Kalaunji Aur Shahed Ke Fayde Quraan Wa Hadees ki Roshni mein

Kalaunji Aur Shahed Ke Fayde Aur istemal ka tateeqa

Kalaunji Aur Shahed Ke Fayde

Shahad Ki Makhi Ko Arbi Mein Nahal Kahte Hain

Jiske Naam Se Quraan Mein Puri Ek Sureh Maujud Hai

Isi Baat Se Andazah Lagaya Ja Sakta Hai Ki Insani Zindagi Mein Shahad Ki Kya Ahmiyat Hogi

"ALLAH" Rabbuul Izzat Quraan Muqaddas Mein Irshad Farmata Hai Ki

"Aur Tumhare Rab Ne Shahad Ki Makhi Ko Ilhaam Kiya Ki Pahadon Mein Ghar Bana"
Aur Darakhton Mein Aur Chattanon Mein
Fir Har Qism Ke Fal Mein Se Kha Aur Apne Rab Ki Rahein Chal Ki Tere Liye Narm Aur Aasaan Hain

Uske Pet Se Pine Ki Ek Chize Rang Birangi Nikalti Hai

Jisme Logon Ke Liye Shifa Hai Beshaq Usmein Nishani Hai Dhiyan Karne Walon Ke Liye
( Parah 14 Sureh Nahal Ayat 68-69 )


Jannati Shahad Ke Bare Mein Irshaad Farmata Hai Ki
Aur Aisi Shahad Ki Nahrein Hain Jo Saaf Kiya Gaya
( Parah 26 Sureh Muhammad Ayat 15 )

Ek Martaba Kisi Sahabi Ke Bhai Ko Dast Ane Shurua Ho Gaye Is Par Aapne Farmaya Ki Use Shahad Pilao

Unhon Ne Pilaya Magar Fayedah Na Hua Fir Dusre Roz Pucha Fir Aapne Kaha Ki Shahad Pilao

Fir Tisre Din Bhi Unhon Ne Wahi Sawal Kiya Aapne Farmaya Ki Use Shahad Pilao
Is Par Wo Kahte Hain
ki Ya Rasool Allah ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Main Ye Kaam Pichle Teen Din Se Kar Raha Hun Magar Aram Nahin Mil Raha Hai

Is Par Huzur ( sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam ) Farmate Hain Ki Tere Bhai Ka Pet Jhuta Hai Aur Rabb Ka Kalaam Sachcha Hai Usko Shahad Pilao

Ab Jab Unhon Ne Shahad Pilaya Toh Unhen Fauran Shifa Mil Gai
( Bukhari Jild 2 Safah 848 )


Huzur ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Irshad Farmate Hain
Ki Jo Shakhs Mahine Mein Teen Roz Subah Ko Shahad Pi Liya Kare

Toh Mahine Bhar Usko Badi Bala Na Pahunche Gi
Aur Farmate Hain Ki Do Shifaon Ko Lazim Pakdo Ek Quraan Ko Dusre Shahad Ko
( ibne Majah Safah 255 )


Jinko Quraan Ne Shifa Qarar Diya Ho Aur Khud Huzur ( sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ne Sari Zindagi Usko Piya Ho Beshaq Usmein Kisi Tarah Ke Nuqsan Deh Hone Ka Khayal Hi Nahin Ho Sakta

Aur Jisko Quraan Aur Shahad Se Bhi Shifa Hasil Na Ho Toh Fir Atibba Kahte Hain Ki Shifa Hona Uski Qismat Mein Hi Nahin Hai

Kalaunji Ke fayde

Yun Hi Kalaunji Yani Mangrel Jisko Kahin Kahin Shoaniz Bhi Kahte Hain

Uske Bare Mein Huzur ( sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam ) Irshad Farmate Hain Ki
Kale Dane Ko Lazim Pakad Lo Ki Ismein Maut Ke Siwa Har Beemari Ki Shifa Hai
( Bukhari Jild 2 Safah 845 )
(Ibne Majah Safah 254 )

Lihaza Aaj Kal Ki Is Bhaag Daud Bhari Zindagi Mein
Jabki Ruhani Aur Jismani Beemariyon Ka Jamawda Laga Hua Hai

Toh Aise Mein Ye Ek Azeem Nuskha Hai
Jo Ki Huzur ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ne Apne Ummatiyon Ko Nawaza Hai

Subah Baasi Munh Pani Mein Ghol Kar Sharbat Ki Tarah Shahad pine Ki Adat Daal Lein
In Sha "ALLAH" Kai Beemariyon Se Aise Hi Mahfooz Ho Jayenge
Aur Usse Pahle Kuch Kalaunji Kha Liye Jayen

Agar Pathri Ho Gai Ho Chahe Gurde Mein Ya Pitt Mein InSha "ALLAH" Toot Kar Nikal Jayegi

Pani Mein Jau Dal Kar Khub khaulayen
Fir Use ChhanKar Gilas Mein Nikal Lein
Aur Usmein Itna Shahad Mila Lein Ki Khoob Mitha Ho Jaye Rozana Basi Munh Istemal Karein

Agar Taqleef Zyadah Ho Toh Din Mein 2 Ya 3 Baar Istemal Karein

Meydey ( Liver ) Ya Aanton Ka Kainser Ho
Toh Subah Aur Shaam Shahad Ke 2 Bade Chammach Diye Jayen

Aur Nashtey Mein Jau Ka Daliya Shahad Mein Bana Hua

Agar Daliye Mein Zaitun Ka Tail Milayen Toh Aur Behtar Hai

Aur Yun Bhi Ghante 2 Ghante Par Shahad Aur Zaitun Ka Tail Pilate Rahein
Shahad Pine Se Yarqan Yani Piliya Jald Hi Khatm Ho Jata Hai

Bas Ye Samajh Lijiye Ki Jism Ki Kaisi Bhi Beemari Ho
Ya Kaisi Bhi Kamzori Ho Shahad Har Marz Ka Ilaaj Hai

Yahan Tak Ki Agar Khalis Shahad Mil Jaye Toh Isse Sugar Ke Mareez Ko Bhi Nuksaan Nahi Ho Sakta
Kunki Ki Ye Mazhare Shifa Hai
( Tibbe Nabvi Aur Jadeed Sains Safah 96 - 129 )

  1. Bachcho Ko Doodh Pilaane ki Muddat Kitne Din Hai  
  2. Sawaari ki dua  
  3. IMTEHAAN MEIN QAMYABI KI DUA