Fateh Makka ka bayaan
Zil Qa’ada 6 Hijri (March 628 A.D.) me Musalmano aur Quraish ke darmiyaan Sulaih Hudaibiyah hui thi, jis me ye tay hua tha ke aa'inda 10 saal tak dono ke darmiyaan koi jung nahi hogi aur ek dusre par hamla nahi kiya jaayega aur koi nuqsaan nahi pahunchaaya jaayega. Arab me se koi shakhs ya koi qabeela musalmano ya Quraish me se jis ko saath dena chaahe de sakta hai. Quraish ka koi shakhs apne wali ki ijaazat ke baghair Huzoor Mohammad sallallāhu alaihi wa sallam ke paas aaye use waapas lauta diya jaaye magar Huzoor Mohammad sallallāhu alaihi wa sallam ka koi saathi Quraish ke paas aa jaaye to use waapas lautaaya nahi jaayega. Aur aa'inda saal se musalmano ko Umraah ke liye Makka aane ki ijaazat hai magar wo sirf 3 din tak rookenge.
Is saal Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Madeena waapas tashreef laaye.
Aur 7 Hijri (629 A.D.) me aap ne musalmano ke saath Umraah kiya aur 3 din tak Makka me rookkar Madeena waapas tashreef laaye.
********************
Dusre saal Sha’abaan 8 Hijri (629 A.D.) me maqaam al-Wateer par Quraish ke saathi qabeele Banu Bakr ne Musalmano ke saathi qabeele Banu Khuza’a par hamla kiya. Banu Khuza’a ke log panaah ke liye bhaagkar Ka’aba par pahunche to zaalimo ne Haram ka bhi ehtaraam na kiya aur un logo par hamla kiya. Quraish ne is me Banu Bakr ko madad ki aur Ikraama bin Abu Jahal, Safwaan bin Umayya, Suhail bin Amr is me saamil hue. Is me Banu Khuza’a ke 23 aadami qatl ho gaye. Banu Khuza’a ne bhaagkar Makka me Budail ibn Warqa ke ghar par panaah li. Amr ibn Saalim al-Khuza'i 40 aadamiyo ke saath ne Madeena aaye aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko tamaam ahwaal bataaya. Ye baat jaankar aap sallallāhu alaihi wa sallam bahot naaraaz hue.
****************
Aap ne ek qaasid ko Quraish ke paas ek khat lekar bheja aur muahida todne par Quraish ko 3 me se 1 raasta chunne ke liye farmaaya :
[1] Banu Bakr ke saath ta’alluq tod diya jaaye.
[2] Bataur e jurmaana maal diya jaaye.
[3] Sulaih (Muahida) ko rad kiya jaaye.
Kurta bin Abde Amr ne Quraish ka numa'inda bankar jawaab diya ki ‘Na hum maqtoolo ke khoon ka muafza denge, Na apne haleef Qabeela e Bani Bakr ki himaayat chhodenge, Haan teesri baat hume manzoor hai aur hum elaan karte hain ki Hudebiya ka muahida toot gaya.’
Lekin qaasid ke jaane ke baad kuchh Ameer e Quraish Abu Sufyaan ibn Harb ke paas gaye aur kaha ki ‘Hum ne jo jawaab bheja hai us se bahot mushkil haalaat pesh aa sakte hain. Agar ye muammla na suljha to phir Muhammad hum par hamla karenge.’
Aur Abu Sufyaan par bahot zyada dabaaw daala ki woh foran Madeena jaakar Muahida e Hudaibiyah ki tajdid kar le.
*****************
Is ke baad Abu Sufyaan bahut hi tezi ke saath Madeena gaya aur pehle Apni beti Ummul Momineen Hazrate Umme Habeeba radiy-Allāhu ta’ala anha ke makaan par pahuncha. Magar unho ne use apne bistar par baithne se bhi mana farmaaya aur kaha ‘Yeh Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ka bistar hai, Aur tum mushrik aur najis ho. Isi liye maine ye ganwaara nahi kiya ki tum Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke bistar par baitho.’
Phir Abu Sufyaan Hazrate Abu Bakr Siddeeq, Hazrate Umar Faarooq, Hazrate Ali, aur Sayyeda Faatima radiy-Allāhu ta’ala anhuma se mila aur sifaarish karne ke liye iltija ki. Magar in hazraat ne bhi keh diya ke ‘Hum is muamale me koi madad nahi kar sakte.’
Aakhir me Hazrate Ali ke mashware par Abu Sufyaan Masjid e Nabawi shareef me gaya aur buland aawaaz se masjid me elaan kiya ke ‘Maine Muahida e Hudaibiyah ki tajdid kar di.’ Magar musalmano me se kisi ne jawaab nahi diya.
Is ke baad Abu Sufyaan Makkah rawaana ho gaya. Jab Makkah waapas pahuncha to Ahle Quraish ne puchhaa to Abu Sufyaan ne saari dastaan bayaan kar di. Quraish ne puchha ki ‘Jab tum ne apni taraf se Muahida e Hudaibiya ki tajdid ka elaan kiya to kya Muhammad (sallallāhu alaihi wa sallam) ne is ko qubool kar liya?’ Abu Sufyaan ne kaha ‘Nahi.’ Ye sunkar Quraish ne kaha ‘Phir to bahut mushkil haalaat paida ho gaye hain. Ye na to suleh hai ki hum itminaan se baithen na yeh jung hai ki saamna kiya jaaye.’
****************
Madeena me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne musalmano ko hathiyaar jama karne ke liye farmaaya aur bade lashkar ke saath Makka par hamla karne ki tayyaari shuru ki. Magar is baat ko makhafi rakhne ke liye Hazrate Abu Qataadah radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Batan Izm ki taraf bheja taake Quraish ko aisa lage ke musalman waha jama hone waale hain.
****************
Is ke baad 6 Ramazaan 8 Hijri (629 A.D.) ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam 10000 musalmano ke lashkar ke saath Madeena se rawaana hue.
Jab Aap sallallāhu alaihi wa sallam maqaam e Qadeed par pahunche to paani maanga aur apni sawaari par baithkar pure lashkar ko dikhaakar Aap ne din me paani nosh farmaaya aur Sab ko Roza chhod dene ka hukm diya. Chunaanche Aap aur aap ke sahaaba ne safar aur jihaad me hone ki wajah se roza mauqoof kar diya.
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Huzfa par pahunche to aap ke chacha Hazrate Abbaas bin Abdul Muttalib apne pariwaar ke saath milne aaye. Hazrate Abbaas Jange Badr ke baad se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki marzi se Makka me rehte the.
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam pata chala ke Hazrate Abbaas ke saath aap ke chachazaad bhai Abu Sufyaan Mugheera bin Haaris aur fufizaad bhai Abdullāh bin Abi Umayya bhi hain to aap ne shuru me un dono se milne se mana farma diya. Kyun ki un dono ne elaane nabuwwat ke baad se aap ko bahot takleef di thi. Phir bahot iltija karne ke baad aap ne ijaazat ata farmai. Jab dono ne ye kaha ke ‘Yaqeenan aap ko ALLĀH ta’ala ne hum fazeelat ata farmai hai aur beshak hum khatawaar hain.’ To aap ne josh e rahmat me farmaaya ‘Tum se koi muakheza nahi, ALLĀH tumhe bakhsh de woh Arhamur raahimeen hai.’
Jab qusoor muaf ho gaya to Abu Sufyaan bin Haaris ne zamaana e jaahiliyat ke daur me apne qaseedo me aap ki buraai likhi thi us ki maazarat ki aur aap ki maddah me Ash'aar likhe.
****************
Makka ke 10 mile door Mar-uz-Zahran maqaam par musalmano ke lashkar ne wuqoof kiya.
Raat ko Huzur sallallāhu alaihi wa sallam ne fauz ko hukm diya ki har mujaahid apna Alag-alag chulha jalaaye. Aap ke farmaan par 10,000 mujahiddeen ne alag alag chulhe jalaaye to Mar-uz-Zahran ke pure maidaan me meelo tak aag aag nazar aane lagi.
Quraish ko jab khabar mili ke Madeena se fauj aa rahi hai to unho ne soorate haala jaanne ke liye Abu Sufyan bin Harb, Haakim bin Hijaam aur Bundel bin Warqa ko bheja.
Jab ye teeno Mar-uz-Zahran ke qareeb pahunche to dekha ki meelo tak aag hi aag jal rahi hai. Ye manzar dekhkar teeno hairaan reh gaye aur Abu Sufyaan ne kaha ki ‘Maine to zindagi me kabhi itni door tak phaili hui aag is maidaan me jalte hue nahi dekhi. Aakhir ye kaun sa qabeela hai?’
Bundel bin Warqa ne kaha ki ‘Bani Khuza’a maaloom hota hai.’ Abu Sufyaan ne kaha ki ‘Nahi, Bani Khuza’a itni kaseer ta’adaad me kaha hain jo un ki aag se Mar-uz-Zahran ka pura maidaan bhar jaaye.’
Hazrate Abbaas bin Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu raat ke waqt Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke safed khachchar par sawaar hokar Makkah ki taraf rawaana hue ke Quraish ko khatre se aagaah kar den aur unhe Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se muafi maangakar suleh karne ke liye samjhayen.
Hazrate Abbaas ki in teeno se mulaaqat hui to Abu Sufyaan ne puchha ki ‘Aye Abbaas! Tum kaha se aa rahe ho? Aur ye aag kaisi hai?’ Hazrate Abbaas ne kaha ki ‘Ye Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke lashkar ki aag hai.’
Phir Hazrate Abbaas ne Abu Sufyaan se kaha ki ‘Tum mere khachchar par pichhe sawaar ho jaao. Agar musalmano ne tumhe dekh liya to tum ko qatl kar denge.’
Jab ye log lashkar gaah me pahunche to Hazrate Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu dusre kuchh sahaaba ke saath pehra de rahe the. Unho ne Abu Sufyaan ko dekh liya. Kehne lage ‘Are ye to khuda ka dushman Abu Sufyaan hai.’ Aur daudte hue baargaah e Risaalat me pahunche aur arz kiya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Abu Sufyaan haath aa gaya hai. Agar ijaazat ho to abhi us ka sar uda dun.’
Itne me Hazrate Abbaas un teeno mushriko ko saath lekar baargaah e Risaalat me haazir hue aur un logo ki jaan-baazi ka bayaan kiya aur kaha ki ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Maine in sabhi ko amaan di hai.’
Ye sunkar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne un ko Makka waapas jaane diya. Aap ka husne sulook dekhkar Haakim bin Hijaam aur Bundel bin Warqa foran musalman ho gaye.
*****************
Dusre din 20 Ramazan 8 Hijri (11 January 630 A.D.) ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne lashkar ke 4 giroh banaakar Makka ki taraf kooch ki.
Pehla giroh Hazrat Abu Ubaidah Aamir ibn Jarrah radiy-Allāhu ta’ala anhu ki sardaari me Azakhir ki jaanib se aage badha, jis me aap sallallāhu alaihi wa sallam bhi saamil the. Dusra giroh Hazrat Zubair ibn Awwaam radiy-Allāhu ta’ala anhu ki sardaari me Kuda pahaad ki jaanib se aage badha. Teesra giroh Hazrat Ali al-Murtaza ibn Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ki sardaari me Kudai ki jaanib se aage badha. Chotha giroh Hazrat Khaalid ibn Waleed radiy-Allāhu ta’ala anhu ki sardaari me Khandama aur Lait ki jaanib se aage badha.
3 giroh baghair koi muqaabale ke Makka ki taraf aage badhe. Sirf Hazrat Khaalid ibn Waleed radiy-Allāhu ta’ala anhu ke giroh par Ikrama bin Abu Jahal, Safwaan bin Ummayya, Suhail bin Amr aur Zishaan bin Qais ki sardaari me Quraish ne teero se hamla kiya. Jis me 2 musalman (Hazrat Hubaish ibn Ash'ar aur Qurb ibn Jaabir al-Fahri radiy-Allāhu ta’ala anhu) shaheed hue aur 12 kuffaar maare gaye.
Is tarah ALLĀH ke fazl se musalmano ne Makka par fateh haasil ki.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Maqaam e Hazoon par apna jhanda nasab karne ke liye farmaaya.
****************
Jab muslim lashkar Makka me daakhil ho raha tha tab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par Hazrate Abbaas ne Abu Sufyaan ko ek buland jagah par khada kiya. Thodi der ke baad musalmano ke lashkar samundar ki maujo ki tarah aata hua dikhaai diya aur Qabeela e Arab ki fauje hathiyar se sajh-dhaj kar yak ke baad deegar ek Abu Sufyaan ke saamne se guzarne lagi.
Sab se pehle Qabeela e Giraf apne parcham ke saath nikle, phir Zuhaina, phir Sa’ad bin Huzaim, phir Banu Sulaim apne apne parcham lehraate hue aur Takbeer ke naare lagaate hue guzre. Abu Sufyaan ke puchhne par Hazrate Abbaas har qabeele ki pehchaan karaate gaye. Is ke baad jab ek lashkar niraali shaan o shauqat ke saath guzra to Abu Sufyaan ne puchha ‘Aye Abbaas! Ye kaun log hain?’ Hazrate Abbaas ne farmaaya ki ‘Yeh Ansaar hain.’
Is ke baad Huzur sallallāhu alaihi wa sallam faatihana haisiyat se apni oontni Qaswa par sawaar Makkah me daakhil hue. Aap ne siyah (kaale) rang ka Amaama baandha hua tha aur Aap ke sar par Magfar tha. Aap Surah al-Fat'h ki tilaawat kar rahe the aur ALLĀH ka shukr ada kar rahe the. Aap ke ek jaanib Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu aur dusri taraf Hazrat Usaid bin Huzair radiy-Allāhu ta’ala anhu the aur Aap ke chaaro taraf josh se bhara hua lashkar tha.
Is shaan o shauqat ko dekhkar Abu Sufyaan ne Hazrate Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu se kaha ‘Aye Abbaas! Tumhara bhatija to baadshaah ho gaya hai.’ Hazrate Abbaas ne jawaab diya ‘Aye Abu Sufyan! Ye baadshaahat nahi balke Nabuwwat hai.’
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam waha se guzre to Abu Sufyan ne aap se kaha ki ‘Abhi abhi Sa’ad bin Ubada (jo Ansaar ke alam bardaar the) ye kehte hue gaye ki Aaj ghamaasan jung ka din hai.’ To Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ki ‘Sa'ad bin Ubada ne galat kaha balki aaj ka din to rahmat ka din hai (Al-Yauma Yaumul Marhamah).
****************
Makka ke andar daakhil hone ke baad Huzur sallallāhu alaihi wa sallam Hazrat Umme Haani binte Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anha ke makaan par tashreef le gaye aur waha Ghusl farmaaya. Phir 8 rak'at Namaaz e Chaasht padhi.
Phir Aap ne Hazrate Umme Haani se farmaaya ki ‘Ghar me kuchh khaana hai?’ Unho ne arz kiya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Sukhi roti ke kuchh tukde hain aur mujhe badi sharm mehsoos ho rahi hai ki use aap ke saamne pesh karun.’ Irshaad farmaaya ki ‘Laao.’ Jab un sukhi rotiyo ko aap ke saamne pesh kiya gaya to aap ne apne daste mubarak se unhe toda aur paani me bhigokar narm kiya aur jab Hazrate Umme Haani ne namak pesh kiya to Aap ne farmaaya ki koi saalan ghar me nahi hai?’ Unho ne arz kiya ‘Mere ghar me Sirqa ke siwa kuchh nahi hai.’ Aap ne irshaad farmaaya ‘Sirqa laao.’ Phir Aap ne sirqa ko roti par daala aur khaakar ALLĀH ka shukr ada kiya. Phir farmaaya ki ‘Sirqa behtareen saalan hai aur jis ghar me sirqa hoga wo ghar waale mohtaaj na honge.’
Phir Hazrate Umme Haani ne arz kiya ki ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Maine Haaris bin Hishaam (Abu Jahl ka bhai) aur Juhair bin Umayya ko amaan de di, lekin mere bhai Hazrate Ali un dono ko qatl karna chaahte hain kyun ki un dono ne Hazrate Khaalid bin Waleed radiy-Allāhu ta’ala anhu ki fauj se jung ki hai.’
Aap ne farmaya ‘Aye Umme Haani! Jis ko tum ne amaan di us ko humari taraf se bhi amaan hai.’
*************
Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam apni oontni Qaswa par sawaar hue aur Hazrate Usaama bin Zaid radiy-Allāhu ta’ala anhu ko apne pichhe bithaakar Ka’abatullāh ke qareeb pahunche. Phir aap neeche utre aur Ka’abatullāh ka tawaaf kiya aur Hajre Aswad ko bosa diya.
Phir Hazrat Usmaan ibn Talha radiy-Allāhu ta’ala anhu ko bulaakar Ka’aba ka darwaaza kholne ke liye farmaaya. Phir aap ne ka’aba ke darwaaze ke paas khade hokar Khutba padha aur Qur’an majeed ki aayat tilaawat farmai.
Qur’an :
49 Surah al-Hujurāt, Aayat 13 :
‘Aye logo hum ne tumhe mard aur aurat se paida farmaaya aur hum ne tumhe qaumo aur qabeelo me taqseem kiya taake tum ek dusre ko pehchaan sako, Beshak ALLĀH ke nazdeek tum me zyada ba-izzat wo hai jo tum me zyada parhezgaar ho, Beshak ALLĀH khoob jaanne wala khoob khabar rakhne waala hai.’
Phir aap ne farmaaya ‘Aye Ahle Quraish, Tum log mujh kis baat ki ummeed rakhte ho?’ Quraish ne kaha ‘Hum aap se bhalai aur amn ki ummeed rakhte hain.’
Aap ne farmaaya ‘Main tum logo se yehi kahunga jo Hazrat Yousuf alaihis salaam ne apne bhaaiyo se kahe the ke Laa tasriba alaykum layaum. Aaj ke din tum se koi malaamat ya mutaalba nahi kiya jaayega. Tum sab aazaad ho. Tum ne apne kiye ka anjaam dekh liya aur maine apne Rab ki maherbaaniyo ka huzoom dekha.’
Aap ne farmaaya ‘Jis ne apne hathiyaar chhod diye us ke liye bhi amaan hai. Jo apne ghar me chala gaya us ke liye bhi amaan hai. Jo Ka’aba me daakhil ho gaya us ke liye bhi amaan hai. Jo Abu Sufyaan ke ghar me daakhil ho gaya us ke liye bhi amaan hai.’
Phir aap ne farmaaya ‘Jab se ALLĀH ta’ala ne aasmaan aur zameen banaaye hain tab se Makka ko Haram banaaya hai aur wo qayaamat tak haram rahega kyun ki use ALLĀH ne hurmat bakhshi hai. Is me fasaad ya jung karna haraam hai, Na mere baad kisi ke liye aur na mere liye siwa e ye kuchh waqt ke liye. Is me shikaar karna mana hai aur darakht kaatna bhi mana hai aur kisi podhe ya ghaas ko ukhedna bhi mana hai.’
****************
Phir aap ne Ka’aba ke baahar jo but the un ko apni chhadi se giraaye aur phir Hazrate Usaama bin Zaid, Hazrat Usmaan ibn Talha aur Hazrat Bilaal Habashi ke saath Ka’aba me daakhil hokar us me maujood tamaam buto ko giraaye aur door kiye. Ek but bulandi par tha. Use giraane ke liye aap ne Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ko apne kandhe par chadhaaya. Aap ne ashaaba ko ka’aba ki deewaaro par maujood farishto ki aur dusri tasweere mitaane ka hukm farmaaya. Phir aap ne Baitullāh shareef ke tamaam gosho me Takbeer padhi aur 2 rak’at namaaz bhi Ada farmai. Aur tarah Ka’aba ko hamesha ke liye sirf ek ALLĀH subhān wa ta’ala ki ibaadat ke liye paak kiya.
Phir aap ne Ka’aba me maujood logo ke saamne Qur’an majeed ki aayat tilaawat farmai.
Qur’an :
17 Surah Bani Israa’eel, Aayat 81 :
‘Aur farma dijiye : Haq aa gaya aur baatil bhaag gaya, Beshak baatil naabood hi ho jaata hai.’
Aur phir farmaaya ‘ALLĀH ke siwa koi ma’abood nahi. Us ka koi shareek nahi.’
Is ke baad baahar tashreef laakar Hazrat Usmaan ibn Talha radiy-Allāhu ta’ala anhu aur un ki nasl ko ‘Sidanah’ (Ka’abatullāh ki nigraani aur khidmat) ki zimmedaari aur Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur un ki nasl ko ‘Siqayah’ (logo ko Zam zam peelaane) ki zimmedaari ata ki.
Phir Hazrat Bilaal al-Habashi radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par Ka’aba ki chhat par chadhkar azaan di. Aur tamaam musalmano ne namaaz ada ki.
****************
Fateh Makka ke din Huzoor Rahmat e aalam sallallāhu alaihi wa sallam ne ahle Makka ke liye aam muafi ka elaan kar diya magar 17 logo ke liye hukm huwa ke jahan paaye jaayen qatl kar diye jaayen. In me se ba’az ke qatl hone ke baad un me se baaqi log Tauba wa Ruju aur Eimaan ki badaulat maamoon huwe aur qatl se nijaat paayi.
7 log jin ka qatl hua :
4 mard : Abdullāh bin Khatal, Hawairis bin ibn Nukeed, Muqees bin Sababa Laisi, Haaris bin Talatala.
3 aurten : Kareeba (ibne Khatal ki baandi), Arnab (ibne Khatal ki baandi), Umme Sa’ad.
9 log jo maamoon rahe :
7 mard : Ikraama bin Abu Jahal, Safwaan bin Umayya, Abdullāh bin Sa’ad bin Abi Sarh, Habaar bin Aswad, Ka’ab bin Zaahir, Wahshi bin Harb, Abdullāh bin Jabari.
2 aurten :Hinda binte Utbah (Jauza e Abu Sufyaan) aur Kartana (ibne Khatal ki baandi).
Sarah (Bani Mutlib ki baandi) ko kab qatl kiya gaya is ke baare me ulma ikhtelaaf hai.
*****************
Hazrate Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu Abu Sufyaan ko Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me lekar aaye.
Jab Abu Sufyaan Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke paas aaya to aap ne farmaaya ‘Aye Abu Sufyaan! Kya ab bhi tumhe yaqeen na aaya ke Khuda ek hai?’
Abu Sufyaan ne kaha ‘Kyun nahi. Koi aur khuda hota to aaj humari madad karta.’
Aur phir wo Kalma padhkar musalman ho gaya.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Abbaas se puchha ke ‘Tumhare bhatije Utbah aur Ma’atab ibne Abu Lahab kaha hain?’ Hazrat Abbaas ne kaha ‘Wo Makkah chhodkar Arafaat chale gaye hain.’ Phir Hazrat Abbaas un ko lekar aaye aur wo dono musalman hue.
*****************
Fateh Makka ke baad Abu Sufyaan samet bahot badi ta’adaad me Ahle Makka Islaam me daakhil hue. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath kohe Safa par khade hokar un se bai'at lena shuru kiya.
Itni badi ta’adaad me logo ko musalman hote hue dekhkar Ahle Madeena ko ye lagne laga ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam kahin Makka shareef me hi rook na jaayen aur Madeeana waapas na aayen.
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko ye baat pata chali to aap ne farmaaya ‘Tasalli rakho. Main Madeena chhodkar kisi aur jagah qayaam nahi karunga.’ Ye sunkar Ahle Madeena bahot khush aur mutmaeen hue.
****************
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Makka me 15 roz tak rooke aur logo ko islaam ki taalim dete rahe. Aur phir is azeem fateh ke baad Madeena munawwara waapas tashreef laaye.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe