biography of hazrat ayesha siddiqa

biography of hazrat Ayesha siddiqa

Aap ki wilaadat 1 Nabawi (609 A.D.) me Makka me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Abu Bakr Siddeeq bin Abu Quhaafa Uṡmaan radiy-Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naam Umme Rumaan, Zainab bint Aamir al-Kinaaniyah radiy-Allāhu ta’ala anha hai.

biography of hazrat ayesha siddiqa


Aap Quraish ke Banu Taym qabeele se ta’alluq rakhti hain.
***************
10 Nabawi (619 A.D.) me Hazrate Khadeejatul kubra radiy-Allāhu ta’ala anha ka wisaal hua. Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam be-had ghamgeen rehne lage. Kisi me itni himmat nahi thi ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko dusre nikaah ki baat bhi kar sake.

Hazrate Khawla bint Hakeem radiy-Allāhu ta’ala anha ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko aap ki tanhai door karne ke liye dusra nikaah karne ka mashwara diya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daryaaft kiya to unho ne bataaya ke “Agar aap kunwaari ladki se nikaah karna chaahe to Aa'isha binte Abu Bakr Siddeeq tayyaar hain aur agar bewa se nikaah karna chaahe to Sawdah bint Zam'ah hain.”
Hazrate Aa'isha ki umr kam thi. Chunaanche Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Sawdah bint Zam'ah se nikaah karne ke liye farmaaya.

***************
13 Nabawi (622 A.D.) Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath Hijrat karke Makka se Madeena munawwara tashreef laaye.
Hijrat ke kuchh mahine baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Zaid bin Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu ko apne aur Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ke pariwaar ko Makka se Madeena laane ke liye bheja.
Aap apni waalida Umme Rumaan, apni bahen Asmaa, apne bhai Abdullāh aur Ahle bait aur chand ashaaba ke saath Madeena aa gaye tab Aap ki umr 13 saal thi.

***************
2 Hijri (624 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se Aap ka nikaah hua.
Aur Aap 15 saal ki umr me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alahi wa sallam ki teesri zauja bani.

Azwaaje mutahhiraat me se sirf Aap hi Kunwaari (virgin) thi aur sirf Aap ke hi waalidain dono Muhaajir the.

biography of hazrat ayesha siddiqa


Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Aap se behad mohabbat karte the.
Aap aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ek hi bartan me se paani lekar ghusl kiya karte the.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam jab namaaze tahajjud padhte the tab Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke aage soi hui hoti thi.
Jab Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath ek lihaaf me soi hoti thi tab Wahi e khuda naazil hua karti thi.

*************
Ek roz Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne se farmaaya “Aye Aa'isha! Jibr'eel tum par Salaam bhejte hain.” to Aap ne kaha “Beshak aap wo dekhte hain jo main nahi dekhti.”
(Bukhari , Kitaab-ul-Fazaa'il-ul-Sahaabah, 3557)

*************
Ek martaba Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laa rahe the. Aap darwaaze par khadi thi. Aap ne dekha ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam par lagaataar baarish ho rahi hai. Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aaye to Aap foran toliya lekar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka sar mubarak ponchne lagi. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne puchha “Aaisha! Kya kar rahi ho?” Aap ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Jab Aap aa rahe the aa rahe the to aap par lagaaaar baarish h rahi thi jab ke aap ka sar to bilkul sukha hai.” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “Woh aam baarish nahi thi balke rahmate ilāhi baarish thi jo mujh par har waqt jaari rehti hai. Aaj ALLĀH k fazl se tum ne woh baarish dekhi.”

*************
Ek martaba Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap se farmaaya “Aa'isha! Aaj jo dil chaahe maang lo, Aaj main bahot khush hu.” Kaafi der tak sochne ke baad Aap ne arz kiya ke “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Kya main apne waalide mohtaram se mashwara kar sakti hu?” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Zaroor.”
Aap apne waalid Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke ghar par tashreef le gai aur saari baat bataai. Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ne farmaaya “Beti! Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam se puchhna ke : Me'raaj ke mauqe par aap arshe moalla par tashreef le gaye the waha aap ki ALLĀH ta’ala ke saath jo raaz o niyaaz ki baat hui thi un me sirf ek baat bata den.”
Aap ne waapas aakar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se ye baat arz ki to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “Aa'isha! Wo baaten raaz ki thi lekin chunki maine waada kiya hai is liye ek baat zaroor bataunga. Maine ALLĀH se puchha tha ke : Tujhe apne bande ka kaun sa amal sab se zyada pasand hai? To ALLĀH ta’ala ne kaha : Jab mera koi banda kisi toote hue ko jodta hai, kisi ki madad karta hai to us ka ye amal mujhe sab se zyada pasand hai.”

*******************
Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke “Aye Aa'isha! Agar tum mujh se milna chaahti ho to dunya se musaafir sawaar ke barabar hi saamaan lena aur ameero ke paas baithne se bachna aur kapde ko puraana na samajhna jab tak us me paivand na laga lo.”

*******************
Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam Aap ki god me sar rakh kar so rahe the. Aap aakhirat ko yaad karke ro padi aur Aap ke aansoo Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke chehre mubarak par gire to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki aankh khul gai. Farmaaya “Aa'isha! Kyun ro rahi ho?” Aap ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Aakhirat ko yaad karke roti hu. Kya log Qayaamat ke din apne ghar waalo ko yaad karenge?”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Ba-Khuda! 3 jagaho par logon ko apne siwa kuuchh yaad nahi hoga : (1) Jab Naam e Aamaal diye jaaynge tab sab kuchh bhul kar yehi sochenge ki Naam e Aamaal daayen haath me milta hai ya baayen haath me, (2) Jab Mizaan e Amal par aamaal tole jaayenge tab log yehi dekhenge ki un ki nekiyan kam hoti hain ya barabar? aur (3) Pulsiraat se guzarte waqt sab kuchh bhul jaayenge.”
(Mukaashfatul Quloob)

*******************
Waaqya e Ifaaq :
2 Sha’abaan 5 Hijri me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Hazrat Zaid ibn Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Madeena me apna Naa'ib banakar islaami fauj ke saath Banu Mustaliq se jung ke liye gaye. Is Ghazwe me Hazrate Aa'isha aur Hazrate Umme Salama radiy-Allāhu ta’ala anhuma bhi Aap ke saath thi. Hazrate Aa'isha ek band Haudaaz me sawaar hokar safar kiya karti thi aur kuchh makhsoos aadmi us haudaaz ko oont par laadne aur utaarne ke liye muqarrar the.

Jung e Muresia ke baad jab Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam Madeena waapas aane lage to raat ko ek manzil par padaav kiya.
Rawaangi se kuchh waqt pehle Aap raf’a-e-haajat ke liye tashreef le gai. Jab waapas aai to dekha ki Aap ke gale ka haar toot kar kahi gir gaya hai. Aap us haar ki talaash me dobaara lashkar se baahar chali gai. Is martaba waapsi me kuchh der lag gai aur lashkar rawaana ho gaya.
Aap ka haudaz laadne waalo ne yeh khayaal kiya ki Ummul mo’mineen Sayyeda Aa'isha radiy-Allāhu ta’ala anha haudaz ke andar tashreef farma hain. Is liye haudaaz ko oont par laad diya aur qaafla ke saath rawaana ho gaye.
Aap manzil par waapas aai to waha koi aadmi maujood na tha. Tanhai me bahot gabhrai. Andheri raat me akele chalna bhi munaasib na tha. Is liye Aap wahi aaraam karne lagi, socha ki : Jab agli manzil par log mujhe na paayenge to zaroor meri talaash me yaha aayenge.

Sahaabi e Rasool Hazrate Safwaan bin Mu'atal Sulmi radiy-Allāhu ta’ala anhu hamesha lashkar ke pichhe pichhe chala karte the taaki lashkar ka koi saamaan gir jaaye to uthaate chale. Wo jab us manzil par pahunche to Hazrate Aa'isha radiy-Allāhu ta’ala anha ko dekha. Parde ki aayat naazil hone se pehle wo baarha Ummul Mo’mineen ko dekh chuke the. Is liye dekhte hi pehchan liya aur Aap ko murda samajhkar ‘Inna lillāhi wa inna ilaihi raajioon’ padha. Un ki aawaaz sunkar Aap jaag gai. Hazrate Safwaan bin Mu'atal Sulmi radiy-Allāhu ta’ala anhu ne foran Aap ko apne oont par sawaar kar liya aur khud oont ki muhar thaam kar paidal chalte hue agli manzil par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke paas pahunche.

Munaafiqeen ke sardaar Abdullāh bin Ubay ne Hazrate Safwaan bin Mu'atal Sulmi radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath Hazrate Aa'isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha ka tanha safar karne ke waaqye ka pure Madeena me khoob charcha kiya aur Aap par tohmat lagaana shuru kiya.

Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apne ashaaba se is ke baare me guftagu ki to tamaam ne yehi kaha “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! ALLĀH ne Aap ko tamaam aib se paak farmaaya hai aur khuda kabhi aisi aurat ko aap ki zaujiyat me na rakhta jo paak daaman na ho. Yaqeenan Hazrate Aa'isha paak daaman hain aur ye munaafiqeen jhute hain.”

Madeena pahunchkar Hazrate Aa'isha Siddeeqa thakaan ki wajah se beemaar ho gai aur kamzori ki wajah se apne bistar par hi aaraam karti rahi aur kisi se mulaaqaat nahi ki. Is liye Aap is baat se be-khabar thi.
Jab marz se kuchh sehat haaasil hui aur ek raat Hazrate Umme Mistah radiy-Allāhu ta’ala anha ke saath raf'a e haajat ke liye sehra me tashreef le gai to kisi ko is baat ka zikr karte suna.
Ye jaankar Aap sadme ki wajah se phir se beemaar ho gai aur din-raat roti rahi. Aakhir me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se ijaazat lekar apni waalida ke ghar chali gai. Aap ki waalida ne Aap ko bahot tasalli di. Magar Aap lagataar roti rahi. Isi haalat me na-gaha Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laaye aur farmaaya “Aye Ayesha! Tumhare baare me ye sab khabar phailaai gai hai. Jab ke ALLĀH ta’ala hi janata hai ke haqeeqat kya hai.”
Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se kaha ki “Logo ne ek be-bunyaad baat udaai hai aur kuchh log ise sach maan rahe hain. Is surat me agar main ye kahu ki main paak daaman hu to log meri baat ko sach nahi maanenge. Haalaanki ALLĀH ta’ala jaanta hai ki main is ilzaam se bari aur paak daaman hu. Aur mujhe yaqeen hai ki ALLĀH ta’ala zaroor meri bara’at zaahir farmaega.”

Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne mimbar par khade hokar musalmano se farmaya ki “Us shakhs ki taraf se mujhe kaun ma’azoor samjhega ya meri madad karega jis ne meri biwi par bohtaan taraashi karke meri dil aazaari ki hai. Khuda ki qasam, Main apni biwi ko achhi hi jaanta hu aur un logo (Munaafiqo) ne is bohtaan me ek aise mard ka zikr kiya hai jis ko main bilkul achha hi jaanta hu.”

Is ke baad ALLĀH ta’ala ne foran usi majlis me Wahi naazil farmaai :
“Aur ALLĀH tumhare liye aayato ko waazeh taur par bayaan farmaata hai, Aur ALLĀH khoob jaanne waala badi hikmat waala hai.
Beshak jo log is baat ko pasand karte hain ke musalmano me be-hayaai phaile un ke liye dunya me aur aakhirat me dardnaak azaab hai, Aur ALLĀH jaanta hai aur tum nahi jaante.
Aur tum par ALLĀH ka fazl aur us ki rahmat na hoti to (aisa karne par foran azaab aa jaata) magar ALLĀH bada shafeeq bada raham farmaane waala hai.
Aye eimaan waalo shaitaan ke raasto par na chalo, Aur jo shakhs shaitaan ke raasto par chalta hai to wo yaqeenan be-hayaai aur bure kaamo ka hukm deta hai, Aur agar tum par ALLĀH ka fazl aur us ki rahmat na hoti to tum me se koi shakhs bhi kabhi paak na ho sakta lekin ALLĀH jise chaahta hai paak farma deta hai, Aur ALLĀH khoob sunne waala jaanne waala hai.
Aur tum me se buzurgi waala aur gunza'ish waala (shakhs) is baat ki qasam na khaaye ke woh (un) rishtedaaro aur mohtaajo aur ALLĀH ki raah me hijrat karne waalo ko (saza) denge unhe chaahiye ke (un ka qusoor) muaf kar de aur darguzar kare, Kya tum is baat ko pasand nahi karte ke ALLĀH tumhe bakhsh de, Aur ALLĀH bada bakhshne waala maherbaan hai.
Beshak jo log un paarsa mo’min aurto par jo be-khabar aur na-aashna hain tohmat lagaate hain wo dunya aur aakhirat me mal'oon hain aur un ke liye zabar-dast azaab hai.”
(24 Soorah an-Noor, Aayat 18 se 23)

Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ki “Aye Aa'isha! Tum khuda ka shukr ada karte hue us ki Hamd karo ki us ne tumhari bara'at aur paak daamani ka ailaan farma diya.”

Is tarah ALLĀH ta’ala ne Hazrate Aa'isha Siddeeqa ko paak daamani ka elaan farmaaya aur Munaafiqo ne jo bohtaan lagaaya tha woh jhuta ṡaabit hua.

[Soorah an-Noor ki Aayat no. 11 me bhi is ka bayaan aaya hai :
“Beshak jin logo ne bohtaan lagaaya tha wo tum hi me se ek jama’at thi, Tum us (waaqye) ko apne haq me baraamat samjho balke woh tumhare haq me behtar hai, Un me se har ek ke liye utna hi gunaah hai jitna us ne kamaaya, Aur un me se jis ne us me sab se zyada hissa liya us ke liye zabar-dast azaab hai.]”

Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Hazrate Aa'isha Siddeeqa aur chand ashaaba ke saath Haar ki talaash me Maqaam-e-Baida ya Maqaam-e-Jaish tak gaye. Raat ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ki god me sar rakhkar aaraam farmaaya. Subah ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam bedaar hue to dekha ke waha kahin paani maujood nahi tha. Usi waqt Aayate Tayammum naazil hui :
“Aye eimaan waalo! Jab namaaz ke liye khade ho to (is se pehle) apne chehro ko aur apne haatho ko kohniyo samet dho lo aur apne saro ka masah kar lo aur apne paanvo ko takhno samet (dho lo), Aur agar tum haalate janaabat me ho to (nahaakar) khub paak ho jaao, Aur agar tum beemaar ho ya safar me ho ya tum se ko raf’a e haajat se (faarigh hokar) aaya ho ya tum ne aurat se qurbat ki ho phir tum paani na paao to paak mitti se tayammum kar liya karo, Pas us [paak mitti] se apne chehro aur apne haatho ka masah kar lo, ALLĀH nahi chaahta ke wo tumhare upar kisi qism ki sakhti kare lekin wo chaahta hai ke tumhe paak kar de aur tum par apni ne'amat puri kar de taake tum shukr guzaar ban jaao.”
(Qur’an : 5 Surah al-Maa'idah, Aayt 6)

Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aur tamaam ashaaba ne tayammum kiya aur namaaze Fajr ada ki.
Is mauke par Hazrate Usaid bin Huzer radiy-Allāhu ta’ala anhu ne khush hokar kaha ki “Aye Abu Bakr ki Aal! Yeh tumhare zariye pehli hi barkat nahi hai.”
Phir jab unho ne oont ko uthaaya to us ke neeche haar mila.

****************
Hajjatul Wida me Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath thi. Makka ke qareeb maqaame Sarif par pahunche to Aap ko haiz shuru ho gaya. Aap ko ghamgeen dekhkar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Yeh har aurat ke liye fitri hai. Is se ehraam me ki khalel nahi hogi aur tumhe Hajj ke saare arkaan ada karne hain, sirf ka’aba shareef ka tawaaf nahi karna hai aur namaaz nahi padhni hai jab tak ke ghusl karke paak na ho jaao.”

Hajj ada karne ke baad Makka mukarrama ke qayaam ke dauraan Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko aap ke bhai Hazrate Abdur Rahmān bin Abu Bakr radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath Maqaame Tan'eem par bheja ke waha se Ehraam baandhkar Masjide Haraam par aayen aur Umrah karen jo Hajj se pehle haz ki wajah se nahi kiya tha.
Yeh maqaam ‘Masjide Aa'isha’ ke naam se mash'hoor hai. Ye Masjid e Haraam se taqreeban 7.5 ki doori par Tan'eem me hai. Makka shareef me qayaam ke dauraan Umrah ka ehraam baandhne ke liye log yaha jaate hain.

****************
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka wisaal Aap ke makaan me Aap ki god me hua.
Aur Aap ke hi makaan me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam madfan hue.

****************
Aap Haafiz e Qur’an thi.
Aap ke paas Qur’an majeed ki ek naqal thi.
Aap Aayaate Quraniya ke ma’ani wa mafaheem ko khoob achchi tarah samajhti thi.

Aap se 2210 ahaadeeṡ marwi hain.

Un me se chand Hadeeṡ e nabawi :
(1) Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Kaamil tareen Mo’min woh hai jo behtareen Akhlaaq ka maalik hai aur apne Ahl-o-Ayaal ke saath nihaayat narm hai.”
(Tirmizi, 5/9, Hadeeṡ -2612)

(2) Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
“Jab ALLĀH kisi gharaane se bhalaai ka iraada farmaata hai to un (ke dilo) me ulfat wa narmi paida farma deta hai.”

(3) Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Jo Museebat kisi musalman ko pahunchti hai ALLĀH ta’ala use us ke Gunaaho ka Kaffaara kar deta hai, Ek kaanta bhi agar jism ke kisi hisse me chubh jaaye to woh bhi us shaksh ke gunaaho ka kaffaara ban jaata hai.”
(Bukhari, Jild -6, Hadeeṡ -5640)

(4) Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Jab koi shakhs kisi khubsurat aurat ko dekhkar nazar jhuka le to ALLĀH ta’ala use ibaadat me aisi lazzat ata famaata hai jis se woh roohaani khushi mehsoos karta hai.”
(Musnad Ahmad, Jild -5, Hadeeṡ -264)

****************
Hazarte Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke daur e khilaafat me kai martaba zaroorat padne par Aap ne siyaashi muamalaat me mashwara diya.

Aap logo ko Sunnate Rasool ki ta’aleem deti.

*************
Ek martaba Aap ki khidamt me aap ki bhatiji Hazrate Hafsa bint Abdur Rahmān haazir hui. Aap ne dekha ke unho ne baariq dupatta odh rakha hai. Aap ne us dupatte ko phaad daala aur us ke badle ek mota dupatta odha diya.
Aur yeh Hadeeṡ shareef yaad dilaai ke :
“Aurat parde me rehne ki cheez hai. Jab woh be-parda hokar baahar nikalti hai to Shaitaan us ko jhaank jhaank kar dekhta hai.”
(Tirmizi, Jild -1, Baab -796, Safa – 600, Hadeeṡ -1173)

*************
Aap riwaayat farmaati hain ki
“Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam jab beemaar hote to ‘Mu’awwizatain’ ya’ani Qul aoozu birabbil falaq aur Qul aoozu birabbin naas ki soorah padh kar apne upar Dam kar liya karte the.”
(Bukhari, Jild -2, Hadeeṡ -5735;
Muslim, Hadeeṡ -2192)

*************
Madeena munawwara ke log ek baar qahet padne ki wajah se pareshaan ho gaye. Wo Hazrat Aa'isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha ke paas apni shikaayat lekar pahuche. Aap ne farmaaya ki ‘Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki Qabr ke paas jaao aur un ke Rauze aur aasmaan ke darmiyaan upar ek khidki khol do, taaki Rauza-e-aqdas aur aasmaan ke darmiyaan koi parda na rahe.’
Logo ne aisa kiya to bahot zor se baarish shuru ho gai. Hari bhari ghaas nikal aai aur un ke oont mote ho gaye.

*************
Sakhaawat ke muamale me bhi Aap be-miṡaal thi.

Ek martaba Aap ke paas kahi se 1,00,000 dirham aaye. Aap ne foran wo sab maal logo me taqseem kar diya aur ek dirham bhi ghar me baaqi nahi chhoda. Us din wo rozadaar thi.
Umme Durra ne arz kiya ke “Aap ne sab dirhamo ko baant diya aur ek dirham bhi baaqi nahi rakha jis se Aap gosht khareed kar Roza iftaar kar leti.” To Aap ne farmaaya ke “Tum ne agar mujh se pehle kaha hota to ek dirham ka gosht manga leti.”

************
Aap ka wisaal 17 Ramazaan 57 Hijri (July 677 A.D.) Mangal ki raat ko hua.

Hazrate Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu ne namaaze tahajjud ke baad Aap ki namaaze janaaza padhai.
Aap ki wasiyat ke mutaabiq Aap ko raat me dafn kiya gaya.

Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.

************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ummul mo’mineen Hazrat Aa'isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments