Kafir Ko Kafir Kehna Kaisa

Kafir Ko Kafir Kehna Kaisa


Kafir Ko Kafir Kehna Kaisa


Kya Kisi Ko Kafir Nahin Kehna Chahiye

Aaiye Quraan Se Hi Pooch Lete Hain

Quraan  - Tum Farmao Aye Kaafiron
( Parah 30 Sureh Kaferun Ayat 1 )

Quraan - Beshaq Zaroor Unhon Ne Kufr Ki Baat Kahi Aur Islam Mein Aa Kar Kaafir Ho 
Gaye
( Parah 10 Sureh Tauba Ayat 74 )

Quraan - Bahane Na Banao Tum Kaafir Ho Chuke Musalman 
Ho Kar
(Parah 10 Sureh Tauba Ayat 66 )

Magar Aaj Kal Kuch Log Ye Kahte Nazar Aate Hain

Ki Kisi Kaafir Ko bhi Kaafir Nahin Kahna Chahiye Kya Pata Ki Wo Kab Musalman Ho Jaye

Aisa Aitraz Karne Wala Bada Jahil Hai Kyunki Agar Kisi Kaafir Ko Kaafir Na Kahne Ki Ye Daleel Hai

Toh Fir Kisi Musalman Ko Musalman Na Kahna Chahiye Pata Nahin Ki Wo Kab Kaafir Ho Jaye Maaz " ALLAH "


Aur Fir Dekhiye Ke Rab Ta-ala Quraan Muqaddas Mein Kaafir Ko Kaafir Kah Hi Raha Hai

Magar Un Logon Ko Bhi Kaafir Kah Raha Hai Jinhein Khud Musalman Kaha

Yani Musalman Tab Tak Hi Musalman Kahlayega Jab Tak Ki Wo Imaan Par Qayam Ho

Aur Jis Din Wo Imaan Se Phira Toh Kaafir Hi Kahlayega

Par Aaj Kuch Logon Ne Imaan Ko Apne Baap Ki Jayedad Samajh Liya Hai

Ki Chahe Maaz " ALLAH " Khuda Wa Rasool Wa Uske Waliyon Ki Shaan Mein Gustakhiyan Karte Raho

Magar Jayedad Ki Tarah Imaan Kahin Nahin Ja Raha Hai Wo Toh Baap Ki Jaageer Hai Use To Hasil Kar Hi Lenge

Aise Logon Ke Liye Quraan Ki Chand Ayatein Pesh Karta Hun Maula Ta-ala Irshaad Farmata Hai

Quraan - Kya Log Is Ghamand Mein Hain Ki Itna Kah Lene Par Chod Diye Jayenge Ki Hum Imaan Layein Aur Unki Azmaish 
Na Hogi
( Parah 20 Sureh Ankaboot Ayat 2 )

Quraan- Jo Kuch Aamaal Unhone Kiye Humne Sab barbad Kar Diye
( Parah 19 Sureh Furqan Ayat 23 )

Quraan - Amal Karein Mashakkat Jhelein Aur Badla Kya Hoga Ye Ki Bhadakti Aag Mein Baithenge
( Parah 30 Sureh Gaashiya Ayat 3-4 )


Amal Karein Mashakkat Jhelein Yani Raat Raat Bhar Jaag Kar Namaz Padhein

Din Ko Bhooka Pyasa Rah Kar Rozah Rakhein

Laakhon Rupya Kharch Kar Ke Hajj Par Jayein Saalon Saal Zaqaat Ada Karein

Aur Akhir Mein Kya Milega Aag Aag Aur Sirf Aag

Matlab Sirf Wahi Ki Kah Lene Bhar Se Koi Musalman Nahin Ho Jata Ki Main Musalman Hoon

Balki Musalman Hone Ke Liye Wo Aqeeda Bhi Rakhna Padta Hai

Lihaza Wahi Musalman Hai Jiska imaan Wa Aqidah Sahih hai Aur Wo Musalman Bhi Nahin
Jiska Aqidah Durust nahi Chahe wo kitni bhi ibaadat karta rahe

Shaitan ne Hazaron Saal ibaadat ki lekin
Uski Ek Gustakhi ne Uski Sabhi
Ibaadat ko bekar kar dia

Aur Jo Musalman Nahin Wo Yaqeenan Kaafir Hai Aur Use Kaafir Kaha Jayega

Kunki Ye Bhi Ek Aqeeda Hi Hai Ki Jis Tarah Musalman Ko Musalman Janna Zaruriyate Deen Se Hai

Usi Tarah Kaafir Ko KAAFIR Janna Bhi Zaruriyate Deen Hai


FUQHA - Jo Kisi Kaafir Ke Kufr Mein Shaq Kare Wo Bhi Kaafir Hai
( Raddul Mukhtar Jild 3 Safah 317 )

Lijiye Baat Poori Ho Gayi Ki Kaafir Ko Kaafir Hi Mana Jayega Samjha Jayega Kaha Jayega

Aur Agar Koi Kisi Kaafir Ke Kufr Mein Shak Karega Toh Khud Kaafir Ho Jayega Aur Yahi
Haq Hai

Nabi-e-Kareem Sallalllahu Alaihi Wasallam Ne  nMasjid-e-Nabwi se 300 Logo ko Naam 
Le lekar kaha Ki Musalmaan nahi
Aur masjid se bahar nikal diya tha
(Muslim Sharif Jild-1 Kitabul Fitan)

Allah Hamen Sach Aur Haq Baat ko Samjhne Aur Usi par chalne ki toufiq Ataa farmaye Aameen