Miswak Ka Tarika Aur Fazilat
HADEES - Hazrat Miqadam Bin Sareeh ( Razi Allahu Ta-ala Anhu ) Apne Walid Se Riwayat Karte HainKi Maine Ummul Mominin Sayyadna Aaishah Siddiqah ( Razi Allahu Ta-ala Anha ) Se Poocha
Ki Nabi Kareem ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ghar Mein Aane Par Sabse Pahla Kaam Kya Karte They
Farmaya Ki Miswaak
(Muslim Jild 1 Safah 243)
HADEES- Hazrat Abu Hurairah ( Razi Allahu Ta-ala Anhu ) Se Marwi Hai
Ki Huzur ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Irshaad Farmate Hain
Ki Agar Meri Ummat Par Bojh Na Hota Toh Main Huqm Deta Ki Har Namaz Se Pahle Miswak Karein
( Tirmizi Jild 1 Safah 102 )
HADEES - Hazrat Jabir ( Razi Allahu Ta-ala Anhu ) Se Marwi Hai Ki
Huzur ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Irshaad Farmate Hain
Ki Miswak Ke Saath Wali Namaz Baghair Miswaak Ki Namaz Se 70 Guna Afzal Hai
( Attargheeb Jild 1 Safah 102 )
HADEES - Ummul Mominin Sayyadna Aaishah Siddiqah ( Razi Allahu Ta-ala Anha ) Farmati Hain Ki
Huzur ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ne Apni Zindagi Mein Jo Aakhri Kaam Kiya Wo Miswak Thi
Doosri Riwayat Mein Hai Ki Aap Hamesha Raat Ko So Kar Uthtey Toh Miswak Karte
( Bukhari Jild 1 Safah 197 )
HADEES - Hazrat Aamir Bin Raabee ( Razi Allahu Ta-ala Anhu ) Farmate Hain Ki
Main Huzur ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ko Rozey Ki Halat Mein Dekha Ki Aap Miswak Farma Rahe Hain
( Bukhari Jild 1 Safah 732 )
Miswaak Karne Me Kai Fayedey Hain Ye Munh Ko Khushbudaar Karti Hai
Masudhon Ko Mazboot Karti Hai Nazar Ko Tez Karti Hai
Balgham Ko Nikalti Hai Souzish Ko Door Karti Hai Meidey Ki Islaah Karti Hai
Sunnat Par Amal Ka Baais Hai Nekiyon Mein Izafah Karti Hai Farishton Ko Khush Karti Hai Aur Rabb Ko Raazi Karti Hai
Miswak Ke Taalluq Se Ye Kuch Hadeesein Bayan Hui Iski Puri Details Ke Liye Kitab Tibbe Nabvi Aur Jadeed Siance Ka Mutalaa Karein
Khair Inse Ye To Pata Chal Hi Gaya Ho Ga Ki Miswak Karne Mein Jitna Fayedah Duniya Ka Hai Utna Hi Aakhirat Ka Bhi
Miswak Kai Tarah Ki Shaakhon Se Ki Ja Sakti Hai
Masalan Zaitun Peelu Neem Babool Keekar Waghairah
Lekin Agar Zaitun Mayassar Na Aaye Toh Peelu Hi Sab Se Behtar Hai
Miswak Karne Ke Kuch Qaayde Hain Unhein Yaad Rakhein
Miswak Zyadah Moti Ya Bahut Patli Na Ho
Changuli Ke Barabar Motai Aur Ek Balisht Se Zyadah Lambi Na Ho
Ki Is Par Shaitaan Baithta Hai Haan choti Ho Jaye Toh Harz Nahin
Miswaak Karne Ka Tareeqa
Miswak Ko Dahine Se Bayein 3' 3 Martaba Le Jayein
Aur Oopar Se Niche Miswak Karein Tooth Brush Ki Tarah Lambai Me Na Karein Aur Har Baar Dho Lein
Miswak Ko Lita Kar Na Rakhein Aur Unhein Idhar Udhar Na Phenke
Balki Is Tarah Khadi Kar Ke Rakhein Ki Resha Oopar Ki Janib Ho
Aur Iski Behurmati Na Karein Ki Aulma Musalman Ko Baitul Khala Mein Thookne Tak Ko Mana Karte Hain
Toh Fir Ye Aalaye Adaye Sunnat Hai Lihaza Iski Taazeem Karein
Aur Jab Qabile Istemal Na Rahe Toh Dafn Kar Dein Ya Kisi Mahfooz Jagah Rakh Dein
( Bahare Shariyat Hissa 2 Safah 17 )
Allah humko ispar Amal karne ki toufiq Ataa farmaye Aameen