Aaj hum Ye Sochkar khush ho rahe hain Ki Ramzan ja Rahe hai Kal Eid hai Magar Kya Sahaaba e kiraam bhi Isi tarah Ramzan ke Jane ki khushi kia karte the Hargiz nahi
Sahaaba e kiraam Radiy-Allāhu ta’ala anhu 6 Mahina Pahle Se Ramzan ke Aane ka Intezar karte the Aur 6 Mahina Baad Tak Uske jane ke gham me guzarte the
Aapko Maloom hai Ye Rehmaton bhara Wo mahina humse juda ho raha Hai Jisme Allah Sabse Zyada Rehmaten Aur Barkate Nazil Farmata hai Ye Wo Mahina Hai Jisme Quraan Nazil hua Yahi Wo Mahina hai Jisme Ek neki ka Sawab 70 gunah Kardia jaata hai
Jo ramzan ke Aaane Par Khushi ka izhar Kare aur jaane Par gham Ka Izhar Kare Allah Ta'ala Usko Jannat Ataa Farmayega
Ye Maahe Mubarak Ab se pahle kisi Ummat ko na mila Ye Sirf Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ummat Yaani hamen Mila hai
Aur isi Mubarak mahine me wo Raat aati hai jisme Ibaadat karke Humen hazaar mahino se behtar Sawab dia jaata hai
Is Maah e Mubarak ki har Ghadi me Beshumar Barkat Aur Rehmaten hain
Ramzan ke Baad fir wahi gunahon ka Dour Shuru hojaega Jo ramzan Aane Se Pahle tha Shaitan Azaad hojaega Aur Musalman fir uske Fareb Me Aa jaega
Hazrat Abdul Qadir Jilani Rehmatullahi Alaih Eid ke Din Farma rahe the "Log keh Rahe hain Aaj Eid Hai Log keh Rahe hain Aaj Eid Hai Abdul Qadir Jilani ki Eid to jab Hogi Jab Imaan ke Sath Diunia Se Me Chala Jaun"
Wo to katayi Jannati hai Logon ke Liye Dars Hai Ki Insan ko Hamesha Apne Imaan ki fikr Karni chahye
Aur Achhe Amal karte rehna Chahye kya pata hamara konsa gunah hamen Jannat Se jahannam ki Aur Le jaay Je
Aao Allah Se Ek dua Karte hai Ya Allah hum Teri Ibaadat Ka haqq Adaa na kar Sake hum Aisi ibaadat Ramzan me na kar sake Jaisa uska haqq Tha humne bohat kam Ibaadat ki Ya Allah fir bhi tu Hamari us Ibaadat
Ko Qubool Farmale Aur Hamen Muaaf Karde Ayenda Ramzan Hamen Naseeb Farmana Taaki humne jo waqt Is Ramzan me Ibaadat se Mahrumi me Guzara Us Tarah Ayenda na Guzre Aur Hum Agle Saal teri khoob Ibaadat Kare
Hamen Bakhsh de Tu Raheem hai Humpar Rahem Farma Hamare liye Apni Rehmat ke Darwaze khol de Aur Hamare Sagira,Kabirah Gunahon ko muaaf Farma Aur Hamen Jannat me Apna Deedaar Ataa farmana Moula Aur Apne Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Pados Hamen Jannat me Ataa Farmana Ya Rabbe Kareem Humpar apna khaas Karam Farma Aameen Summa Aameen
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe