SHAB-E-QADAR

SHAB-E-QADAR

SHAB-E-QADAR


↪Al Quran:

نَّا أَنزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِِo وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِِo لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِّنْ أَلْفِ شَهْرٍٍo تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِم مِّن كُلِّ أَمْرٍٍo سَلَامٌ هِيَ حَتَّى مَطْلَعِ الْفَجْرِo

⏬Tarjama:-

🍃Beshak humne Is (Quran) ko Shab-e-Qadr Me utara hai Aur Ap kya Sumjhte hain (ke) Shab-e-Qadr (Fazeelat o Barkat Aur Ajar o Sawab me) Hazaar Mahino Say behtar hai Is (Raat) Me Farishtay Aur Rooh Ameen (Jibreel) Apne Rab k Hukam Se (Khair o Barkat ke) Har Amar k Saath Utarta Hai Yeh (Raat) Tulu-e-Fajar Tak (Sara Sar) Salamti Hai....

*📓[Surah Al Qadr, 97:5.1]*

🌹Shab-e-Qadar Ko Makfee Rakhne ki Hikmat Kya Hai ?

🍂Agar Laylatul Qadr ko Makfee (hidden) na rakha jata tou amal ka kaam kam ho jata Aur ussi Raat ki Ibadat par Uktefa kar lia jata.
Zouq-e-ibadat me kami Aana shuru ho jati....

🍃Agar Kisi Majboori Kisi Wajah Se Agar Raat reh jati tou Phir usko yeh sadma rehta...

🍂Allah ko Bando ka Raat k Auqaat Me Jaagna bay-had mehboob hai,

🍃Laylatul Qadr ka Waqt isliye nahi Farmaya take Banday us ek raat ko talaash karnay me 5 Taaq (odd) Raato me Jaag kar Apne Rab Se Mangay....

↪Hadith:- 01....

🍂Hazrat Ummul Momineen Hazrat Ayesha Radiallahu Anha Farmati hain k ek Dafa Mainey Huzoor Sallahu Alayhi Wasallam Se Arz ki:

🍃Ya Rasool Allah Sallahu Alayhi Wasallam  Wasallam ! Agar Mai Layla Tul Qadar ko pa lun Tou Is Me Kya Dua Karun ?

🍂Aap Sallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya:
Yu kaho !

اَللَّهُمَّ إِنَّکَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ، فَاعْفُ عَنِّيْ

*🌹"Ay Allah !*
*Tu Bohat Maaf Farmaney Wala Hai Aur Dar Guzar Karnay Ko Pasand Karta Hai Pas Mujhko Maaf Farma."*

📚[Tirmizi, Hadith: 3513]

Hadith :- 02....

🍃Hazrat Abada Samat Radiallahu Anhu Bayan karte hain ke Allah Ke Rasool Sallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya :

🍂"Woh Ramzan Me Hai So Tum Ussay Akhri Ashray Me Talash karo,

*🍃Laylatul Qadr 21,Ya 23, Ya 25 Ya 27 Taaq raato Me hai Ya Ramzan ki Akhri Raat Hai.*

🍂Jis Shaks Nay Laytul Qadr Me Halat-e-Emaan Aur Talib-e-Sawab k Saath Qiyam Kia, Phir Ussay Saari Raat ki Tofeeq di gai tou Uske Aglay Aur Pichlay Gunnah maf kar diye jatay hain. "

📚[Ahmed Bin Hanbal, 5/319, Hadith:22713]

↪Hadith :- 03...

🍃Hazrat Abu Hurerah Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain ke Allah Ke Rasool Sallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya :

🍂"Jo Shaks Laylatul Qadr Me Halat-e-Emaan Aur Sawab ki Neeyat Say Qiyam Karta Hai Us k Saabiqa Gunnah Maaf Kar diey Jatey hai. "

📚[Bukhari, 2:709, Hadith: 1910]

Hadith :- 04....

🍃Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Bayan Kartey Hain ke Allah Ke Rasool Sallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya :

🍂"Yeh Maah tum Par Aya Hai Is Me Ek Aisi Raat Hai Jo Hazaar Mahino Say Afzal Hai.

🍃Jo Shaks Is Raat Say Mehroom Reh gaya Goya Woh Saari Khair Se Mehroom raha. Aur Is Raat ki Bhalaai Se Wahi Shakhs Mehroom Reh Sakhta Hai Jo Waqiatan Mehroom Ho. "

📚[Ibne Majah, 2:309, Hadith: 1644]