Sawal Kya Miya Bivi Jannat Me Milenge ?


Bahut Si Auraton Ke Sath Aisa Hota Hai Ki Shauhar Mar Jata Hai Ya Talaq De Deta Hai Fir Wah Iddat Guzar Kar Dusre Se Nikah Kar Leti Hai Isi Tarah Kai Mardon Se Nikah Ho To Jannat Mein Woh Kiski Biwi Hogi

Jannat Mein Musalman Mardon Ki Mulaqat Apni Biwi Se Hogi Ki Nahin

( 1 ) Jannat Mein Mardon Ki Mulaqat Apni Biwiyon Se Hogi Aur Jis Musalman Aurat Ka Shauhar Mar Jaye Fir Wah Aurat Dusre Se Nikah Na Kare To Jannat Mein Wah Usi Ki Biwi Rahegi

( 2) Aur Agr Kisi Musalmaan Aurat Ka Shauhar Mar Gaya Baad Iddat Guzar Kar Dusre Se Nikah Kar Le Isi Tarah Ek Ke Baad Deegre Kai Mardon Se Aqd ( Nikah ) Kiya Uske Baad Us Aurat Ka Inteqal Ho To Wah Jannat Mein Apne Akhri Shauhar Ki Biwi Hogi

Sawal Kya Miya Bivi Jannat Me Milenge ?

( 3 ) Aur Agar Kisi Musalman Aurat Ke Shauhar Ne Use Talaq De Di Baad Iddat Usne Dusre Se Nikah KarLiya Isi Tarah Kai Mardon se Nikah Kiya Sab Ne Use Talaq De Diya Aur Wah Kisi Ki Biwi Na Rahi To Use Ikhtiyar Diya Jayega Ki Jise Chahe Ikhtiyar Kar Le To Wah Unmein Se Achchi Adat Wale Ko Ikhtiyar Kregi

MASLAA-  2 Aur 3 Mein Farq Ye Hai Ki Ek Talaq Wala Hai Aur Dusra Inteqal Wala

Inteqal Wale Mein Akhri Shauhar Ko Milegi Aur Talaq Wale Mein Aurat Ko Ikhtiyar Hai

📕 Fatawa Markaz Tarteeb Ifta Jild Dom Safah 692-693

Post a Comment

3 Comments

  1. Agar mard ik se zyada kayi shadiyan kare ..to jannat m uske sath uski kon biwi hogi

    ReplyDelete
  2. M n khin suna h k jannat m orat s b poocha jae ga k vo kis mrd k sath rehna chahti h agr usy mjboori m kisi or mrd s shadi krna pry or vo kar lyy allah ki Raza smjh k ya phir vo sari Zindagi kanwari rhy us shaks ki mhbt m jo usy kbhi mil nhi sakta to kya Allah akhrat m usy us ki mhbt nhi dy ga

    ReplyDelete

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe