SHAITAN-KI-AAWAZ-MUSIC

SHAITAN-KI-AAWAZ-MUSIC
Irsaad farmaya aur yaad karo jab hamne  farmaya tamaam farishto se
Aadam alaihissalam ko Sajda  karo.
Yaha par farishto ka ziqr hai.
Warna mufassereen farmate hai 
ki  farishton ko sajde ka huqam hua aur

Allah ki tamam makhlook ko huqum tha ki wo bhi sajda kare siwaye iblees ke ki isne sajda na kiya aur ye farishta nahi tha
Balki jinn tha.
Iblees bola ki me use sajda karu jise tune mitti se banaya .
Iblees
bola bhalaa too dekh tune Hazrat Aadam Alaihissalam
ko
mujh par fazilat di iblees ne Allah ta,ala ki janib me ye kaha ki
Aye Allah tune Aadam Alaihissalam
ko mujhpar fazilat di to mai Aadam alaihiss salam ki Aulaad ko gumraah karke tabaah kar dunga .
Thode se log bach jayege baki sabko mai gumraah kar dunga.
Allah ta,ala ne farmaya tu jaa bas jo koi inme se teri pairwi karega besaq un sabki sazaa jahannum hai aur ye mukammal sazaa hai .
Tumhare tamam kartooton ki poori poori sazaa tumhe jahannum me di jayegi ..
Allah ta,ala be niyaaz hai . Wo kisi ki ibaday ka mohtaaz nahi agar saare log shaitan ke pairokar ban jaaye tab bhi Allah ta,ala ki shaan ko koi nukshan nahi pahuncha sakta ..
Tu isme se jise chahe bahkane ki takat rakhta ho tu use bahka apni Aawaz Se
Mufasseren farmate hai ki Allah ta,ala ne irsad farmaya ke iblees
tujhe jisko bahkana hai aur teri takat hai tu use apni awaaz ke jariye bahka.
Hazrat abdullah ibne mas'ood RdiAllahu ta,ala anhu aur digar sahaba ikraam aur digar mufassereen ke aqwaal ki roshni me ye bat Sabit hai .
ki
Shaitani awaaz kisko kahte hai
Kabhi apne nahi suna hoga ki shaitaan saitan ki awaaz aapne suni ho
shaitaan khud to apko nazar bhi nahi aata na aap awaaz sun sakte hai
in sabse muraad gaane baaze hai in sab se muraad moshiqui hai
Ki shaitan ki awaaz ye gaane baaje hai ye moshiqui
hai .
Mufassereen farmate hai ab aap
soch le ki hamare ghar me kahi aisa to nahi ki shaitaani aawaze buland ho rahi ho to kya jis ghar me shaitani aawaze buland ho us ghar me khairo barkat ka nuzool ho sakta hai ..??
Ye bhi Gaur kar le kahi hamare mobile phone se shaitani aawaze to buland to nahi
hoti
music ya gaane agar mobile tune
me rakkhe gaye hai aur hum use istemaal karte hai to us par bahut hame afsos karna chahiye ki afsos hum din raat shaitani aawaz sunte rahte hai .
Aap nabie Akram hazrat mohammad mustafa sallahu alaihi wassallam
hadees pak  me farmaya
ki gaana insan ke dil ko kaala kar deta hai,
Ab jo gaane baaje sunta ho filme draame dekhta ho  tv ko khole to music ki aawaz aati hai to bataiye uska namaz me dil kahan se lagega uske dil me rikkat kaha se paida hogi
Quran sunke uske aankhon se aanshu kaha se jaari hoge .
Tujhme jo takat hai tu inme se jisko chahe tu apni awaz ke jariye bahka .
Nabi e kareem sallahu alaihe wassallam apne Paida hone ka  ek
maksad bayaan karte hai .
Aap farmate hai mai gaane baaje khatm
karne ke liye bheja gya hoon
Afsos mere Aaqa Sallahu ta,ala alaihe wassallam gaane baje khatm karne ke liye aaye aur aaj musalmano me ye is kadar aam ho gye ki jo agar filmo  draamo se gaane bajo se bachta bhi ho to apne mobile ke andar musical tune ya gaane rakhkar gunahgaar ho raha hai aur kitne logo ke
kaano me ye shaitani aawaze jaati hai masjid me ye aawaje buland hoti hai ..
Masjid ho gair masjid ho musical tune rakhna haraam hai
lekin masjid me jab ye aawaze buland hoti hai
to bataiye kya maloom ki jiske mobile bajne ki wajah se masjid me musical tune baj rhi ho
Masjid me gaane baj rahe ho to ho sakta hai us par Allah ka Gazab nazil ho jaaye wo tabaah ho jaaye ki aaj tak kisi musalmaan ki zurrat nahi hui thi ki wo Allah ke ghar me music bajaye Allah ke ghar me gaana bajaye  lekin aaj is mobile be ehyiyati ki wajah se aaj musalmaan namaz padh rahe hote hai . Musical tune baj  rahi hai Allah ke ghar me Naoozubillah..
Agar  hamare mobile me musical tune hai to fauran khayam kijiye agar gaana hai ki jab call aati hai to is par gaana bajta hai to use khatam kijiye aur aajtak agar aisa rakkha ho aur masjid me kabhi baj gya ho to ro rokar Allah ta,ala se muafi mange aur touba kare,
Kyuki kafir bhi masjid ke pas se agar nikalte the jo bhai bharat se pakistan hizrat karke aaye hai unse puchiye aisa aalam tha ki agar kafir bhi agar masjid ke pas se guzarta to gaane baje band kar deta ..  lekin musalmaan masjid ke andar aisa mobile lekar aate hai jisme ya to music bajta hai  ya gaane bajte hai .
Allah ta,ala musalmaano ko akal ata farmaye...
Allah ta'ala ne Shaitan
se
farmaya
chahe Tu inpar lashkar lekar chadh ja tere sawaar lashkar ho tere paidal lashkari ho  muraad ye hai tu jis tarah chahe bahkane ki kosish kar sakta hai tujhe ekhtiyaar hai  inke maal aur inki aulad me inka sareek ban ja har muamle me teri farmadaari kare aur inhe jhoothe waade kar shaitan ke saare waade dhokhe par bane hai .
Shaitan dhokha deta hai .jhoothe waade karta hai . Lambi ummeeden dikhata hai .
Abhi chand din baad nek ban jauga ye shaitani wada hai shaitani ummeed hai .
Ha ye bat sahi hai mujhe nek banna chahiye thoda sa ye kaam ho jaaye  isse farig ho jau yu karte karte insan Qabar ke gaddhe me chala  jata hai ..
Farmaya  ye shaitan tujhse jo ho sakta hai kar le lekin ye bhi sun le besaq mere jo khas bande hai unpar tera koi Dao nahi chalega
Shaitan ka Dao kamjor hai kyuki shaitan kamzor hai rehman ki koi panah le le aur shaitan ka dusman ban jaye to shaitan use bahkane me nakaam ho jayega .
Sirf shaitan par hamla karne ke liye eik tareeka hai wo tareeka ye hai ki jaise hi shaitan ka waar aaye usko dil me pukhta na hone de fauran jhatak de aur kahe kabhi aisa nhi hoga ki Azan ki aawaz aayi aur apne shaitani khyaal ko jhatak diya aur ap namaz ke liye nikal pade to shaitan ne aapke pawn pakad liye kabhi aisa nahi hoga ..
Himmat karenge to Allah ta,ala ki madad aayegi wo to sirf burai ka khyaal hamare dil me dalta hai  ..
Lekin ap jante hai duniya ke andar aise kai log hai jo hame galat mashware dete hai to kya hum aankhe band karke unke galat mashware Qabool kar lete hai..
Agar kisi ke galat masware ko hum qabool kar le to duniya hame kya kahegi.
Are wo to bewkoof tha usne tumhe galat maswara diya tumhare andar to aqal thi tum to ise qabool na karte to shaitan hame galat mashware deta hai hum kyu qabool kare uske galat mashware ko hum jhuthla dege insha Allah ...
Aur tera rab kaam banane ke liye kaafi hai yaani Aye shaitan mere bande jab meri panah lege aur mujhse madad magege aur wo tujhse dusmani rakkhege to mai unki gaib se madad farmauga  meri madad unke liye kaafi hai
Shaitan ke fir waar nakam ho jayege ..
Fajar ki namaz ke bad 11 martba Durood Sharif padhe .
Aur 11 martba sure ikhlas padhe . Yani "Qul ho Wallah Sharif"
Agar poore din shaitan apne tamam chelo ke sath hamla kare usko bahkane me kamtab nahi ho sakta jab tak ki wo khud gunah ki kosis na kare ..
Kya mai tumhe khabar du shayaateen kispar nazil hote hai shayateen har mohtad bandhne wale gunahgaar par shayateen nazil hote hai .
Ki insan jab gunah karta hai to apne dekha hoga ki gunaah karne wale ko azeebogareeb soch paida hoti hai ..
Wo gunah ke naye naye tareeke izaad karta hai aur jo jhooth bolne wala hai frod karne wala hai jo haram kamane wala hai wo bhi naye naye tareeke unhe shyateen seekhaye hai aur isme shorabi maujood hai ke jo shayar hai .
Magar sariyat par amal nhi karte aur hade sariyat ka khyaal nhi karte to wo jab sher kahte hai to.usme kufiryaat tak bak dete hai wo asaar kahte hai to uske andar jhooth bolte hai aise asaarjp hame kufiryaat ho ya jin me jhooth ho aise asaar ke likhne wale bhi shakht gunaahgaar hai .aur aise asaar ko padhne wale sunne wale jhoomne wale gunahgaar hai .
Yaha tak ke agar koi filmi gana ho aur uske andar kufaryaat ke asaar hai aur koi use gunguna ya padhkar jhoomne lage to wo agar kurf hai to jhoomne wala bhi kafir ho jaye..
Aaj filmo me aise besumar aasar hai is par eik misaal ke liye sanjhane ke liye eik sher apke samne pes karta hu is makum ka eik sher hai .

Hasheeno ko aate hai kya kya bahane khuda bhi na jaane to hum kaise jane ..nojubillillah..
Ab dekhiye iske andar kufiyat hai ye kurf hai yaha par allah ke ilm ka inkar hai ab jo kaiset lga rha hai jo sun rha hai jhoom rha hai use maloom bhi nhi aur wo imaan se mahroom ho gya .
Ab na uski namaz qabool hogi na roje qabool hoge jab tak wo tazdeere imaan na kare .
Allah ta,ala aise asaar sunne se hum sabko mahfooj kare wo suni hui bate in logo par dalte hai ..
Sayaateen bate sunte hai aur eik dusre ki bate dusro tak pahuchate hai khastaur par jo jaadugar hai unke kabze me sarkas jinnat hote hai aur wo inke kahne par bahut saare kaam karte hai aur inme se aksar jhooth hai inhe sayaateen sarkas jinnat jo bate batate hai unme se aqsar bate jhoothi hoti hai aur bahut sher goyi karne wale shayar in shayro ki pairvi karte hai gumraah log jya tumne na dekha in shera ko ki har wadi me ye mare mare firte hai azeebo gareeb bate karte hai log khus karne ke liye jhooth bolte hai aur wo aisi bate karte hai jo khud karte nhi hai.
Aala hazrat imaame ahle sunnat imaam ahmad raja khan farmate asaar likhte aapke kalam me badi ahtiyaat hoti .
: Apke paas eik shayar aaya aur usne kaha hazrat ye maine naat likhi hai aap jara sun lijiye .
Apne kaha sunaiye to usne aasar padhe jiske andar ye bat thi ke mahboob e kareem sallahu ta,ala alaihe wassallam apki yaad me na mai so sakta hu na mai kha sakta hu na pee sakta hu bas mai apki hi yaad me mast hu ..
Aala hazrat imaam ahle sunnat ahmad raza ne farmaya ki tumne jo likha hai kya tumhari ye dili kaifiyaat hai .
Kitne din se tumne khana nhi khaya aur kitni raato se tum soye nhi ho  to wo kahne laga hazrat ye to sher hai ye to eik jajbat ka izhaar hai meri aisi halat to nhi hai to apne farmaya jhooth aur wo bhi sarkar ki baargaah me sarkar ki bargaah me jhooth bol rhe ho to in shero ki majammat ki gyi lekin wo sherajo sariyat ke dayre me hai unki tareef aage ki gyi magar wo shera jo imaan laye aur unhone ache amal kiye aur wo allah ko bahut yaad karte hai
: Behudgi jhooth ye kufiryaat nhi hote balki allah ka zikr hota hai
: Mahboob ka zikr hota hai wo madad karte hai iske bad ke unpar zulm kiya gya .
Muraad ye ki kafiro ne musalmano ke virodh me asaar likhe kai musalman sero ne asaar ka jawab asaar se diya .
To jinpar zulm kiya gya aur aasaar ki zuban me unse tanz kiya gya in nusalmaan shero ne unka jawab asaar se diya ke talwar ka jawab talwar ne diya  nsar ka jawab nas ar se hoga
Aur asaar ka jawab asaar se hoga isliye hazrat sabir razi allahuta,ala anhu  kya marez de .
Nabi sareef me khade  hote aur huzoor sallahu alaihe wassallam inke liye mimbr bichate aur kafir jo asaar ki surat me huzoor sallahu alaihe wassallam ki tauheen karte to hazrat e hasaan ne asaar ke andar hi unka jawab dete aur huzoor unke liye duae farmate .
Ankary jalim log jaante the kaun si jagah wo log palta khayege .
Yani kaha se unpe azaab aayega aur inki tarrkki ekdam jillat me tabdeel ho jayegi ankreeb wo jaan lege .
Ye surat nukammal hui ...akhir me gunahgaaro ke liye ibrat hai 
Allah ta,ala hame gunaho se sachchi pakki tauba karne ki taufeek ataa farmaye. ..

For More Msgs Click This Link
    www.Diniraah.in
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments