Rooh Kya Hai? Rooh Ki Haqeeqat

Rooh Ka Sahi Ilm To Allah Rabbul Izzat Ko Hi Hai Haan Baaz Riwayton Me Ye Aata Hai Ki Rooh Ek Lateef Jism Hai Jo Ki Kaseef Jismo Ke Saath Mili Huyi Hai Jaise Hari Lakdi Me Paani
📕 Sharahus Sudoor,Safah 133

Rooh Kya Hai? Rooh Ki Haqeeqat


* Rooh Ke Paida Hone Ki Kayi Riwayat Hai Imaam Ahmed Raza Rahmatullahi Alaih Jism Se 2000 Saal Pahle Farmate Hain
* 📕 Fatawa Razviyah,Jild 9,Safah 65

* Insaan Ke Jism Me Rooh Baadshah Hai Jiske 2 Wazeer Hain Ek Nafs Jiska Markaz Naaf Ke Neeche Hai Aur Doosra Qalb Jiska Markaz Deene Ke Baayein Taraf Ka Wo Hissa Jise Dil Bhi Kaha Jaata Hai
* 📕 Almalfooz,Hissa 3,Safah 63

Insaan Ke Andar 6 Baar Rooh Daakhil Huyi Ya Hogi
* 1. Meesak Ke Din Daakhil Huyi Jab Allah Ne Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Pusht Se Unki Zurriyat Nikaali Aur Sabse Apni Rabubiyat Ka Iqraar Liya
* 2. Jab Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ne Khanaye Kaaba Ki Tameer Ki To Rub Ke Hukm Par Aapne Hajj Ka Elaan Kiya Jise Tamam Insano Ne Suna Aur Jo Paida Nahim Hue The Unhein Bhi Maa Ke Shikam Me Ya Baap Ki Pusht Me Unki Roohein Daalkar Ye Aawaz Sunwayi Gayi
* 3. Hazrat Moosa Alaihissalam Ne Tauret Sharif Me Ummate Muhammadiya Ka Zikr Padha To Aapne Unse Mulakaat Aur Unki Aawazein Sunne Ki Khwahish Zaahir Ki To Rub Ne Unki Aawazein Unke Baapo Ke Pusht Me Daalkar Sunwayi
* 4. Maa Ke Peit Me
* 5. Qabr Me Munkar Nakeer Ke Sawaalat Ke Waqt
* 6. Maidane Mahshar Me
* 📕 Tafseere Azeezi,Surah Baqar,Safah 407 
* 📕 Tafseere Nayimi,Paara 9,Safah 386

Har Insaan Ke Jism Me 2 Rooh Hoti Hain

* Har Insaan Ke Jism Me 2 Rooh Hoti Hain Ek Roohe Yaqza Yaani Roohe Sailani Jo Ki Neend Ke Waqt Nikal Jaati Hai Aur Ghoomti Phirti Hai Jisse Ki Hum Khwab Dekhte Hain Aur Doosri Rrohe Hayaat Yaani Roohe Sultani Jo Ki Maut Ke Waqt Nikalti Hai
* 📕 Tafseere Saavi,Jild 2,Safah 18

Marne Baad Musalman Ki Rooh Kahan Rehti Hain? 

* Marne Baad Musalman Ki Roohein Qabr Par Kuchh Ki Chah Zam-zam Par Kuchh Ki Aasmano Zameen Ke Beech Kuchh Ki Illeen Me Kuchh Ki Sabz Parindo Me Arsh Ke Neeche Aur Kuchh Ki Jannat Me Hazrat Ibraheem Alaihissalam Wa Hazrate Saarah Raziyallahu Taala Anha Ki Nigarani Mr Raha Karti Hain Isi Tarah Kaafiron Me Kuchh Ki Roohein Waadiye Barhoot Ke Kunwe Me Kuchh Ki Marghat Par Kuchh Ki Saato Zameen Ke Neeche Kuchh Ki Sijjeen Me Aur Kuchh Ki Hazre Maut Par Rahti Hain
📕 Fatawa Razviyah,Jild 4,Safah 125

Post a Comment

0 Comments