Kya Internet Par Jo Bhi Search Result Aye Wo Sahih Hi Jota Hai



Kya Internet Par Jo Bhi Search Result Aye Wo Sahih Hi Jota Hai


Aaj Ke Dour Me Internet Mobile Ka Bohat istemal
Ho Raha Hai Aur Log Aaj Apni Zarurat ki Har chiz Internet Se Hi Search Kar Rahe hai

jaise Unko Kisi Masle Masail ki Zarurat Padhti hai To wo
Us Masail ko Google me search karte hai
Aur jo bhi result Aata Hai usko
Sahih Samajh Lete hai

Aapko Shayed Maloom Nahi hoga
Ki Google Ya Aur bhi Search Engine Par Bohat Sari Website Yahoodi Aur Qadyaniyo
ki Banayi hui Hai Jinko Google Sabse Upar search engine me rakhta hai
Jisse logo ko Islam ke bare me Galat jankari
Mil jaati hai
Aur Wo ilm na hone ki wajah se Usko sahih
Samjh lete hai kyunki Unko ye maloom nahi hota ki
Google kuchh bhi Search karke Laata hai
to wo bhi
Kisi na kisa ka likha hua hi hota hai

Jaise
Hamari Website www.diniraah.in Aapko Is Me Se Bhi Bohat Saare Masail Search karne Par Mil Jayenge

Google Khud nahi likhta Aur Google Par Koi Aalim
Nahi Betha Jo Aapko Masail Batata ho Balki  Wo to sirf
Aapko Us Page Tak Pahuchata hai
Jo kuchh Aapne Search kia hota hai

Aur Bohat Saari website Jinko Google Top Par
Rakhta hai Us Mese Zyada Un Logo ki hoti
hai jo bad'Aqidah log hai
Jinhone Allah Ta'ala ki Shaan me bhi hazaron
Gustakhiyan ki hai
Aur Rasoolullah Sallallahu taala alaihi wasallam Ki Shaan me bhi

Unko top Par islie Rakha jaata hai kyunki Wo Islam ke Dushman hai

Aur YouTube To Me jab bhi koi Masla Search karta Hun
Zyadatar Mujhe First Par Un logo ki Video milti hai
jinka Aqidah Durust Nahi Wo Nabi-e-Kareem Sallallahu taala alaihi wasallam Ke bhi Gustakh hai
Aur Sahaba-E-Kiram ke bhi Jo Nabi ki Sunnat ko Na Apnaye uski Baat
Par Dhyaan na de Kyunki YouTube par Lakhon Video Aise logon ke hai
Jinka Libas Sunnat ke mutabik Hi nahi
Aur wo Coat Pant Taye Lagakar
Deen-e-Islam Ka Dars Dete hai

Aur Sunnat ke Mutabik libas hi nahi pahente
Deen ki Taleem bhi Thik Se Hasil nahi ki
koi Dr. hai to koi Engineer
Wo log Deen Par Baat karte hai jinhone Deen ki Taleem Tak Hasil nahi ki sirf
Kuchh kitabe English ki Padh li
kisi Aise Shakhs ki Tarjuma ki hui
Jo khud Bhi gumrah tha Aur ummat ko bhi Gumrah kia

Islie Soch Samjhkar hi Sahih Logo ko Sune kyunki
Bure logo ki Sohbat ka Asar bhi bura hi hota hai
Aisa na ho ki Aap unki Baton ko Sunkar Aapka Aqidah bhi Galat hojaye

Aisa Nahi ki Sabhi Website Galat hai Balki hazaron Website Aisi bhi hai

jo Sahih Ul Aqidah logo ki bhi hai
jinme Aapko Sahih Aqaid Aur Deen ki
Sahih Jankari Milegi

Lekin Aapke Iske Lie Ye Samjhna Zaruri hai ki
konsi Sahih hai Aur konsi Galat

Iske Liye Aapko Apne kisi Sahih ul Aqida Sakhs Ya
Apne Ulma-e-kiram
Se Us Masail ke bare me Poori jankari
hasil karni hogi
Aur Ye bhi Confirm karen ki Ye jo mene Search kia hai

kya ye masla Isi Tarah se hai
ya fir in logo ne isko galat tarah se pesh kia hai

Aur Sabhi Kuchh Google Par Search hi na karte rahe kyunki
ilm sikhne ke lie hamen ek ustad ki Zaroorat hoti hai

Khud hi ustad ban jana koi samjhdari ka Kaam nahi,
Jab Aapko itna ilm aa jaye ki Sahih Aur Galat ki Pahchan kar saken

Tab Aap kuchh Zaroorat ke Mutabik Search kar sakte hai
jaisa ki Aaj Internet Par Bohat saare Islamic bayaan Audio and video Islami
book ka khazana bhara hua hai

aaj sabhi kuchh Aapke Mobile me Aa jaata hai
jo kitabe Hazaron ki hai wo Aapko
free me hi hasil ho jati hai Aapke mobile Aur laptops par

To bas Hamara Yahi Kehna hai ki
Aap Google Ya YouTube par jo  bhi Search
kare Bas Itna Samjh le ki
Wahan Sabkuchh Sahih Hi nahi hota

ye Aapko pahchanna hai ki Kya sahih hai aur kya galat
aur Deen Ke Aalimo Imaamo ki Sohbat me Rahe
Insha Allah Aapko Sahih rehnumayi hi
milegi Aur Aapko Sahih Aur Galat ki Pahchan bhi ho jaygi

Allah Hum Sabhi ko Sidhe Raste Par Chalne ki
Toufeeq Ataa Farmaye Aur Ilme deen Ki Sahih
Samajh Ataa farmaye Aameen