Hiqayat e Zakaat

Hiqayat e Zakaat

Hiqayat e Zakaat


* Huzur sallallaho taala alaihi wasallam farmate hain ki musalman ko jo bhi maal ka nuksan hota hai wo zakat na dene ke sabab se hota hai

📕 Bahare shariat,hissa 5,safah 7

* Shaitan har tarah se insaan ko fareb dene me laga rahta hai magar jab koi banda uske fareb me nahin aata to uske maal se lipat jaata hai aur usko sadqa wa khairat karne se rok deta hai

📕 Tilbeese iblees,safah 455

* Taabayeen raziyallahu taala anhum ki ek jamaat kisi faut shuda ke ghar uski taaziyat ko gayi wahan marne waale ka bhai khoob aaho baka wa cheekho pukaar kar raha tha,

is par tamam hazraat ne use sabr karne ki taaleem di is par wo bola ki main kaise sabr karun jab ki main khud apne bhai par azaab hote dekhkar aa raha hoon,

waaqiya kuchh yun hai ki jab sab use dafn karke chale gaye to main wahin baitha raha achanak apne bhai ke chillane ki aawaz suni wo chilla raha raha tha

ki sab mujhe chhod kar chale gaye main yahan azaab me hoon mere roze meri namazein sab kahan gayi,is par mujhse bardaasht na hua maine qabr khoda to kya dekhta hoon

ki uski qabr me aag bhadak rahi hai aur uske gale me aag ka tauk pada hua hai maine socha ki wo tauk nikaal doon par jaise hi use nikaalna chaaha to dekho ki khud mera haath jalkar siyaah ho gaya hai,

ab bataiye main kaise sabr karun,jab usse poochha gaya ki tumhare bhai par ye azaab kyun aaya to kahne laga ki wo namaz roze aur deegar ibadatein to khoob karta tha magar zakat nahin deta tha,

jab ye khabar sahabiye rasool hazrat abu zar raziyallahu taala anhu ko mili to aapne farmaya ki ye ALLAH taala ne tumko ibrat haasil karne ke liye dikhaya hai warna kaafiro mushrik par to azaab daaymi yaani hamesha ka hai

📕 Mukashifatul quloob,safah 164

* Huzur sallallaho taala alaihi wasallam farmate hain ki jo log apne maal ki zakat nahin ada karenge to qayamat ke din unka maal ganje saanp ki shakl me unke gale me pada hoga aur wo apne jabdon se uske munh ko pakde hoga aur kahega ki main tera maal hoon

📕 Bukhari,jild 1,safah 188

* Karoon ko ALLAH ne itni daulat ata farmayi thi ki uske ek khazane ki ek chaabhi hoti wo bhi sirf ek ungli ke barabar is tarah sirf uske khazano ki chaabhiyan hi 70 khachcharo par laad kar chala karti thin

sochiye ki uske paas khazana kitna raha hoga,magar jab hazrat moosa alaihissalam ne use zakat ka hukm diya

 to wo phir gaya aur nafarmani ki to itni daulat bhi use rub ke qahar se na bacha saki aur wo apne poore maal samet zameen me dhans gaya aur qayamat tak dhansta hi rahega

📕 Jalalain,haashia 19,safah 333

*Lihaza musalmano apne maal ki zakat poori poori imaandari se ada karen warna azaab ke liye taiyar rahen*

Post a Comment

0 Comments