Eide-Milaad-un-Nabi Manaana
▪▪► ALLĀH ta’ala musalmano ko koi bhi khaas ne’amat ata farmaata hai wo ALLĀH ke khaas dino me se hai aur un dino ko yaad karte rehna zaroori hai.
Qur’an :
14 Surah Ibrāheem, Aayat 5 :
Aur unhe ALLĀH ke dino ko yaad dilao.
ALLĀH ta’ala ne Hazrate Moosā alaihis salaam se farmaaya tha ke ‘Bani Isrā’eel ko un dino ko yaad karne ke liye
kaho jab ALLĀH ta’ala ne un ko khaas ne’amate ata farmai ya’ni un ki haajat par un ko Mann wa Salwa (paka pakaaya khaana) ata farmaaya
aur peene ke liye paani ka chashma ata farmaaya aur us me un ke 12 qabeelo ke liye 12 hisse kar diye.
Ummate Muhammadi ke liye Yaum e Meelaad-un-Nabi sallallāhu alaihi wa sallam, Eid-ul-Fitr, Eid-ul-Ad’ha, Shab-e-Qadr, Shab-e-Baraat,
Yaum e Aashura, Shab-e-Me’araaj ye sab ALLĀH ta’ala ke khaas din aur raat hain.
Aur in me ALLĀH ta’ala ki
ibaadat aur zikr karke un khaas ne’amato ka shukr ada karna chaahiye.
*********
▪▪► Yaum e Meelaad-un-Nabi sab se khaas din hai kyun ki ALLĀH ta’ala ne ye tamaam kaa’inat apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke liye
banaai hai aur ye tamaam muqaddas aur mubarak din aur raat Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me musalmano ko ata kiye hain.
Hadeeṡe Qudsi :
Laulak lama khalaqtul ardi wal aflak.
ALLĀH ta’ala farmaata hai :
Aye mehboob agar tujhe paida karna maqsood na hota to main zameen aur aasmaano ko paida na karta.
(Firdaus-ul-akhbaar, Jild -2, Safa -45, Hadeeṡ -8095)
Hamare nabi sallallāhu alaihi wa sallam ka martaba itna aa’la aur afzal hai ke ALLĀH ta’ala ne sab se pehle Noor e Mustafa ko banaaya aur puri kaa’inat ko un ke liye hi banaaya.
ALLĀH ta’ala ne Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko sab se pehle
banaaya aur dunya me tamam ambiya ke baad Khaatim ul Ambiya banaakar bheja. Is tarah
Aap sallallāhu alaihi wa sallam takhleeq me sab se Awwal aur Be’asat (Zahoor) me sab (ambiya) se Aakhir hain.
*********
▪▪► ALLĀH ta’ala ki tamaam ne’amato me behtareen ne’amat us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam hain.
Aap Rab ta’ala ki Ne’amat e kubra aur ehsaan e azeem hain.
ALLĀH ta’ala ne aap ke waseele se sab ko Hidaayat ata farmai,
Aap ne ilm o hikmat se jahaalat ka andhera door kiya,
Aap ne aadami ko insaan banaaya, Aap ne deen e Islaam dekar zindagi jine ka sahi aur khubsurat tareeqa sikhaya, Aap ne ibaadat ka aur Rab ko raazi karne ka tareeqa sikhaaya,
Aap ne dunya aur aakhirat me bhalaai aur kaamyaabi ka raasta sikhaaya.
Aur beshak hum khushnaseeb hain ke hame ALLĀH ne us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ka ummati banaaya jis ne har haal me Wilaadat par, Makka me, Madeena me,
Me’araj me, Gaar me, Hajj me, Umrah me hum gunaahgaar ummatiyo ko yaad kiya aur har zulm sehkar hamare liye khuda se dua ki ‘Rabbi habli ummati’.
Aap ke sadqe me ALLĀH ta’ala hamari duao ko qubool karta hai aur hume sab ne’amaten ata karta hai.
Aap roze mehshar me ummatiyo ki shafa’at karke jahannam ki aag aur azaab se bachayenge.
Qur’an :
3 Surah Aale Imraan, Aayat 164 :
Beshak ALLĀH ne musalmano par bada ehsaan farmaaya ke un me unhi me se (azmat wala)
Rasool bheja jo un par us ki aayate padhta aur unhe paak karta hai aur unhe kitaab wa hikmat ki ta’alim deta hai agarche wo log us se pehle khuli gumraahi me the.
*********
▪▪► Is liye Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke ehsaano ko yaad karke Yaum e Meelaad-un-Nabi ke mauqe par khushiya manaani chaahiye.
Yun to pura saal hame Sarware Kaunain Pyare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ke ehsaano ko
yaad karna chaahiye aur Aap ki wilaadat aur Hayaat e tayyabah ka aur aap ke kamaalat aur moazeezaat
ka zikr karte rehna chaahiye.
Magar Yaum e Milaad-un-Nabi ke mubarak mauqe par ALLĀH ki is azeem ne’amat ka khaas kasrat se zikr karna chaahiye.
Qur’an :
10 Surah Younus, Aayat 58 :
Farma dijiye (ye sab kuchh) ALLĀH ke fazl aur us ki rahmat ke baa’is hai (jo be’asat e
Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke zariye tum par hua hai) pas musalmano ko chaahiye ke us
par khushiya manaayen ye us se kahi behtar hai jise wo jama karte hain.
*********
▪▪► Ahkaam e shariat ke masaa’il 4 cheezo ko milaakar samajh sakte hain :
(1) Kitabullāh (Qur’an shareef)
(2) Hadeeṡ wa Sunnat e Nabaw (Prophetics Sayings & Traditions)
(3) Ijma e Ashaaba wa Ulama (Consensus of Companions of Prophet , Followers of companions & Muslim scholars)
(4) Qiyaas (Analogical Deduction by Muslim scholars)
Qur’an :
4 Surah an-Nisaa, Aayat 59 :
Aye Eimaan walo, ALLĀH ki ita’at karo aur Rasool ki ita’at karo aur (apno me se) saahibaan e amr ki aur phir kisi mas’ale par tum baahum ikhtelaaf karo
to use ALLĀH aur us ke Rasool (sallallāhu alaihi wa sallam) ki taraf lauta do, Agar tum ALLĀH
par aur aakhirat ke din par yaqeen rakhte ho to yehi (tumhare liye) behtar aur anjaam ke lihaaj se bahot achha hai.
Ya’ni ALLĀH ta’ala farmaata hai ki tum me ilm waalo ke upar ilm wala hoga jo tumhare liye
saahibaan e amr hoga aur jo tumhe ALLĀH aur us ke Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ki ita’at ka sahi tareeqa sikhaayenge.
Aam halaat me us Imaam ki ita’at karte raho aur jab kisi mas’ale par ikhtelaaf ho jaaye to Qur’an aur Sunnat ki taraf ruju karo.
Saahibaan e Amr me Ameer ul Mo’mineen (Khulfa e Raashideen) aur Aa’imma e Islaam saamil hain.
Hadeeṡe Nabawi :
Ulama e ummatika ambiya e Bani Isrā’eel.
Meri ummat ke ulama Bani Isrā’eel ke nabiyo ke maanind hai.
*********
▪▪► Aur Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne aur Khulfa e Raashideen aur Aa’imma e Islaam ne Meelaad-un-Nabi jaa’iz maankar apne apne tareeqe se manaaya hai.
[1] ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ki zahoor /be’asat par apni qudrat se aap ki fazeelat ko zaahir karke khaas khushi ka izhaar kiya.
Aap Makka mukarrama me Peer ke din Subah saadiq ke waqt mushk ki khushbu mehkaate, paakiza badan, naaf burida, khatna shuda,
dono shaano ke darmiyaan mohar e nubuwwat darakhshaa aur dono haath zamin par rakhe hue sare paak aasmaan ki taraf uthaaye hue tashreef laaye .
Aap ki wilaadat ke waqt jaha par Hazrate Aamena radi-Allāhu ta’ala anha tashreef farma thi us ghar me koi chiraag na hone ke ba-wajood ghar me itni roshni ho gai ki agar koi chaahe to sooi me dhaaga piro le.
Zameen se aasmaan tak noor hi noor chhaa gaya.
Tamaam but sar ke bal aundhe gir pade.
Aatash-qada e Faars khud ba-khud gul ho gaya.
Hukm e ilāhi se Ka’aba ne sajda kiya.
[2] Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne apne Yaum e wilaadat par khushi ka izhaar kiya hai aur ALLĀH ta’ala ka shukr ada karne ke liye khaas ibaadat ki hai.
Masjid e Nabawi me mehfile milaad me khud Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne apni wilaadat ke fazaa’il bayaan farmaaye.
(Tirmizi, Jild -2, Safa -201)
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne khud apna Milaad manaaya hai aur Madeena me bakare zibah karke miskeeno ko khilaayen hain.
(Al Haawil-il Fatawi, Jild -1, Hadeeṡ -196)
Hazrat Abu Qataada radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se Peer (Monday) ke din roza rakhne ke baare me puchha gaya to
Aap ne farmaaya ke ‘Isi din meri Wilaadat hui thi aur isi din mujh par Qur’an majeed naazil huwa.’
(Muslim, Jild -2, Kitaab us Siyaam, Safa -367, Hadeeṡ -2850)
[3] Maula e kaa’inat Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ALLĀH ki baargaah me Huzoor Sarwar e kaa’inat sallallāhu alaihi wa sallam ke naam se ek mendha zibah kiya karte the.
(Jaame Tirmizi, Jild -1, Safa -538;
Sunan Abu Daawūd, Jild -2, Safa -29)
[4] Isi tarah har zamaane ke mash’hoor Aa’imma e Islaam ne Jashn e Meelaad-un-Nabi manaane ko jaa’iz bataaya hai.
(1) Hazrat Imaam Ibne Jawzi Muhaddeeṡ (Wilaadat 510 Hijri) ne ‘Bayaan al-Maulid un Nabawi’ me.
(2) Hazrat Imaam Abu Shama (Wilaadat 599 Hijri) ne ‘Al Baais Ala inkaril Bada wal Hawadis’ me.
(3) Hazrat Imaam Shams-ud-deen al-Juzri (Wilaadat 660 Hijri) ne ‘Husn ul Maqsid fi Amalil Maulid’ me.
(4) Hazrat Imaam Shams-ud-deen Muhammad al-Zahabi (Wilaadat 673 Hijri) ne ‘Sayer ul A’alam wan nubala’ me.
(5) Hazrat Imaam Ibne Kaṡeer (Wilaadat 701 Hijri ) ne ‘Al Bidaaya wan Nihaaya’ me.
(6) Hazrat Imaam Shams-ud-deen bin Naseer-ud-deen Damishqi (Wilaadat 777 Hijri) ne ‘Mawridul Saawi fi Maulidil Haadi’ me.
(7) Hazrat Imaam Shams-ud-deen al-Sakhawi (Wilaadat 831 Hijri) ne ‘Sublul Huda wal Rushad’ me.
(8) Hazrat Imaam Jalaal-ud-deen Suyuti (Wilaadat 849 Hijri) ne ‘Husnul Maqsad fi Amalil Maulid’ me.
(9) Hazrat Imaam Shahaab-ud-deen Ahmad al-Qastallani (Wilaadat 851 Hijri) ne ‘Al Muwahib ul Ladunniya’ me.
(10) Hazrat Imaam Shahaab-ud-deen Ibne Hajar Haytami al-Makki (Wilaadat 909 Hijri) ne ‘Fataawa Haadisia’ me.
(11) Hazrat Imaam Qutub-ud-deen Hanafi (Wilaadat 988 Hijri) ne apni kitaab ‘Al a’alam be A’alam e Baitillāhil Haram’ me.
(12) Hazrat Allama Shahaab-ud-deen Khifaaji ‘Risaalah Amalal Maulid’ me
(13) Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddeeṡ Dehlawi (Wilaadat 958 Hijri) ne ‘Ma sabat minas sunnah’ me.
(14) Hazrat Mulla Ali Qaari (Wilaadat 1014 Hijri) ne ‘Al Murid ul Rawi fee Maulid-un-Nabi’ me.
(15) Hazrat Imaam Zarqani (Wilaadat 1055 Hijri) ne ‘Sharah Muwaahibul Ladunniya’ me.
(16) Hazrat Shaah Abdur Raheem Muhaddeeṡ Dehlawi (Wilaadat 1054 Hijri) ‘Ad Durrus sameen’ me.
(17) Hazrat Shaah Waliyullāh Muhaddeeṡ Dehlawi (Wilaadat 1174 Hijri) ne ‘Fuyuz ul Haramain’ me.
(18) Hazrat Haaji Imdaadullāh Muhaajir Makki (Wilaadat 1233 Hijri) ne ‘Shamaim e Imdaadiya’ Aur ‘Faisla Haft Mas’ala’ me.
(19) Hazrat Maulaana Abdul Hay Lakhnawi (Wilaadat 1264 Hijri) ne ‘Fataawa Abdul Hay’ me.
*********
▪▪► Qur’an :
93 Surah ad-Duha, Aayat 11 :
Aur apne Rab ki ne’amato ka khub tazkeera karo.
Hazrat Abu Saeed Khudri radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Hazrat Muawiya radiy-Allāhu ta’ala anhu farmaate hain ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam baahar tashreef laaye aur sahaaba ke halqe ko dekhkar aap ne farmaaya ‘Tum yahan kis wajah se baithe ho?’
Unho ne kaha ‘Hum ALLĀH se dua kar rahe hain aur us ka shukr ada kar rahe hain ki us ne apna deen hum ko batlaaya aur hum par ehsaan kiya aap ko bhejkar.’
(Sunan Nisai, Hadeeṡ -5432)
Is tarah Maah e Rabi-ul-Awwal me Mehfil e Meelaad munaaqid karna jis me Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki wilaadat, aap ki sirat e hasana,
aap ki Sunnate aur Hadeeṡ e paak aur deegar fazaa’il, kamaalat aur moazeezaat bayaan karna aur Ambiya aur Auliya Allāh ke bayaan karna ye baa’iṡ e ṡawaab hai.
Yaum e Meelaad-un-Nabi ke Mubarak mauqe par shaan ke saath Juloos nikaalna, jis me Zikr e Ilāhi aur Hamd e Baari ta’ala, Naat e Rasool aur Manqabat padhna ye baa’iṡ e ṡawaab hai.
ALLĀH ta’ala aur us ke Habeeb wa Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ka zikr karna baa’is e barkat aur rahmat hai aur dil ka sukoon paane ka aur use paak karne ka zariya hai.
Aur Ambiya aur Auliya ka bayaan sunna ilm e deen me izaafa karta hai aur unke darse par amal karna bhi nek banne ka aur foyuz o barkaat haasil karne ka zariya hai.
Aur Mehfil e Meelaad aur Juloos e Milaad se Shaan e Islaam aur Ittehaad e Millat ka muzaahira bhi hota hai.
*********
▪▪► Koi agar is mubarak din me khushi manaane se ya Ishqe Rasool ke saath Zikre Rasool ki mehfil munaaqid karne ya Juloos nikaalne se roke to ye munaasib bhi nahi aur mumkin bhi nahi.
Kyun ki khud ALLĀH chaahta hai ke us ke Habeeb Khaatim ul Ambiya sallallāhu alaihi wa sallam ka zikr hamesha buland rahe.
ALLĀH ta’ala ne aap ko Habeebullāh, Afzal ul Bashar,
Khair e Khalqillāh,
Asharaf ul Ambiya aur Sayyed ul Ambiya,
Rasool e aazam, Sarwar e Kaunain,
Shaah e Ṡaqlain, Sultaan e daarain, Noor e mujassam, Saahib e laulak, Saahib e Me’araaj, Saahib e Ilm o hikmat, Haadi us subool, Mustafa, Mujtaba, Mukhtaar, Shafi e Mehshar, Khaatim ul Ambiya, Nabi e aakhiruz zamaan, Rasool e kaa’inat, Rahmatalil aalameen,
Aneesil ghareebeen, Makhzan e jood o sakhaawat, Mohsin e insaaniyat, Qaasim e ne’amat, Waseela e akbar banaaya hai.
Qur’an :
94 Surah Alam nasrah, Aayat 4 :
Aur hum ne aap ki khaatir aap ka zikr (hamare zikr ke saath milaakar har jagah) buland farmaaya.
*******************
Aur Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne aur Khulfa e Raashideen aur Aa’imma e Islaam ne Meelaad-un-Nabi jaa’iz maankar apne apne tareeqe se manaaya hai.
Chunaanche is daur me bhi musalman ishqe Rasool ke saath Mehfil e meelaad munaaqid karke aur Juloos nikaalkar Yaum e wilaadat manaate hain.
▪▪► Jo Aashiqane Rasool is me saamil hote hain wo sa’adat-mand hain aur jo saamil nahi hona chaahte un ko har achhi cheez par aitraaz karne ki aadat ho gai hai.
Mo’mino ko chaahiye ki unhe Eid-e-Meelaad-un-Nabi ki haqeeqat samjhaane ki koshish karen aur agar wo nahi maante to unhe un ke haal par chhod den aur zyada bahes na karen.
Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 7 :
ALLĀH ne un ke dilo aur kaano par mohar laga di hai aur un ki aankho par parda pad gaya hai aur un ke liye sakht azaab hai.
*********
▪▪► Aur Aashiqaan e Rasool ko bhi chaahiye ke Eid-e-Meelaad-un-Nabi ko Islaami tareeqe se manaayen aur aise amal karen jis se Islaam aur Musalmano ko aur izzat mile.
Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 208 :
Aye Eimaan waalo, Islaam me pure daakhil ho jaao.
Is mubarak dino me Ishq e Rasool ke saath Mehfil e Meelaad, Mehfil e Zikr aur Mehfil e Tilaawat e Qur’an me saamil hote rahen.
Kaṡrat se Durood o Salaam padhen.
Zyada Namaaz padhen aur Tilaawat e Qur’an karen.
Sadqa- Khairaat zyada karen.
Ghareebo, Mohtaajo ki imdaad karen.
Beemaar aur kamzor ki khidmat karen.
Saadaat ki khidmat karen.
Buzurgo ko isaal e ṡawaab karte rahen.
Kaṡrat se Astaghfaar karen.
Nafl Namaaz padhen.
Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaayen.
Nafl namaaz ka pura sawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai.
Apne gharo aur mohallo ko khub sajayen aur Roshni karen.
Magar aam raasto par ya choraaho par is tarah sajaawat na karen ki waha se guzarne walo ko takleef ho.
Najam ki CD/DVD bajaate waqt ye khayaal rakhen ki itni buland aawaaz na ho ki is ki wajah se mareezo, jaeefo, buzurgo aur chhote bacho ko takleef ho aur Azaan aur Namaaz ke awqaat ka bhi khayaal rakhen.
Eid-e-Meelaad-un-Nabi ko Subah Saadiq ke waqt khaas Salaat o Salaam pesh karen aur Dua e khair karen.
Fajr ki namaaz ada karne ke baad bhi Dua e khair karen.
Ghusl karen, Miswaak karen, Khushbu lagayen, Surma lagayen, Achhe kapde pehnen.
Achha khaana khaas kar meetha pakakar khud bhi khaayen aur azeezo, rishtedaaro aur padosiyo ko hadiya bhejen aur ghareebo ko bhi den.
Mehfil e Meelaad me aur Juloos me ikhlaas, adab o ehtaraam aur khushi ke saath saamil ho aur Raza e ilāhi aur Izhaar e ishqe Rasool ki nek niyyat rakhen.
Hattal imkaan Ba-wuzu rahen.
Har fuzool baat aur amal se bachen.
Juloos me Zikre Ilāhi aur Hamd e Baari ta’ala, Naat e Rasool aur Manqabat padhte rahen.
Kaṡrat se Durood o Salaam padhte rahen.
Tilaawat e Qur’an karen.
Kaṡrat se Astaghfaar karen.
Husne akhlaaq ka bentareen muzaahira karen taake Islaam aur musalmano ki shaan buland ho.
Islaam me Naachna aur Gaana-bajaana haraam hai, Chunaanche Juloos e meelaad me in baato se bachen.
Aatishbaazi na karen ke ye Fuzool-kharchi aur gunaah hai.
Juloos me paan, maava, tambaku khaane se ya bidi, cigarate peene se parhez karen.
Aurto ko be-parda nikalna ya mardo ke bich me aana mana hai. Is liye Juloos e milaad dekhne ke liye aurto ko apne gharo se baahar nahi nikalna chaahiye.
Juloos e meelaad me oont, ghode ya bail jaise jaanwaro ko saath me na rakha jaaye ki in ke peshaab aur leed se logo ke kapde na-paak hone ka andesha rehta hai.
Azaan aur Namaaz ke awqaat ka khaas khayaal rakhen.
Azaan ka ehtaraam karen aur azaan sunkar us ka jawaab den.
Juloos ke dauraan bhi masjid me ba-jama’at namaaz ada karen.
Aur namaaz ke baad ALLĀH ta’ala se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke waseele se sab ke liye Dua e khair karen.
Sahi ilm e deen sikhen aur dusro ko sikhayen.
Taake sahi aqeede ke saath nek amal kar saken.
Sunnato ko apnayen.
Har gunaah se bachne ki koshish karen.
Sab ke liye Hidaayat ki aur Sahi aqeede ke saath sahi nek amal karne ki taufiq ki dua karen.
Khaatma bil khair ki aur Maut ki, Qabr ki aur Qayaamat ki pareshaaniyo se hifaazat ki aur maghfirat aur najaat ki dua karen.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko in baato ko yaad rakhkar is par amal karne ki aur dusro ko sikhaane ki taufiq ata farmae.
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur hidaayat ata farmae aur Sab ko sahi tareeqe se ishq e Rasool ke saath Eid-e-Meelaad-un-Nabi manaane ki aur foyuz o barkaat haasil karne ki taufiq ata farmae.
Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sahi ilme deen haasil karne ki aur Sahi baat samajhne ki taufiq ata farmae aur Sahi nek amal karne ki aur Gunaaho aur buri bid’ato se bachne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe