Kya Huzooor (Sallalahu-Alaihe Wassalam) Ne Kabhi Aazaan Nahi Di ??

Kya Huzooor (Sallalahu-Alaihe Wassalam) Ne Kabhi Aazaan Nahi Di ??


Kya Huzooor (Sallalahu-Alaihe Wassalam) Ne Kabhi Aazaan Nahi Di ??


∗ Deen Ke Dushmano Ne apni Jahiliyana harkato se baaz nahi aate aur Azan Ke Bare Me Huzur (Sallallahu Alayhi Wa Sallam) Ke Naam Se Banaye Hue Kuch Jhute Hadeeso Ka Khulasa Ham Iss Post Me Karna Chahenge. Lihaza Post Jara Goaur Se Parhiyega !!!

*Jhuti Hadees No.1:* Hamaare Nabi-e-Paak Taajdaar-e-Madina (Sallallaahu Alaihe Wa Sallam Ne Kabhi Azaan Nahi Di, Isliye Ke Agar Aap Azaan Dete Toh Puri Kaayenaat Sajda Me Aa Jati, Aur Allah Ko Azaan Bahut Pasand Hai.

*Jhuti Hadees No.2:* Sawal : Aisa Konsa Kaam Hai Jis Ke Karne Wale Ko Allah Paak Bohat Pasand Karta Hai. Magar Woh Kaam Hazrat Muhammad (Sallallaahu Alaihe WaSallam) Ne Nahi Kiya?

 Huzooor (Sallalahu-Alaihe Wassalam) Ne Kabhi Aazaan Nahi Di, Agar Aap (Sallallaahu Alaihe WaSallam) Aazan Dete Toh Kainaat Ki Har Cheez Masjid Me Aa Jati Aur Nizaam-e-Kainaat Tabaah Ho Jata,.!!!

*
In Jhuti Hadeeso Ka Khulasa Kuch Haq Dalilo Me
:*

Ye Bilkul Man-Gharant, Be Bunyaad Aur Khayaali Pulao Hai. Tahqiq Ye Hai Ke:

» 1). Huzoor-e-Akram (Sallallaahu Alaihi Wa Sallam) Ne Ek Baar Safar Me Khud Azaan Di (Shahaadat Ke Alfaaz Istarah Kahe: Ash-Hadu Inni Rasool’Allaah), Takbir Kahi Aur Namaz Parhayi.
*Fataawa Razwiya: 5/474, 475 (Durre Mukhtaar, Tirmizi, Azziya, Imaam Ibne Hajar Asqalaani Ki Fat-Hul Baari, Imaam Nawawi, Imaam Ibne Hajar Makki Ki Kitab Tohfa Ke Hawaale Se)*

» 2).Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Safar Pe Thay, Namaz Ka Waqt Qareeb Aaya, Baarish Barsi Toh Zameen Geeeli(Gara) Ban Gai, Aap Ne Sawari Par Bethay Hi Azaan Di Phir Iqamat Kahi.
*(Musnad-e-Ahmed, Hadees#17584) (Tirmizi Shareef, Hadees#411)*

» 3). Jab Imam-e-Hasan Ibn-e-Ali (Radhi Allaahu Anhu) Ki Wilaadat Hui Toh Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Un Ke Kaan Me Azaan Di.
*(Tirmizi Shareef, Hadees#1519)*

Note: Lihaza Zaman-e-Jahiliyah Ki Bato Me Gumrahi Se Bachne Ke Liye Sahi Ilm-e-Deen Hasil Kare, Aur Auron Ko Bhi Gumrah Hone Se Bachaye.. Allah Ta’ala Tamaam Imanwalo Ko Sahi Ilm-e-Deen Ki Samajh Ataa Farmae Aameen
❁〰〰〰〰〰〰〰〰

Post a Comment

1 Comments

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe