Azan Ke Waqt Baatein Karna Kaisa

Aaj Kal Awam To Awam Kuch Ahle Ilm Hazrat Bhi Azan Ke Waqt Baaton Mein Mashghool Rahte Hain

azan Ke Waqt Baatein Karna kaisa

Azan Ke Waqt Baatein Karna Kaisa


*Shariyyat Ka Huqm Hamari Islah*
*Mas-ala Ye Hai Ki Jab Azan Ka Waqt Ho To Itni Der Ke Liye Salam Kalaam Aur Jawabe Salam Tamam Kaam Band Kar Dena Chahiye
*
 Yahan Tak Ki Qura-an Majeed Ki Tilawat Mein Azan Ki Awaz Aaye Toh Tilawat Roak De Azan Ko Ghaur Se Sune Aur Jawab De 
 Jo Azan Ke Waqt Baaton Mein Mashghool Rahe Us Par Ma-az Allah Khatima Bura Hone Ka Andesha Hai 

 
          *Mafhume Hadees* 
          
          *Aur Agar Rasta Chalne Mein Azan Ki Awaz Aaye Toh Ruk Kar Azan Sune Aur Jawab De 
          *
Aur Agar Kai Jagah Se Azan Ki Awaz Aaye Toh Unmein Se Pahli Azan Ka Jawab Dena Zaruri Hai Aur Sabka Jawab Dene Behtar Hai 

📚 Fatawa Razwiyya, Bahare Shariyyat Hissa 3 Safah 36 📚afah 36 📚

Post a Comment

0 Comments