MEHMAAN NAWAZI
-------------------------Mehmaan Nawazi Hazrat Ibrahim ( Alaihissalam ) Ki Sunnat Hai
Aap Baghair Mehmaan Ke Kabhi Khana Tanawul Nahin Farmate They
Yahan Tak Ki Agar Kabhi Koi Na Milta
Toh Aap Kisi Ki Talash Mein Ek Do Meel Tak Ka Safar Kar Aate They
Ki Koi Mil Jaye Jiske Sath Aap Khana Khayen
Mehmaan Ka Aana Rahmate Khudawandi Ka Aana Hai
Woh Apna Rizk Khud Lekar Aata Hai
Isliye Mehmaan Ke Aane Par Khushi Ka Izhaar Karna Chahiye
Mehmaan Ke Aane Par Nakhush Hona
Ya Usko Hiqarat Se Dekhna Tangi Aur Muflisi Ka Bais Hai
Chand Hadeesen Mulahizah Farmayen
HADEES
Jis Ghar Mein Logon Ko Khana Khilaya Jata Hai
Bhalai Uski Taraf Kohaan Ki Taraf Jane Wali Churi Se Bhi Tez Daudti Hai
( Ibne Majah Safah 204 )
HADEES
Apne Mehmaan Ki Tazeem Karo
( Muslim Jild 1 Safah 50 )
HADEES
Logon Ne Arz Kiya Ya Rasolallah ( Sallallhu Alaihi wasallam ) Hum Khate Hain Magar Hamara Pet Nahin Bharta
Toh Aap ( Sallallhu Ta-ala Alihi wasallam ) Ne Farmaya Ki Shayad Tum Log Alag Alag Khate ho
Arz Ki Haan Toh Farmaya Ki Ikattha Khaya Karo
Aur Bismillah Shareef Padh kar Shurua Karo
( Ibne Majah Safah 236 )
FUQHAA
Us Shakhs Mein Koi Bhalai Nahi Jo Mehmaan Nawaz Nahin
Aur Jiske Ghar Mehmaan Nahi Aate
Uske Ghar Rahmat Ke Farishtey Bhi Nahin Aate
( Ahyaul Uloom Jild 2 Safah 12 )
FUQHAA
Mehmaan Apna Rizk Lekar Aata Hai Aur Ghar Walon Ke Gunah mita Kar Jata Hai
( Fatawah Razwiyah Jild 9 Safah 176 )
FUQHAA
Banda Jo Kuch Khud Khata Hai Ya Apne Maan Baap
Ya Ahlo Ayal Par Kharch Karega Uska Hisab Qayamat Ke Din Dena Hoga
Magar Jo Kuch Apne Doston Par Kharch Karega Uska Hisaab Nahin Hoga
Isliye Mehmaan Nawazi Buzurgane Deen Ki khaas Khaslat Rahi Hai
( Ahyaul Uloom Jild 2 Safah 9 )
( Kimiyae Sa-adat Safah 245 )
FUQHAA
Bhookh Se Kam Khana Sunnat Hai
Aur Pet Bhar Kar Kha Lena Mubah Yani Jayez Hai
Magar Bhukh Se Zyadah Kha Lena Ki Medah Ya Hazma Kharab Ho Jaye Haraam Hai
Magr Mehmaan Ka sath Dene Ke Liye Zyadah Kha Lene Ki ijazat Hai
( Durre Mukhtaar Jild 5 Safah 235 )
( Fiqhi Paheliyan Safah 247 )
FUQHAA
Jab Mehmaan Aaye Toh Uski Tazeem Karo Aur Usey Khilao Pilao
Ki Aisa Karne Se Maula Ta-ala Mezbaan Ko Jahnnam Se 7 Khandak Door Kar Dega
Aur Har Khandak Ke Darmiyan 500 Saal Ki Musafat Hogi
( Ahyaul Uloom Jild 2 Safah 9 )
Ab Mehmaan Kaun Hai Kab Tak Hai Kya Khilaya Pilaya Jayega Uske Liye Ek Hadees Padh Lijiye
HADEES
Rasolallah (Sallallhu Ta-ala Alihi Wasallam) Irshaad Farmate Hain
Ki Mehmaani 3 Din Tak Hai Aur Behtareen Pakwaan 1 Din Aur Raat
Uske Baad Jo Pakaye Wo Khilaye
Aur Mehmaan Ke Liye Halal Nahin Ki Itne Dinon Tak Thahera Rahe Ki Mezbaan Ko Pareshaan Kar Dale
( Tirmizi Jild 2 Safah 18 )
Yaani Mehmaan Ke Liye Ye Jayez Nahi Ki 3 Din Se Zyadah Kisi Ke Ghar Thahre
Kunki 3 Din Ke Baad Uska Koi Haq Nahin
Haan Agar Mezbaan Khud 3 Din Ke Baad Bhi Mehmaan Ko Rokta Hai Toh Rok Sakta Hai
Aur Ab Jo Bhi Khilayega Wo Sadqae Nafila Mein Shumaar Hoga Jiska Use Ajro Sawab Milega