Ummul mo’mineen Hazrat Zainab bint Jahsh radiy-Allāhu ta’ala anha


Hazrat Zainab Bint Jahsh Biography


Aap ki wilaadat  593 A.D. me hui.

Aap ke waalid ka naam Jahsh ibn Riyab aur waalida ka naam Umaama binte Abdul Muttalib hai.

Aap ki waalida Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke waalid Hazrate Abdullāh ki bahen thi.

****************
3 Hijri (625 A.D.) me Aap ka Nikaah Hazrat Zaid ibn Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu se hua jo Hazrate Khadeeja bint Khuwailid radiy-Allāhu ta’ala anha ke Ghulaam the aur jin ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne god lekar apna munh bola beta banaaya tha.

5 Hijri (626 A.D.) Jab Hazrat Zaid ibn Haariṡah ne Aap ko talaaq de diya.
Us ke baad Aap ka nikaah Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath hua to ALLĀH ta’ala ne Aayat naazil farmai : ‘Phir jab Zaid ne use [Zainab ko] talaaq dene ki garz puri kar li, to hum ne us se Aap ka nikaah kar diya taake mo’mino par un ke munh bole beto ki biwiyo (ke saath nikaah) ke baare me koi harj na rahe jab ke woh (talaaq dekar) un se alag ho gaye ho, Aur ALLĀH ka hukm to pura kiya jaane waala hi tha.’ 
(Qur’an : Surah al-Ahzaab, Aayat 37)

Hazrat Zainab bint jahsh Nikah

Nikaah ke waqt Aap ki umr 35 saal aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam 58 saal thi.

Nikaah ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daawat-e-Waleema ki jis me ek bakri zubah ki gai aur 300 logo ko khaana khilaaya gaya. Khaana khaane ke baad log usi kamre baithkar baato me mashgool ho gaye to ALLĀH ta’ala ne Aayat naazil farmaai :
‘Aye Eimaan waalo! Nabi ke ghar me daakhil na hua karo siwa e us ke ke tumhe khaana khaane ke liye ijaazat di jaaye (magar) khaana pakne ka intazaar karne waale na bana karo, Haan jab tum (khaana kaahne ke liye andar) bulaaye jaao to andar aaya karo phir jab khaana khaa chuko to foran muntashar ho jaaya karo aur waha baato me dil lagaakar (der tak) baithe rehne waale na bano, Yaqeenan tumhara aisa rehna nabi ko takleef deta hai aur woh tum se (chale jaane ko kehne me) sharmaate hain aur ALLĀH haq (baat bataane) se nahi sharmaata.’
(Qur’an : 33 Surah al-Ahzaab, Aayat 53)

****************
Aap bahot zayada Muttaqi, Sakhi, Ibaadat guzaar aur Saadiqa thi.

Aap akṡar Roza rakhti thi aur raat me uthkar ibaadat kiya karti thi.
Aap ibaadat karte karte thak jaati to ek rassi ke sahaare se khadi hoti magar ibaadat jaari rakhti.

Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne rassi ko dekhkar kisi se puchha to is baat ka pata chala tab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne sahaba se faramaaya ke “Ise khol do. Jab tak tum taaza ho tab tak ibaadat karo. Jab tum thak jaao ya tumhari tawajjoh na rahe tab tumhe rook jaana chaahiye.”

Aap jaanwaro ke chamde ko sukhaakar us ko see kar use bechti thi aur jo raqam milti thi use haajatmando ko khairaat karti thi. 

Hazrat Zainab bint jahsh biography

Ek martaba Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam apni Azwaaj e Mutah'hiraat se farmaaya ‘(Mere wisaal ke baad) Tum me sab se pehle mujhe woh milegi, jis ke Haath lambe honge.’
Azwaaj e mutah'hiraat radiy-Allāhu anhuma ek jagah jama hokar apne haatho ko naapne lagi to pata chala ke sab me Hazrat Saudah binte Jama’a radiy-Allāhu anha ke haath taweel the.
Magar sab se pehle Hazrat Zainab binte Jahsh radiy-Allāhu anha ka wisaal hua. Tab pata chala ke  Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan me Daraaz e Dast (Haath ki Tawaalat) se muraad Sadqah aur Neki me kaṡrat thi aur yeh khoobi sab se zyada Hazrat Zainab binte Jahsh radiy-Allāhu anha me paai jaati thi.

Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu anhu ke zamaane me Faars (Iran) par fateh haasil hui to Sultaan Chosroes ka bahot bada khazaana haasil hua. Jab Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu anhu us maal ko taqseem kar rahe the tab us me se kuchh hissa unho ne Azwaaj e mutah'hiraat radiy-Allāhu anhuma ko ko bhi bheja. Hazrat Zainab binte Jahsh radiy-Allāhu anha ne apni khaadima ko Madeena munawwara ke ghurba ki fehrist banakar di aur apne hisse ke maal me se un sab ko dene ke liye farmaaya. Sab ko dene ke baad jab khaadima ne baaqi 80 deenaar Aap ki khidmat me pesh kiye to Aap ne ALLĀH ki marzi maankar use rakh liye. Phir dua farmaai ke ‘Aye ALLĀH! Aa'inda mujhe itna saara maal mat dena kyun ki mumkin hai ke mujh me maal ki laalach paida ho jaaye.’
ALLĀH ta’ala ne Aap ki dua qaubool farmaai aur kuchh arse baad jab Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu anhu ko phir se maal mila aur Azwaaj e mutah'hiraat radiy-Allāhu anhuma ko us maal me se hissa dene ke liye aaye to us se pehle hi Aap ka wisaal ho chuka tha.

Hazrat Zainab bint jahsh Youme Wisaal

Aap ka wisaal 14 Rajab 21 Hijri (June 642 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ummul mo’mineen Hazrat Zainab bint Jahsh radiy-Allāhu ta’ala anha aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments