JUA KHELNA HARAAM HAI

JUAA KHELNA HARAAM HAI

JUA KHELNA

Pahle Toh Jue Ki Kuch Khas Qism Hi Thi Magar Zamane Ke Hisab Se Jua Bhi Hightech Ho Gaya Hai

Ab Koi Shaier Market Mein Paisa Laga Raha Hai
Toh Koi Cricket Football Aur Dusre Khelon Mein

Yaad Rakhein Ki Islam Mein Aksar Khelon Ko Waise Hi Lahu La-ab Kaha Gaya Hai

Yani Jayez Nahin Fir Usmein Paisa Laga Kar Khelna Ye Jua Aur Najayezo Haram Hai

"ALLAH" Rabbuul izzat Quraan Muqaddas Mein Kuch Un Irshaad Farmata Hai

Ae Iman Walon Jua Aur Sharab Aur But Aur Panse Napak Hi Hain
Shaitani Kaam Hai Toh Unse Bachtey Rahna Ki Tum Falah Pao
(Parah 7 Sureh Maidah Ayat 90 )

Hadeese Paak Mein Hai Ki Nabi Kareem ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Irshad Farmate Hain
Ki Beshaq Kuch Log Na Haq Maal Khate Hain Pas Qayamat Ke Dun Unke Liye Aag 
Hogi
( Masnade Ahmed Jild 6 Safah 410 )

Jo Kisi Se Ye Kahe Ki Aao Juaa Khelein
Toh Use Chahiye Ki Iske Sadqe Mein Qaffara Ada Kare
( Bukhari Jild 2 Safah 721)

Sochiye Ki Sirf Kahne Par Sadqa Karne Ki Taqeed Aai Hai
Toh Jo Khele Ga Us Par Kya Huqm Lagega Aur Suniye

Jisne Chausar ( Pansa Fekne Ka Khel ) Khela Toh Goya Usne Apne Hath Suar Ke Gosht Aur Khoon Mein Ranga
( Muslim Jild 2 Safah 240 )

Ludo Bhi Chausar Ki Hi Tarah Ka Ek Khel Hai So Wo Bhi Usi Mein Dakhil Hai
Agar Ludo Mein Paisa Na Bhi Lagaya Jaye Tab Bhi Haram Hai


Shatranj Chausar Se Bhi Zyadah Bura Hai Aur Chausar Ke Bare Mein Huqme Sharah Maujud Hai
( Kitabul Kabayer Safah 146 )

Aur Mere Ala Hazrat ( Razi Allahu Ta-ala Anhu ) Farmate Hain Ki
Taash Aur Shtranj Donon Najayez 
Hain
( Ahkaame Shariyat Hissa 3 Safah 233 )

Huzur ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Irshad Farmate Hain Ki
Jo Kisi Lahu La-ab Mein Mashghul Ho Toh Tum Use Harghiz Salam Na 
Karo
( Qanzul Ummal Jild 15 Safah 216 )

Jo Log Haram Maal Kamate Khate Hain Aur Us Par Bada Ghamand Karte Hain

Toh Aise Log Huzur ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ka Ye Farman Sun Lein
Aap Irshaad Farmate Hain Ki
Haram Maal Se Pala Badha Jism Ka Thikana Jahannam Hai
( Kya Aap Jante Hain Safah 518 )

Maula Ta-ala Apne Habeeb (SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ke Sadqe Tamam Musalmanon Ko

In Sab Khbasat Se Mahfuzo Mamun Rakhe Aur Sabka Iman Salamat Rakhe Aameen