Sharminda Na Kro Taana Na Maro

Sharminda Na Kro Taana Na Maro


Jo Musaman Ulma ki Sohbat Nekon ki Qurbat Ya Achhe Mahoul
mi Barkat Se Apne Gunahon Se Touba

kar Chuka ho,

Fir Usey Uske Pichhle
Par Sharminda Karna
Taane Dena Ruswa Karna

Khud Apne Aap ko
Halakat Me Daalna hai

 Ji Han Rasool allah Sallallahu
 Alaihi Wasallam
 Ne Farmaya

Hadees:
Jo Koi Apne Musalman Bhai ko
Uske Gunah Par Shaminda Kare
Jis se Wo Toubah Kar Chuka hai
To Wo Usko sharminda Karne Waala
Mout Se Pahle Usi Gunah Me Mubtila Hoga
(Jame Tirmizi Sharif Hadees
No. 2505)


Sharminda Na Kro Taana Na Maro


Aaj KE Doure Zamana Ke Halaat
Aise Hi Hai
Agar koi
Burayi ka Rasta Chhodkar
Achha Ban Jaata Hai

To Log Uske Bare Me Uske Pichhe Aur
Kabhi Uske Samne Bhi
Tarah Tarah ki Baten Karte Hai

Jaise 900 Choohe Khakar Billi Hajj ko
Chali Yaani Achhe Bane Firte Hai
Dekha Hai Humne Inka Gunahon
Bhara Waqt bhi Kaise The Ye

Is Tarah ki Baten log
Karte Hai Balki Unki To
Uski Tarif Karni Chahye Aur Uske
is Amal Se Ibrat Haasil karni chahye ki Usne Buraayi ka
Rasta chhodkar Achhi ko
Apnaya

Hum bhi Uski Tarah kyun Na
Aaj Se Hi Ahad Karen ki
Hum bhi Har Bura Kaam chhodkar
Achhayi Ke Raste Par Chalenge

Allah Ta'Ala Amal ki Toufiq De Ki hum
Kisiki Purani Gunahon Bhari
Zindagi Ka Usko Yaad Dilakar Uska Mazaaq Na Banaye
Aameen



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► JUNG-E-AZADI-AUR-MUSALMAN
► Mobile-Aur-Bachche
► AURAT-KYA-HAI
► Saitan-ki-aawaz-music
► Islami Masail
► Auraton ke MasaiL
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL

Post a Comment

0 Comments