Sawal Allah Kaun Hai
JAWAB- Jisne Tamaam Aalam Aur Dusre Jahaan Ko Paida Kiya Usi Paak Zaat Ka Naam Allah Hai
Tamaam Aalam Zameen Aasmaan Wagairah Sara Jahan Pahle Bilkul Napaid Tha Koi Cheez Bhi Nahi Thi Fir Allah Ta-ala Ne Apni Qudrat Se Sabko Paida Kiya To Yeh Sab Kuch Maujood Hua
Wah Hamesha Se Hai Aur Hamesha Rahega Uska Koi Shareek Nahin Wah Be Parwaah Hai Kisi Ka Muhtaaj Nahin Sara Aalam ( Yani Duniya ) Uski Muhtaaj Hai Koi Cheez Uski Misl Nahin Woh Sabse Yakta Aur Nirala Hai
Ye Bhi Padhen👉Imaan Kise Kahte HaiN
Ye Bhi Padhen👉QURAAN- me 25 Mashhoor Nabiyon KE NAAM Aye HAIN
Ye Bhi Padhen👉Azaan Ka Jawab Kaise Den
Allah Kaun Hai
Wah Zindah Hai Aur Wahi Sabka Khalique Wa Maalik Hai Wah Qudrat Wala Hai Wah Har Cheez Ko Janta Hai Sabki Zindagi Aur Maut Ka Maalik Hai
Jisko Jab Tak Chahe Zindah Rakhe Jise Chahe Maut De Wohi Sab Ko Jilata Aur Marta Hai
Wahi Sabko Rozi Deta Hai Jisko Chahe Izzat Aur Zillat Deta Hai Wah Jo Kuch Chahe Karta Hai Wahi Ibadat Ke Layak Hai
Na Usne Kisi Ko Janaa Na Na Wah Kisi Se Jana Gaya Na Wah Biwi Bachchon Wala Hai
Wah Kisi Par Zulm Nahin Karta Wah Insaaf Wala Hai Wah Gunahon Ko Bakshne Wala Hai
Wah Sab Par Haakim Hai Us Par Koi Hukm Chalane Wala Nahin
Duniya Mein Jo Kùch Bhi Hota Hai Usi Ke Hukm Se Hota Hai Baghair Uske Hukm Se Ek Zarrah Hil Nahin Sakta Uske Kisi Hukm Aur Uske Kisi Kaam Mein Kisi Ko Rok Tok Ki Majaal Nahin
Na Wah Sota Hai Na Oonghta Na Kabhi Gaafil Hota Hai Allah Ta-ala Jahat Aur Makaan Wa Zamaan Wa Harkat Wa Sukoon Aur Shaklo Surat Waghairah Makhlukaat Ki Tamaam Sifaat Wa Kaifiyaat Se Paak Hai
Ye Bhi Padhen👉Magrib Aur Ishaa Ki Namaz Ka Time Kabtak Rehta Hai
Ye Bhi Padhen👉Sohbat Ka islamic Tariqa
Allah Kaun Hai
Allah Ta-ala Noor Hai Wah Kisi Cheez Se Bana Nahin Hai,
Allah Makhluk Nahin Jo Kisi Cheez Se Bana Ho Har Cheez Ka Banane Wala Khalik Hai Kunki Banti Woh Cheez Hai Jo Pahle Se Na Ho Aur Allah Hamesha Se Hai Allah Ne Roshni, Hawa, Paani, Aag, Mitti, Waghairah Sab Ko Usi Ne Paida Kiya Hai ( Wallahu Ta-ala Aalam )
(Jannati Zewar Safah 166 - 170)
(Fatawah Shareh Bukhari Safah 142)
Nabi Kareem ( Sallallahu Alaihi wasallam ) Ne Irshaad Farmaya Ki Har Musalmaan Aurat Aur Mard Ko Ilm Deen Seekhna Farz Hai
Ilm Haasil Karne Me Sabse Pahle Use Ilmul Aqaid Haasil Karna Zaruri Hai Wo Bhi Daleel Ke Sath
Agar Insaan Ka Aqeeda Hi Durust Nahin Hoga To Laakh Namaze Padh Le Laakh Ibadate Kar Le Wo Use Nafa nahi pahucha Sakti,
Jab Bachcha Madarse Jata Hai To Bachche Ko Bachpan Hi Me Sikha Diya Jata Hai Ki Allah Ne Hi Sari Duniya Ko Banaya Hai
Har Cheez Allah Hi Ne Banai Hai Aag Hawa Pani Mitti Roshni Aur Baaki Har Cheez Kisi Bhi Cheez Ne Allah Ko Nahi Banaya
Jab Kuch Bhi Na Tha To Allah Hi Tha Na Wo Kisi Ka Baap Na Wo Kisi Ka Beta Allah Ek Noor Hai Aur Apne Noor Se Huzoor Sallallahu Alaihi wasallam Ko Banaya Aur Fir Deegar Cheezon Ko Banaya
Lihaza Bachcha Bachcha Janta Hai Ki Is Puri Qaynaat Ko Allah Ne Banaya Hai
Agar Maaz Allah Kisi Ka Aqeeda Ye Hai Ki Allah Pahle Nahin Tha Noor Ne Allah Ko Paida Kiya Hai To Woh Dayre Islaam Se Kharij Ho Jayega,
Jis Tarah Doctor Ke Ghar Paida Hone Wala Paidaishi Taur Par Doctor Nahin Ban Jata Usey Bhi Doctor Ki Padhai Karni Padti Hai Isi Tarah Se Agar Hum Musalmaan Ke Ghar Paida Ho Gaye Hain To Hamein Bhi Ilm Hasil Karna Farz Hai
Agar Ilm Hasil Nahin Kareinge To Imaan Khatre Me Pad Jayega Baghair Ilm Ke Apna Imaan Bachana Utna Hi Mushkil Hai Jaise Jung Me Sipahi Ka Bghair Hathiyaar Ke Apni Jaan Bachana
Fuqhaye Islaam Ye Farmate Hain Ki Har Insaan Ko Kam Se Kam Har Din Me Ek Baar Ehtiyatan Apna Tajdeede Imaan Karna Chahiye Aur Shadi Shuda Hain To Har Mahine Kam Se Kam Ek Baar Ehtiyatan Tajdeede Nikah
Aur Is Ehtiyaat Se Ye Hoga Ki Jaane Me Anjane Me Khuda Na Khwasta Agar Zubaan Se Kabhi Kalmae Kufr Nikal Gaya Ho Ya Koi Aisa Fail Ho Gaya Ho Jisse Insaan Dayre Islaam Se Bahar Ho Gaya Ho To Tauba Karne Se Imaan To Salamat Rah Jayega Jo Insaan Ki Sabse Badi Daulat Hai
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe