Sakht Garme Me Roze Aise Guzaren

Sakht Garme Me Roze Aise Guzaren


Sakht Garme Me Roze Aise Guzaren

Garmi Ke RoZe Aasani Se Rakhiye Ye BehtareeN Nabavi Nuskha  Ikhtiyar Karke…

Sakht Garmi Ke Mahine Mein Roze Aise Guzare Jaise December Ka Mahina Chal Raha Ho,
Piyas Aur Thakawat Ke Ehsas Ko Khatam Kijiye,

Ramazan Ke Is Maheene Mein Ek Sharbat Se Muta’arruf Karata Hoon Jis Ka Talluq Daur-e-Nabavi ﷺ Ke Mamoolaat Mein Se Hai 

Ahadees Ki Kitabo Mein Nabavi Ghizao Ka Jab Mutaala Karte Hain To Nabeez (ek  Sharbat ka naam) Ek Aisa Sharbat Ka Naam Milta Hai Jis Ka Istemal Arab Mein Ab Bhi Hota Hai,

Magar Ajam (gair arabi mulk) mein Istemal khatam Ho gaya hai,

Khajoor ka istemal Garmi Aur Tari diKhata Hai, Lekin Agar Is Khajoor Ko Pani Mein Bhigo Kar Aur Us Ka Sharbat Banaya Jaye To Is Se Zyada Asar Kaar Aur Sukoon Dene Wala Shayad hI Koi Sharbat Hoga,

Waise Bhi Is Waqt Poori Duniya Mein Dil Ki Bimariyo Ke Liye Khajoor Ka Istemal Bohot Tezi Se Riwaj Pakad Raha Hai kyuki duniya wapas fitrat ki taraf palat rahi hai Aur Khajoor Fitrat Hai,

Aaye! Ham Zara Khajoor Ka Sharbat Aap Ki Khidmat Me Pesh Karte Hain Ke Ramazan Mein Isse Bharpoor Lutf Uthaye.

Ek Sahab Mujh Se Kehne Lage Ke Ramazan Ka Maheena Aa Raha Hai Garmi Ka Mahina Hai, Pyas, Loo (Garm Hawa) Wagerah Aisi Hain Ke Bardasht nahi Hoti Phir Roze Ke Sath Kaise Bardasht Hogi?

Maine Kaha Bilkul Aasan Hai,

Aap Aisa Karein Ke Sehri Khane Ke Baad 2 Bade Chammach Gulab Ke Phoolo Ka Gulqand Kha Kar Upar Se Ek Gilas Paani Pee Lein Ya Phir Is Se Behtar Hai Ke Gulab Ke Phoolo Ke Do Chammach Kha Kar Upar Se Khajoor Ka Sharbat Pee Lein Isi Tarah Iftar Ke Waqt khajoor Se Iftar Karke Chuski Chuski Khajoor Ka Sharbat Piyen,

Ghoont Ghoont Na Piye Pyas, Garmi, Jalan Wagerah Jism Ki Thakawat Pal Bhar Mein Khatam Ho Jayegi.

Waise Bhi Sehri Ke Baad Gulqand Khane Wala Aur Khajoor Ke Sharbat Ka Gilas Pine Wala Sara Din Aise Tar Wa Taaza Rahega Ke ehsas tak nahi rehta ke Iska Roza Hai Ke Nahi,

Jitna Bhi Kaam Karle Aur Jitni Zyada Mehnat Ka Kaam karle Aur Jitni ZyadA Garmi Ya Garm Hawa Mein Din Ka Jitna Waqt Guzare Use Zyada Se Zyada Yahi  ehsaS hoga Ki Mera roza Hai Is se zyada ehaas bilkul nahi hoga kyuki khajoor ka sharbat aur Gulqand Apne Andar Ek Anokhi Afaadiyat Rakhte Hain,

Maine Jab Us Bande Ko Ye Tariqa Bataya To Usko Itminaan Ho Gaya Aur Poora Ramazan Isi Tarkeeb Ke Sath Guzara.

Ramazan Ke Darmiyan Mila To  kehne Laga Ki Bohot Itminan Hai Roze ka Ehsas tak nahi balki ab to ye jee chahta hai ki Ramazan 2 Mahine ka ho jaye, is se pehle to ej din ke roze ke liye bhi tabiat mein Bojh mehsoos hota Tha.

Ek Nahi Be Shumaar Misale Mere Paas Hain Jab Bhi Kisi Ko Maine Ye Khajoor Ka Sharbat Peene Ke Tarkeeb Di,

Saara Ghar Khajoor Ka Sharbat Peene Laga Aur Khajoor Ka Sharbat Peene Se Jahaan Dil, Jigar Ko Sukoon Milta Hai Waha Khajoor Ka Sharbat Hepatitis, Acidity, Piyas Ki Shiddat, Hath Paaon ki Jalan, Muh Ki Khushki, Peshab Ki Jalan Aur Qabz Ka Khud Behtareen iLaaj Hai.

Aise log jis bhi Pecheeda Marz Mein Mubtala Ho Aur Roza Rakhne Se Majboor Hon Wo Mayoos Aur Pareshan Na Ho Kyuki Sahaba Karaam Rizwanullah Ke Baare Me Seerat Ki Kitabo Mein Ye Baat Milti Hai

Ke Woh Garmi Ke Roze Aur Sardi Ki Tahajjud Ki Dua Mangte The, Kyuki Garmi ke din bade hote hain aur sardi ki raat lambi hoto hai,
Aayen! aap  ko Ahadees Ke Hawale Ae Nabeez Se Tarruf Karwaye…

Hazrat Abu Hurairah RazillahuAnhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Nabeez Banane Ke Liye Khushk Aur Kachchi Khajoor, Khushk Angoor Aur Khushk Khajoor Ke Milane Kachchi Aur Tar Khajoor ke Milane Se Mana Farmaya Aur Farmaya  Har Ek Se Alag Alag NabeeZ Banao.”
(Muslim Shareef)

Nabeez Banane Ka Tariqa:↴

Kuch Khajoore Lekin Sham Ko (Agar Khajoor Khushk Hain To Unko Chhote Chhote Tukde Karlein Aur Guthliya Nikal Dein) Paani Mein Bhigo Dein Yaani Agar Khajoor 250 gm Ho to Is Mein Paani Taqreeban 2 kg ho.

Subah Uth Kar Khajoor Ko Haatho Se Masal Lein, Masalte Masalte Taman Khajoor Aur Uske Reshe Paani  mei Mil Jayenge Chahe To Chhaan Lein Aur Nahi To Bagair Chhane Bhi Pee Sakte Hain,

Agar Khajoor taza Ho  to unhe mat tode aur sabut hi bhigo dein subah uth kar Masal Kar Guthliya Nikal Dein Aur Piye.

Chahe To  khajoor KE Sharbat Mein Doodh bhi Mila Sakte Hain, Is Tarah Us Ki Afadiyat (fayda) Bhi Badh Jayegi aur jannat ke do mewe yaani doodh aur khajoor jama ho jayenge.

Sahaba Karaam Razillahu Anhum ki Zindagi Me Kela Khajoor Ka Sharbat Peena Bohot Zyada Sabit Hai,

Shehanshah Aurangzeb Aalamgeer rehmatullahi Alaih subah nashte mein “Nabeez” Ka Istemal Karte The,

Bad Bade Muhaddiseen, Auliya-e-Saliheen, Hazrat Peeraane Peer Shaikh Abdul Qadir Jeelani Raziallahu Anhu Bhi Nabeez Ka Istemal Zyada Karte The.
Jafar Sadiq Radhiallahu Anhu Se Bhi Nabeez Ka Istemal Sabit Hai.

Ehtiyaat:↴
Nabeez Ka Sharbat Bana Kar Agar Garmi Ka Mosam Hai To Thandi Jagah Ya Fridge mein Rakhe, Subah Ka Bhigoya Huwa Shaam Mein

 Istemal Karein Aur Sham ka bhigoya hua subah ko istemal kare agar fridge mein rakhe to kharab nahi hota lekin ehtiyatan 12 Ghante se zyada na rakhein,

Bhigone ke ek ghante baad Grind kar ke Bhi Fauran istemal kar sakte hain.

Ek Din Guzarne Se Aur Shadeed Garmi Se Is Ke Andar Khameer Paida Hota Hai Aur Khameer Ka Paida Ho Jana Is Ke Istemal Ko Mashkook Bana Deta Hai,

Lihaza Koshish Karein Is Ko Taza Hi Istemal Karein…

JazakAllah  Duaon  me Yaad Rakhen 

Post a Comment

0 Comments