Shab e Baraat ka bayaan

Shab e Baraat ka bayaan Aur Fazilat Masail


Shab e Baraat ka bayaan


Hadeeṡ e Nabawi :

(1) Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ki
‘Jab nisf Sha’abaan ki raat aaye to raat ko Qayaam karo aur din ko Roza rakho. Beshak ghuroob e aaftaab se subah saadiq tak ALLĀH ta’ala ki rahmat ka (khaas) nuzool aasmaan o duniya par hota hai.


Rab ta’ala ki taraf se aawaaz di jaati hai ‘Khabardaar! Hai koi jo mujh se Bakhshish talab kare, main use bakhsh du. Hai koi Rizq ka taalib ke use rizq ata karu. Hai koi museebat zada ke main use Aafiyat ata karu.
Khabardaar, Koi is tarah hai? Khabardaar, Koi is tarah hai?’

(Ibne Maajah, Baab Ma Jaa’a Fi Laylatin Nisf Min Sha’abaan, Safa -99)

(2)  Hazrat Abu Moosā Ash’ari radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ki
‘Beshak nisf Sha’abaan ki raat me ALLĀH ki rahmat ka (khaas) zahoor hota hai.
ALLĀH apni tamaam makhlooq ko ma’af farma deta hai siwa e mushrik, logon se bughz rakhne waale aur dushmani karne waale.’

(Ibne Maajah)

(3) Hazrat Ma’az bin Jabal radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ki
‘ALLĀH ta’ala Sha’abaan ki 15wi raat ko apni tamaam makhlooq ki taraf matawajjeh hota hai aur tamaam makhlooq ki maghfirat farma deta hai, lekin mushrik aur bughz (keena) rakhne waala nahi bakhsha jaata.’

(Tabrani, Ibn Habaan)

(4) Hazrat Aa’isha radiy-Allāhu ta’ala anha se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ki
‘Nisf Sha’abaan ki Raat me saal me paida hone waalo aur faut hone waalo, Baa’is e rif’at nek aamal aur rizq ke asbaab likh diye jaate hain.’

(Bayhaqi;
Mishkaat shareef)

********************

Shab e Baraat ki khaas Ibadaat

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

Maghrib ki namaaz ada karne ke baad 6 rak’at nafl namaaz  2-2 rak’at  karke padhen.

(1) 2 Rak’at namaaz Daraji e Umr bil khair ki niyyat se.

(2) 2 Rak’at namaaz Dafa e Bala wa Imraaj ki niyyat se.

(3) 2 Rak’at namaaz Makhlooq ka Mohtaaj na hone ki niyyat se.

››  Har 2 rak’at ke baad Surah Yā-sin aur Dua e Nisf  Sha’abaan padhen.

››  Masjid me namaaz padhen to ek shakhs buland aawaaz se Surah Ya-sin aur Dua padhe aur baaqi sab log khaamoshi se sune.

Sunne waalo ko bhi is ka sawaab milega.

 

Dua e Nisf  Sha’abaan

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

Dua e Nisf  Sha’abaan


Bismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Allāhumma Yaa zal-manni wa laa Yumannu alaihi. Yaa zal-jalaali wal-ikraam. Yaa zat-tauli wal-in’aami. Laa Ilāha illa anta zahral lajeena. Wa Jaaral Mustajireena. Wa amaanal khayifeena. Allāhumma in kunta katabtani indaka fee ummil kitaabi shakiyyan aw-mahruman aw-matrudan aw-mukattaram alaiya feer rizqi. Fa’amhu. Allāhumma bi-fadlika shakaawatee wa-hirmaanee wa-tardee wa-aktitara Rizqee. Wa-aṡbitnee indaka fee ummil kitaabi saeedam marzuqam muwaffaqal lil-khairaati. Fa-innaka qulta wa qaulukal Haqqu. Fee kitaabikal Munazzali. Alaa lisaani nabiyikal mursali. Yamhuwllāhu maa yashaău wa-yuṡbitu wa-indahu ummul Kitaabi. Ilāhee bit-tajallil a’azami fee laylatin nisfi min shahri sha’abaanal mukarram. Allatiee yufraqu feehaa kullu amrin hakeemiw wa-yubramu. An takshifa anna minal balaă’i wal-Balwaă’i maa na’alamu wa maa laa na’alamu. Wa- anta bihee a’alamu. Innaka antal a’azzul akramu. Wa sallallāhu ta’aalaa alaa sayyidina Mohammadiw wa alaa aalihī wa-sahbihī wa sallam. Wal hamdu lillāhi rabbil ālameen.
Aameen Ya Rabbul ālameen.

*********************

Shab e Baraat ke Nawaafil

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

(1) 2 Rak’at nafl Tahyatul Wuzu padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 1baar Aayat ul Kursi aur 3 baar Surah al-Ikhlaas padhen.

In shaa Allāh har katra paani ke badle 700 rak’at nafl namaaz ka sawaab milega.

(2) 2 Rak’at nafl namaaz padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 1baar Aayat ul Kursi aur 15 baar Surah al-Ikhlaas padhen.
Salaam ke baad 100 baar Durood shareef padhen.

In shaa Allāh Rizq me barkat aur Ranj o gham se najaat aur Gunaaho ki bakhshish aur Maghfirat haasil hogi.

(3) 8 Rak’at nafl namaaz (2-2 rak’at karke)
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 5 baar Surah al-Ikhlaas padhen.

In shaa Allāh Gunaaho se paak hoga aur Duaen qubool hogi.

(4) 12 Rak’at nafl namaaz (2-2 rak’at karke)
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 10 baar Surah al-Ikhlaas padhen.
12 rak’at ke baad 10 baar Kalma e Tauhid aur 10 baar Kalma e Tamjeed aur 10 baar Durood shareef padhen.

(5) 12 Rak’at nafl namaaz (2-2 rak’at karke)
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Ikhlaas ya aur koi Surah padhen.

In shaa Allāh har jaaiz dua qubool hogi.

(6) 4 Rak’at ek salaam se
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad  50 baar Surah al-Ikhlaas padhen.

In shaa Allāh Gunaaho se bilkul paak ho jaayega.

(7) 8 Rak’at ek salaam se padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad  11 baar Surah al-Ikhlaas padhen.

Is ka sawaab Khatoon e jannat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha ko nazr karen.
Aap farmaati hain ke
‘Main is namaaz padhne wale ki shafa’at kiye bina Jannat me qadam na rakhungi.’

▪▪► Kisi wajah se tamaam namaaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni nafl namaaz padhen aur phir Tilaawat e Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen.

•► Aur apne liye aur tamaam ummat e Mustafa ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdaad aur tamaam marhoomeen ke liye Due e maghfirat karen.
•► Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaayen.
Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aa’inda sab namaaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaaz ke foyuz o barkaat haasil karte rahenge.

Nafl namaaz ka pura sawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai.

*************** ******

14 aur 15 Sha’abaan ko Roza rakhen


Hadeeṡ e Nabawi :

(1) Jis ne 15wi Sha’abaan ko roza rakha us ko meri shafa’at halaal ho gai.

(2) Jo shakhs 15wi Sha’abaan ko roza rakhe use jahannam ki aag na chhuegi.

*************** ******
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko Nek amal karne ki aur Gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae.
Aur is Mubarak raat me ALLĀH ta’ala ki raza ke liye sahi tareeqe se Ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur hamari ibaadat ko qubool farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Har pareshaani aur Ranj o gham se najaat ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

1 Comments

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe