Mah e Shaban ki Fazilat In Hindi Urdu

Maah e Sha’abaan-ul-Moazzam Mubarak.
(माहे शअबान-उल-मुअज़्ज़म मुबारक)
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

'Sha’abaan' lafz 'Sha’ab’ se bana hai jis ka ma’ana hai phailna, bikharna, alag alag hona.
Arab me aam taur par is maah me rizq ki talaash me aur tijaarat ke liye log alag alag maqaamaat par safar kate the.

Mah e Shaban ki Fazilat In Hindi Urdu


 ‘Jab Maah e Sha’abaan aa jaaye to apne jismo ko paakeeza rakho aur is mahine me apni niyyaten achhi rakho aur unhe haseen banaao.’

(Mukaashafat ul quloob)

*****************
Is barkat wa rahmat aur fazeelat waale mahine me Shab e Baraat hai.
15wi Sha’abaan ki mubarak raat me ALLĀH ta’ala ki rahmat ka khaas zahoor hota hai aur ALLĀH ta’ala bando ko Rizq aur Aafiyat aur Maghfirat ata farmaata hai.

Mah e Shaban ki Fazilat In Hindi Urdu


Maahe Sha’abaan ka Chaand dekhkar Surah al-Qaariah padhen :


بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
الْقَارِعَةُ
مَا الْقَارِعَةُ
وَمَا أَدْرَاكَ مَا الْقَارِعَةُ
يَوْمَ يَكُونُ النَّاسُ كَالْفَرَاشِ الْمَبْثُوثِ
وَتَكُونُ الْجِبَالُ كَالْعِهْنِ الْمَنْفُوشِ
فَأَمَّا مَنْ ثَقُلَتْ مَوَازِينُهُ
فَهُوَ فِي عِيشَةٍ رَاضِيَةٍ
وَأَمَّا مَنْ خَفَّتْ مَوَازِينُهُ
فَأُمُّهُ هَاوِيَةٌ
وَمَا أَدْرَاكَ مَا هِيَهْ
نَارٌ حَامِيَةٌ

Bismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Al-qaariyatu.
Maa al-qaariyatu.
Wa maa adrāka maa al-qaariyatu.
Yaum nakoonun naasu kal-faraashul mabṡooṡ.
Wa takoonul jibaalo kal'ihnil manfoosh.
Fa'ammaa man ṡakolat mawaazeenuhū.
Fa'huwa fee eishatir raadiyati.
Wa ammaa ma khaffat mawazeenuhū.
Fa'ummuhū haawiyatu.
Wa maa adrāka maahiyah.
Naarun haamiyat.

Phir yeh masnoon dua padhen :
اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه ، هلال رشد وخير

Allāhumma ahillahu alayna bil amni wal eimaani was salaamati wal islaami Rabbee wa Rabbuk-Allāh hilaalu rushdin wa khayrin.

अल्लाहुम्म अहिल्लहु अलयना बिल अम्नि वल ईमानि वस्सलामति वल इस्लामि रब्बी व रब्बुकल्लाह हिलालु रुश्दिन व ख़ैरिन।

Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH is chaand [mahine] ko hum par amn aur eimaan aur salaamati aur islaam ke saath , Tera Rabb aur mera Rabb ALLĀH hai, yeh chaand hidaayat aur khair waala ho.

Translation :
O Allāh, let this moon appear on us with security and faith with safety and Islaam. (O moon!) Your Rabb and mine is Allāh. May this moon be bringing guidance and good.

(Jaami Tirmizi, Jild -2, Hadeeṡ -1376 /Hasan;
Tabarani, Al-Mujam-ul-Awsat, Hadeeṡ -6241)


Maah e Sha’abaan-ul-Moazzam ke khaas din

1 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan Maulana Mohammad Sardaar Ahmad rahmatullāhi alaihi (Faisalabad / Pakistan);

1 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Abul Hasanaat Muhammad Ashraf Qaadri Sialwi rahmatullāhi alaihi (Lahore / Pakistan);

1 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abul Hasan Naqshbandi Naseerabadi rahmatullāhi alaihi (Nasirabad, Uttar Pradesh);

1 Sha’abaan – Yaum e Urs Hazrat Khwaja Abul Hasan Iraqi urfe Haaji Mangroli Shaah rahmatullāhi alaihi (Veraval, Gujarat);

2 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Uṡmaan bin Maz'oon radiy-Allāhu ta’ala anhu (Madeena munawwara);

2 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Imaame aazam Abu Haneefa Nomaan bin Ṡaabit rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);

2 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Shaah Abdul Kareem Mulla Faqeer Akhund rahmatullāhi alaihi (Rampur, Uttar Pradesh);

2 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Muhammad Ma’aroof Shaahidullāh Faarooqi Qaadri rahmatullāhi alaihi (Tekmal, Telangana);

3 Sha’abaan – Yaum e Wilaadat Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu;

3 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Ummul Mo’mineen Hazrat Hafsa bint Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);

3 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Sufyaan al-Ṡauri  rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq);

3 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Abul Farah Yousuf al-Tartoosi rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);

4 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abu Saeed bin Abul Khair rahmatullāhi alaihi (Miana / Turkmenistan);

4 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Zaahid urfe Michdi Peer (Ahmedabad, Gujarat);

5 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Sayyed Fakhr-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi (Sarwar, Rajasthan);

5 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Ghulaam Mohiy-ud-deen Ameer-e-Aalam Barkaati rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);

5 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullāhi alaihi (Bareillly, Uttar Pradesh);

5 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Ghaa'ib Shaah Ghaazi rahmatullāhi alaihi (Karachi / Pakistan);

6 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Shaah Anwaar-ul-Haq Firangi maheli rahmatullāhi alaihi (Lucknow, Uttar Pradesh);

7 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyeda Umme Kulṡum binte Huzoor Rasool-Allāh [sallallāhu alaihi wa sallam] radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);

7 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Abu Saeed Mubarak al- Makhzoomi rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);

7 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abul Ma’ali Muhammad rahmatullāhi alaihi (Damascus / Syria);

7 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Abul Qaasim Naqshbandi Thatthawi rahmatullāhi alaihi (Thattha / Pakistan);

7 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Maulana Abdul Ghafoor Hazarwi rahmatullāhi alaihi (Wazirabad / Pakistan);

8 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Akmal Husain urfe Baaba Maan rahmatullāhi alaihi (Vadodara, Gujarat);

8 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abdul Ghaffaar Naqshbandi urfe Peer Meetha rahmatullāhi alaihi (Rahmatpur, Sindh / Pakistan);

8 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shams-ud-deen Muhammad Haafiz Shirazi rahmatullāhi alaihi;

9 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Ibrāheem al-Rasheed rahmatullāhi alaihi (Makka mukarrama);

9 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abul Barkaat ibn Anbari rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);

9 Sha’abaan –  Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom-ul-Aalam Shaikh Mohamamd Noor-ud-deen Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);

10 Sha’abaan – Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Shaah Jalaal-ud-deen Chanda Husaini rahmatullāhi alaihi (Gogi, Bijapur, Karnataka);

10 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Peer Baadshaah rahmatullāhi alaihi (Mohra / Pakistan);

10 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Bhanvar Shaah rahmatullāhi alaihi (Bassi, Rajasthan);

11 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Baayazeed Bastami rahmatullāhi alaihi (Bastam / Iran);

11 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Mufti Muhammad Saeed Mohaddeeṡ rahmatullāhi alaihi;

12 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shaikh Qutub Jamaal-ud-deen Ahmad Hansawi rahmatullāhi alaihi (Hansi, Haryana);

12 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Khaawand Mahmood rahmatullāhi alaihi;

13 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abdul Ahad Mohaddeeṡ Pilibhiti rahmatullāhi alaihi (Pilibhit, Uttar Pradesh);

15 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Muhammad Khaalid Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi (Watville Benoni / South Africa);

17 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Baaba Is'hāq Maghribi rahmatullāhi alaihi (Badi Khatu, Rajasthan);

17 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Haaji Basheer Baaba rahmatullāhi alaihi (Una, Gujarat);

18 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Uṡmaan Marwandi urfe La’al Shaahbaaz Qalandar rahmatullāhi alaihi (Sehwan / Pakistan);

18 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Peer Daulat Shaah Bastami rahmatullāhi alaihi (Una, Gujarat);

18 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Ali Peer Shaah rahmatullāhi alaihi (Porbandar, Gujarat);

20 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sultaan Shams-ud-deen Altamash rahmatullāhi alaihi (Delhi);

20 Sha’abaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Qamar-ud-deen Husain Munemi rahmatullāhi alaihi (Patna, Bihar);

20 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Waali e Sorath Miyan Mahmood Shaah Naqshbandi rahmatullāhi alaihi (Junagadh, Gujarat);

22 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Khwaja Muhammad Amkanaki rahmatullāhi alaihi (Amkana, Bukhara / Uzbekistan);

22 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Khwaja Muhammad Uṡmaan Damani rahmatullāhi alaihi (Dera Ismāeel Khan / Pakistan);

22 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Sayyed Shaah Jamaal-ud-deen Qaadri Pathari rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);

23 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Shaah Qutb-ud-deen Beena-e-dil rahmatullāhi alaihi (Jaunpur, Uttar Pradesh);

23 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Sayyed Moosa Paak Shaheed rahmatullāhi alaihi (Uch / Pakistan);

23 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Soofi Sayyed Haaji Mohammad Shafi Qaadri rahmatullāhi alaihi (Una, Gujarat);

25 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Mahmood miyan Faarooqi rahmatullāhi alaihi (Limbdi, Gujarat);

26 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi rahmatullāhi alaihi (Kalpi, Uttar Pradesh);

27 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Sayyed La’al Shaah Hamadani rahmatullāhi alaihi (Chakwal / Pakistan);

28 Sha’abaan – Youm e Wisal Hazrat Shaikh Ali bin Husain Maaliki Makki rahmatullāhi alaihi;

29 Sha’abaan – – Youm e Wisal Hazrat Sayyed Shaah Shams-ud-deen Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Una, Gujarat).

********
ALLĀH ta’ala is Maahe mubarak me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wasallam ke sadqe me aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur Hamare nek amal qubool farmae aur In buzurgaan e deen ko isaal e sawaab karne ki taufiq ata farmae.
Aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae aur Sab ko Ilm me, Amal me aur Rizq me barkat ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar us par amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments