat Eesa Alaihissalam Tak Qibla Baitul Muqaddas Raha,Balki Islam Me Bhi 1 Saal Saadhe 5 Mahine Baitul Muqaddas Hi Qibla Raha 
Fir 15 Rajab 2 Hijri Peer Ke Din Tahweele Qibla Ka Hukm Aaya Aur Kaaba Muazzama Qibla Ho Gaya,Shahre Madina Se 2 Kilometer Jaanibe Shimal Maghrib Qabilaye Bani Salma Ki Ek Masjid Me Huzoor Salllalaho Taala Alaihi Wasallam Zuhar Ki Namaz Padha Rahe The Aur 2 Raqat Ho Chuki Thi 
Ki Ain Namaz Ki Haalat Me Wahi Aa Gayi Aur Huzoor Ne Apna Rukh Baitul Muqaddas Se Ferkar Kaaba Muazzama Ki Taraf Kar Liya,Is Masjid Ko Masjide Qiblatain Kaha Jaane Laga Yaani Do Qiblon Waali Masjid
* 📕 Tafseere Nayimi,Jild 2,Safah 5
* 📕 Seerate Mustafa,Safah 156

Baitul Muqaddas Par Pahla Hamala Qable Eesa 1251 Me Yashu Bin Noon Ne Kiya Us Waqt Jo Paanch Hukmraan The 

Wo Sabke Sab Maare Gaye,Uske Baad Unke Andar Taaqat Ka Nasha Is Qadar Chadha Ki Wo Sab Gumrah Ho Gaye Aur Yabusiyon Ne Mauqa Paakar Unhein Unke Hi Shahar Se Nikaal Kar Ajnabi Ban Diya,

Us Daur Me Sirf Qaazi Hi Hukmraan Hua Karte The Magar Wo Bhi Awaam Ki Tarah Hi Bad Aamaliyon Me Barabar Ke Shareek Rahe,Phir Hazrat Shamweel Alaihissalam Ko Allah Ne Unke Beech Maboos Farmaya Aur Unhone Qaum Ko But Parashti Aur Deegar Bad Kariyon Se Door Karaya 
Jab Aap Apni Aakhiri Manzil Ko Pahunche To Bani Israyeel Ke Kahne Par Aapne Hazrat Taloot Ko Janasheen Muntakhib Karke Raahe Aakhirat Ki Taraef Rawana Hue,

Taloot Ki Zindagi Jungo Me Hi Guzri Unhi Ki Fauj Ka Ek Jawaan Jisne Apne Talwaar Ke Jauhar Se Us Waqt Ke Sabse Bade Dushman Jaloot Ko Qatl Kiya Ye Jawaan Aur Koi Nahin Balki Hazrat Daood Alaihissalam The

📕 Baitul Muqaddas,Safah 13

Jaloot Ek Jaabir Taaqat War Bahut Bade Qad Ka Aadmi Tha,Taloot Ne Usse Jung Karne Ke Liye Bani Israyeel Se 70000 Aadmiyon Ka Intikhab Kiya Usi Me Hazrat Daood Alaihissalam Bhi Shaamil Ho Gaye Chunki Us Waqt Aap Beemar The Isliye Aap Sabke Peechhe Hi Rahte,

History Of Masjid e Aqsa Baitul Muqaddas


Jab Bani Israyeel Jaloot Ke Saamne Pahunche To Uski Qad Qaamat Dekhkar Ghabra Gaye Aur Peechhe Hat Gaye Isko Dekhkar Taloot Ne Ye Elaan Kiya Ki Tumme Se Jo Koi Bhi Jaloot Ka Qatl Karega Usse Main Apni Beti Ka Nikah Karunga Aur Use Aadha Mulk Bhi Doonga,

Phir Jab Hazrat Daood Alaihissalam Ne Jaloot Ka Qatl Is Tarah Kiya Ki Us Waqt Aapke Paas Falakhin Yaani Patthar Phenkne Ka Aala Tha Usme Patthar Rakhkar Jab Aapne Jaloot Ki Taraf Maara To Wo Kahre Ilaahi Ki Maar Ban Gaya Aur Patthar Jaloot Ki Peshani Me Ghuskar Use Cheera Hua Peeche Se Nikal Gaya Aur Wo Wahin Dher Ho Gaya,

Is Tarah Aap Taloot Baadshah Ki Beti Aapke Nikah Me Aayi Aur Aadha Mulk Bhi,Phir Taloot Ke Inteqal Ke Baad Poore Mulk Ki Baagdor Aapke Haath Me Aa Gayi Aur Alag Alag Riwayton Me 70 Ya 40 Ya 33 Saal Aapne Wahan Baadshahat Ki

Jab Aap Baadshah Bane To Apne Qaum Ki Khabar Geeri Ke Liye Bhes Badalkar Shahro Me Ghoomte Aur Apne Liye Apni Qaum Ki Raaye Jaanne Ki Koshish Karte To Aapko Jo Milta Aap Usse Poochhte Ki Daood Kaisa Hai Aur Uski Hukumat Me Sab Theek Thaak Hai Log Aapki Tareef Karte Aur Aap Aage Badh Jaate,Ek Din Allah Ne Ek Farishta Insaan Ki Shakl Me Bheja Jab Aapne Usse Poochha To Wo Bola Ki Sab Kuchh To Unme Theek Hai 
Bas Ek Baat Aur Kar Lein To Saari Khubiyan Unme Aa Jayengi Aapne Hasrat Se Usse Poochha Ki Jaldi Batao Ki Use Kya Karna Chahiye To Wo Bola Ki Wo Apna Aur Apne Ghar Ka Kharch Baitul Maal Se Lete Hain 

Unhein Chahiye Ki Aisa Na Karen,Jab Aapne Ye Suna To Fauran Rub Ki Baargah Me Dua Ki Ki Ai Maula Mujhe Koi Aisa Hunar Ata Farma Ki Jisse Main Apne Ghar Ke Liye Rizq Kama Sakun To Aapki Dua Qubool Huyi Aur Maula Ne Lohe Ko Aapke Liye Narm Farma Diya Is Tarah Ki Aap Bina Aag Aur Bina Thoke Peete Lohe Ko Apne Haathon Se Mom Ki Tarah Modkar Zirah Bana Lete The,

Aap Rozana 1 Zirah Banate Aur Wo Riwayate Deegar 4000 Ya 6000 Me Bikti Aap 2000 Apne Ghar Me Kharch Karte Aur 4000 Fuqra Wa Masakeen Par

📕 Tafseere Nayimi,Jild 2,Safah 556
📕 Khazainul Irfan,Paara 22,Ruku 18


Taboote Sakeena Jisme Hazrat Yusuf Alaihissalam Ka Jisme Aqdas Wa Unke Kapde Aur Kuchh Deegar Tabarrukat Rakhe The Jo Hazrat Moosa Alaihissalam Misr Se Nikalte Hue Apne Saath Laaye The,

Hazrat Daood Alaihissalam Ki Zabardast Khwahish Thi Ki Aap Ek Aisa Ghar Banayein Ki Jisme Ye Mahfooz Rahe Magar Allah Ne Unko Bataya Ki Ye Ghar Tum Nahin Balki Tumhara Beta Banayega,

Is Khabar Se Aap Bad Dil Nahin Hue Balki Hazrat Suleman Alaihissalam Ke Liye Zaruri Saaman Muhaiyya Karane Me Lag Gaye Aur Har Zaruriyaat Ka Saaman Ek Jagah Ikattha Hone Laga Jaise Ki Sona Chandi Loha Peetal Lakdi Khoobsurat Nakkashi Daar Patthar Wagairah,

Apne Aakhiri Waqt Me Aapne Hazrat Suleman Alaihissalam Ko Aalame Rooya Me Dekha Hua Haikal Ka Naksha Bhi Bataya Ki Kahan Kya Banana Hai,Phir Jab Hazrat Daood Alaihissalam Ka Wisaal Hua Aur Hazrat Suleman Alaihissalam Takht Par Baithe To Aapne Haikal Ki Tameer Wahin Shuru Ki Jahan Hazrat Daood Alaihissalam Ne Nishan Dehi Karayi Thi,

Chunki Aap Jaante The Ki Aapki Qaum Me Behtareen Kareegar Maujood Nahin Hain Isliye Aapne Lebnan Wa Misr Se 2 Laakh Kareegar Bulwaye Jiski Tameer 7 Saalo Tak Chalti Rahi,Hazrat Daood Alaihissalam Ne Wirasat Me Taqriban 4559531 Kilo Sona Aur 576062 Kilo Chandi Choodi Thi Ye Poora Maal Aur Iske Alawa 7 Saalo Ka Revenue Aur Jo Kuchh Bhi Nazraana Mila Sab Kuchh Isko Banane Me Lag Gaya Garz Ki Be Intiha Daulat Kharch Huyi,

Haikal Sulemani Us Waqt Ka Azeem Shahkaar Tha Jiski Lambayi 90 Fitt Chaudayi 30 Fitt Aur Unchayi 45 Fitt Thi Aur Uske Andar Ek Paak Maqaam Par Taboote Sakeena Rakha Gaya Lekin Bakhte Nasr Ke Hamle Ke Waqt Wo Taboot Aisa Gaayab Hua Ki Aaj Tak Kisi Ko Khabar Na Huyi Ki Wo Kahan Gaya

Iske Alawa Hazrat Suleman Alaihissalam Ne Sulemani Mahal Banwaya Jo Haikale Sulemani Ke Baad Doosri Azeem Building Thi Iski Lambayi 150 Fitt Chaudayi 75 Fitt Aur Unchayi 45 Fitt Aur Ye 3 Manzila Imaarat Thi,Chunki Aap Nabi Hone Ke Saath Saath Baadshah Bhi The Isliye Aapke Mahal Me Ghulamo Ki Taadaad 1000 Se Bhi Zyada Thi Khaane Ki Mez Aur Bartan Sone Aur Chandi Ke The,

Unki Shaano Shaukat Ne Poori Duniya Ko Mutahayyar Kar Diya Aur Malikaye Saba Bhi Aapse Milne Ko Aapke Mulk Rawana Huyi Jo Apne Saath Nazraane Me 120 Quntal Sona Beshumar Heere Jawahraat Aur Aisi Azeem Khushbu Lekar Aayi Thin Ki Tareekh Batati Hai Ki Baitul Muqaddas Me Uske Baad Kabhi Aisi Khushbu Nahin Mahki

Aapke Daur Me Pakki Sadkein Banayi Gayi Dhero Chasme Wa Hauz Banaye Gaye Jisme Kenari Ka Chashma Aaj Bhi Daure Sulemani Ki Yaad Dilata Hai,Ek Samandari Beda Banaya Gaya Jo Ki Hercules Ke Riwayti Shahar Tak Pahunch Sake Aur Jab Columbus Ne Uttari America Ki Khoj Ki To Uska Khayal Tha Ki Hazrat Suleman Alaihissalam Ka Khazana West Indies Hai,

Hazrat Suleman Alaihissalam Ke Daur Me Baitul Muqaddas Ek Azeem Tijarati Shahar Ban Chuka Tha Aur Sultanate Israel Apne Urooj Par Thi
📕 Baitul Muqaddas,Safah 13-17                              📕 Baitul Muqaddas,Safah 13-17
                                        
*Ab Tak 4 Aise Baadshah Guzre Hain Jinhone Poori Duniya Par Huqumat Ki Hai 2 Momin Hazrat Sikandar Zulqarnain Aur Hazrat Suleman Alaihissalam Aur 2 Kaafir Namrood Aur Bakhte Nasr,Aur Anqareeb Paanchwe Baadshah Hazrat Imam Menhdi Raziyallahu Taala Anhu Honge Jo Poori Duniya Par Huqumat Karenge,
*
Jis Sikandar Ka Kissa Hum Logon Ne Duniyavi Itihaas Ki Kitabon Me Padha Hai Wo Sikandar Unani Tha Jo Ki Kaafiro Mushrik Tha Magar Sikandar Zulkarnain Doosre Hain Aur Aap Saaleh Momin The
*📕 Alitqaan,Jild 2,Safah 178

Qable Eesa 975 Me Hazrat Suleman Alaihissalam Ki Wafaat Ke Baad To Maano Baitul Muqaddas Ka Naqsha Hi Badal Gaya,
Mulk 2 Hisso Me Taqseem Ho Gaya Junubi Palestine Aur Rome Alag Jiska Payaye Takht Jerusalem Aur Shimali Palestine Aur Ardan Alag Hua Aur Iska Payaye Takht Nablus Qarar Paaya,

Dono Mulko Me Aisi Thani Ki Dono Hamesha Ek Doosre Par Humla Karne Ko Aamada Rahte Aur Khooni Jung Shuru Ho Gayi,
Haikal Aur Uske Khazano Ko Loota Gaya Ibaadat Gaaho Ko Nuksaan Pahunchaya Gaya Garz Ki Baitul Muqaddas Ki Wadiyan Malbe Se At Gayi Aur Galiyan Khoon Se Rung Gayi Yahan Tak Ki Wahan Ka Rahne Waala Dekhta To Pahchaan Na Paata
                    

Yahuda Yahudiyon Ka Baatil Mabood Hua Aur Uski Murtiyan Jagah Jagah Nasab Kar Di Gayi Aur Taurait Sharif Ko Apne Hisaab Se Raddo Badal Kar Diya Gaya,

Hatta Ki Baadshaho Ka Daur Aata Jaata Raha Bakhte Nasr Ne Yahudi Ghulamo Ko Ek Jagah Basaya Jiska Naam Tel Aviv Rakha Aur Ye Jagah Aaj Bhi Maujood Hai,
Is Beech Hazrat Daaniyal Alaihissalam Aur Hazrat Uzair Alaihissalam Ka Zamana Bhi Aaya Par Aap Hazraat Ne Logon Ko Khuda Ki Taraf Maayil Kiya Magar Sulnatat Na Sanbhali,

Aapke Baad Ek Nayi Qaum Seehuniyat Ka Aaghaz Hua Dar Asal Seehoon Ek Pahaad Hai Jispar Hazrat Daood Alaihissalam Ne Fatah Baitul Muqaddas Ke Baad Ispar Chadhkar Khushi Manayi Thi,Isi Ke Aas Paas Rahne Waali Qaum Ko Seehuni Kaha Gaya Aur Inka Maqsad Apni Khoyi Huyi Riyasat Ko Waapas Haasil Karna Aur Haikale Sulemani Ko Dobara Tameer Karna Tha,

Unki Ye Tamanna Qable Eesa 516 Me Poori Huyi Jab Haikal Dobara Tameer Ho Gaya Magar Shahar Ab Bhi Malbe Ka Dher Hi Tha Par Qable Eesa 445 Aate Aate Shahar Ki Az Sare Nau Tameer Bhi Shuru Ho Gayi Aur Pahle Ki Buniyaad Par Phir Se Wahi Shahar Khada Ho Gaya,

Chunanche Qable Eeas 232 Me Jab Faateh Sikandar Ne Iran Ko Harakar Jerusalem Ki Taraf Badha To Yahudiyon Ne Bajaye Usse Ladne Ke Uska Istaqbaal Kiya Aur Sikandar Ne Shahar Ko Nuksaan Nahin Pahunchaya,

Tareekh Batati Hai Ki Sikandar Ki Maut Isi Shahar Me Huyi Aur Uski Laash Ko Sone Ke Taboot Me Rakhkar Sikandariya Bheja Gaya
                                        
Sikandar Ki Maut Ke Baad Uske Genral Ne Shahar Me Tabahi Machayi Aur Qable Eesa 40 Tak Ye Aise Hi Chalta Raha,
Phir Hirood Ke Ahad Me Baitul Muqaddas Ko Wahi Azmat Mili Jo Hazrat Suleman Alaihissalam Ke Daur Me Thi Farq Sirf Itna Tha Ki Tab Ek Mulk Tha Ab Usi Me Se Rome Alag Ho Chuka Tha,

Hirood Ne Kaam To Bahut Achchha Kiya Magar Wo Aapni Qaum Ka Dil Na Jeet Saka Yahi Wajah Thi Ki Yahudi Haikal Wa Baitul Muqaddas Par Uski Khidmat Ko Nakarte Rahe,

Hirood Wahi Shakhs Tha Jisne Mahram Se Doosra Nikah Kar Liya Tha Jispar Hazrat Yahya Alaihissalam Ne Fatwa De Diya Tha Ki Ye Haraam Hai Aur Wo Ye Bardaasht Na Kar Saka Aur Hazrat Yahya Alaihissalam Ka Sar Kaatkar Apni Biwi Ko Nazr Kiya,

Shahar Ko Urooj Par To La Diya Par Nabi Ka Qatl Uske Nasl Ko Barbaad Ka Gaya Aur Uski Maut Ke Baad Uski Nasl Khatm Ho Gayi,Yahi Wo Zamana Tha Jab Hazrat Eesa Alaihissalam Ki Paidayish Huyi
📕 Baitul Muqaddas,Safah 17-25
📕 Baitul Muqaddas,Safah 17-25

Hirood Ne Jab Hazrat Eesa Alaihissalam Ki Paidayish Ki Khabar Suni To 2 Saal Ya Isse Kam Ke Jitne Bachche The Usne Sabko Marwa Diya Par Hazrat Eesa Alaihissalam Ko Kuchh Nuksaan Na Pahuncha,

Waqt Guzra Aur Hirood Jab Khud Marne Ke Qareeb Pahuncha To Jaan Liya Ki Uske Marne Par Log Khushiyan Manayenge Isliye Usne Qaum Ke Bade Bade Sardaro Ko Ikattha Karwaya Aur Kaha Ki Jis Din Main Marun In Sabko Bhi Maut Ke Ghaat Muaat Dena Taaki Log Mere Marne Ki Khushiyan Na Manakar Apne Sardaro Ke Marne Ka Ghum Manayen,

Kitabon Me Aata Hai Ki Jab Hazrat Mariyam Raziyallahu Taala Anhu Hazrat Eesa Alaihissalam Ko Lekar Baitul Muqaddas Aayin To Us Waqt Hazrat Eesa Alaihissalam Ki Umr 4 Saal Ki Thi Aur Hirood Mar Khap Chuka Tha

 Jab Aap 12 Saal Ke Hue To Aapne Baitul Muqaddas Jaakar Yahudiyon Ko Allah Ki Daawat Pesh Ki Aur Farmaya Ki Main Uska Rasool Hoon Par Yuhudi Nahin Maane,
 Phir 29 Eeswi Tak Aapne 5 Martaba Baitul Muqaddas Ka Daura Kiya Aur Har Baar Unko Haq Ki Taraf Ruju Karne Ka Hukm Dete Rahe Par Wo Har Baar Inkaar Karte Aur Din Badin Wo Hazrat Eesa Alaihissalam Ke Sakht Dushman Hote Jaate,
 
Aur Bil Aakhir Unki Sakhtiyan Yahan Tak Pahunch Gayi Ki Un Logon Ne Hazrat Eesa Alaihissalam Ko Sooli Par Chadhane Ka Programme Bana Daala Aur 16 April 30 Eesvi Ko Unhone Apne Qayaas Ke Hisaab Se Hazrat Eesa Alaihissalam Ko Sooli Dedi,

Jabki Quran Iska Radd Karte Hue Farmata Hai Ki "Unhone Na Use Qatl Kiya Aur Na Use Sooli Di Balki Unke Liye Unki Shabeeh Ka Ek Bana Diya" Yaani Unhi Yahudiyon Me Se Ek Ko Hazrat Eesa Alaihissalam Ka Shabeeh Kar Diya Aur Un Logon Usko Hi Sooli Par Chadha Diya Jabki Hazrat Eesa Alaihissalam Ko Zinda Hi Aasman Par Utha Liya Gaya Aur Qurbe Qayamat Wo Zameen Par Waapas Aayenge Aur Phir Apni Zindagi Guzaar Gar Madina Munawwrah Me Dafn Honge
                   
Hazrat Eesa Alaihissalam Ne Farmaya Tha Ki Haikal Ki Ek Eent Bhi Apni Jagah Baaqi Na Rahegi Aur Wahi Hua 19 August 70 Eesvi Me Roomi General Titus Shahar Me Daakhil Hua Aur Usse Jung Ke Waqt Haikal Me Aag Lag Gayi Aur Usme Tamam Ashya Wa Khazane Jal Kar Raakh Ho Gaye Aur Ye Wahi Din Tha Ki Aaj Se 600 Saal Pahle Bhi Isi Din Babul Ne Haikale Sulemani Ko Barbaad Kar Diya Tha Magar Is Baar Barbadi Yahudiyon Ke Hi Haath Se Huyi,6000 Aurtein Aur Bachhe Is Aag Me Jalkar Raakh Ho Gaye Aur Kul Marne Waalo Ki Tadaad 133497 Batayi Gayi Hai

 Aur 97000 Log Ghulam Banaye Gaye Aur Inme Se Bhi 11000 Bhookh Se Mar Gaye,Yahudiyon Me Se Koi Bhi Aisa Us Waqt Nahin Bacha Tha Jo Ye Bata Sakta Ki Haikal Asal Me Tha Kis Jagah Par,Aur Ye Sab Isliye Hua Ki Unhone Hazrat Eesa Alaihissalam Ko Sooli Dene Ko Apni Khoobi Jaana Tha Aur Uska Khoon Apni Aur Apni Aulaad Par Rakha Tha
 📕 Baitul Muqaddas,Safah 25-31

*KANZUL IMAAN* - Roomi Maghloob Hue.Paas Ki Zameen Me Aur Apni Maghlubi Ke Baad Anqareeb Ghalib Honge.Chund Baras Me Hukm Allah Hi Ka Hai Aage Aur Peechhe Aur Us Din Imaan Waale Khush Honge
*📕 Paara 21,Surah Room,Aayat 1-44

Post a Comment

0 Comments