Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-2

Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya

Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya


Agar Aapnne Part 1 Nahi Padha hoto
Yahan Se Padh Lijiye
Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-1

Part-2

* Ye aatishe namrudi qariyaye kous me dhahkayi gayi,ye patthar ki chaar diwaari 90 fitt lambi 60 fitt chaudi aur 45 fitt oonchi thi jisme ek mahine tak lakdiyan jama ki gayi

📕 Khzayenul irfan,para 17,ruku 5

* Aag ko 7 din tak dahkaya gaya

📕 Tafseere saavi,jild 3,safah 96

* Is aag ki bulandi itni thi ki iske shole ahle shaam ko dikhayi dete the aur iski aawaz 3 din ki musafat se sunayi deti thi iske oopar se bhi koi parinda udkar ja nahin sakta tha

📕 Maarejun nubuwat,jild 1,safah 98

* Jab aag is qadar bhadak gayi to ab kisi ko uske paas jaane ki himmat na hoti thi tab iblees layeen ne munjaneeq banane ka mashwara diya jise haizan naami shakhs amal me laaya,ALLAH ne usko zameen me dhansa diya aur ye qayamat tak dhnasta hi rahega

📕 Tafseere jamal,jild 3,safah 163

* Jis waqt aapko aag me daala gaya to hazrat jibreel alaihissalam jannat se ek kameez laaye aur aapko pahnaya

📕 Khzayenul irfan,para 12,ruku 12

* Jab aap aag ki taraf jaa rahe the to hawa aur paani ka farishta haazir hua aapse kaha ki aap kahen to hum ye aag bujha sakte hain aapne unse madad lene ka inkar kiya phir aapke paas jibeel alaihissalam aaye aur kaha ki kisi madad ki zarurat ho to kahiye ispar bhi aapne ikar kiya ki mujhe rub ke siwa ki madad ki zarurat nahin phir arz kiya ki aap kahne to aapki baat rub tak pahuncha doon to aapne farmaya ki wo mere kahe bagair bhi meri sunta hai to jibreel alaihissaam wahan se chale gaye

📕 Tazkiratul ambiya,safah 90

* Ek martaba huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne hazrat jibreel alaihissalam se poochha ki ai jibreel kya tumhe kabhi zameen par aane ke liye mashaqqat bhi uthaani padi hai is par wo farmate hain ki ya rasool ALLAH sallallaho taala alaihi wasallam beshak 4 martaba mujhe zameen par aane ke liye bahut jaldi karni padi hai

1. Pahla Jab hazrat ibraheem alaihissalam ko aag me daala ja raha tha to maula ka hukm hua ki ai jibreel mere khaleel ke aag me pahunchne se pahle tum unke paas pahunche to maine sidrah chhoda aur isse pahle ki wo aag tak pahunchte maine pahunchkar ek par maara to wo aag gulzaar ho gayi

2. Doosra Jab hazrat ibraheem alaihissalam ne hazrat ismayeel ke gale par chhuri chalane ka kasad kiya to maula ne farmaya ki ai jibreel isse pahle ki ismayeel ke gale par chhuri chale fauran jannat se ek dumba lekar ismayeel ke liye fidiya banao to main sidrah se jannat gaya wahan se dumba liya phir zameen par aake ismayeel ko hatakar wo dumba lita diya aur wo zabah ho gaya

3. Teesra jab hazrat yusuf alaihissalam ko unke bhaiyon ne kunwe me fenk diya aur wo paani ki taraf badh rahe the to maula ne mujhe hukm diya to isse pahle ki wo paani tak pahunchte main ek takht lekar pahunch gaya aur unko ba aasani us par bithaya

4. Chautha Jab aapka dandane mubarak shaheed hua aur khoon ki boondein zameen ki taraf badh rahi thi to mujhe hukm mila ki aapka khoon zameen par girne se pahle apne haathon me le loon to main sidrah se zameen par aaya halaanki aapka khoon jism se juda hokar zameen ki taraf badh raha tha magar uske zameen tak pahunchne se pahe main pahuncha aur usko apne haathon me le liya

📕 Tafseer ruhul bayan,jild 3,safah 411

* Sidratul muntaha zameen se 50000 saal ki doori par hai,sochiye ki 50000 saal ki doori aan ki aan me tai kar rahe hain aur ye taaqat mere aaqa ke ghulam ki hai to andaaza lagaiye ki jab ek ghulam ki taaqat ka ye haal hai to nabiyon ke nabi janab sayyadul ambiya sallallaho taala alaihi wasallam ki taaqat ka kya haal hoga

📕 Almalfooz,jild 4,safah 7

* Jab aap aag me gaye to mendhak haazir hua aur apne aashiqe rasool hone ki gawahi is tarah di ki apne munh me paani bharkar laata aur aag me daalkar use bujhane ki koshish karta,huzoor sallalaho taala alaihi wasallam ne ise maarne ke liye mana farmaya hai,agar khwab me mendhak dekhe to ye ibadate ilaahi me masroof hone ki daleel hai aur agar bahut zyada mendhak dekhe to ye kisi aane waali musibat ki nishan dehi hai sadqa kare

📕 Hayatul haiwan,jild 2,safah 68--86

* wahin chhipkali ya girgit wo badtareen jaanwar hai jo nabi alaihissalam ki aag me phoonk maarkar use bhadkane ki koshish kar rahi thi,huzoor sallalaho taala alaihi wasallam ne ise faasik kaha hai aur muslim sharif ki riwayat hai ki use pahli hi zarb me maarne par 100 neki aur doosre me usse kam phir usse kam

📕 Khaazin,jild 4,safah 244
📕 Muslim,jild 2,safah 358

* Jab aap aag me pahunche to rub ne aag se farmaya ki "ai aag thandi aur salamati waali ho ja ibraheem par" to us waqt zameen par jitni bhi aag thi sab ke sab thandi ho gayi aur ulma farmate hain ki agar maula salamati ka lafz na farmata to aag itni thandi ho jaati ki uski thandak insaan ko nuksan pahuncha deti

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 10

* Sabse pahle aap par imaan laane waale hazrat loot alaihissalam hain Jabki aap aag se baahar aaye

📕 Jalalain,hashia 8,safah 337

* Aapko 80 saal ki umar me khatna karne ka hukm diya gaya jise aapne apne haathon se anjaam diya

📕 Tafseere nayimi,jild 1,s 810

* Jis waqt hazrat ismayeel alaihissalam paida hue us waqt aapki umr 106 saal ki thi aur jab hazrat ishaaq alaihissalam paida hue tab aapki umr 120 saal thi,yaani hazrat ismayeel alaihissalam hazrat ishaaq alaihissalam se 14 saal bade hain

📕 Alitqaan,jild 2,safah 176

* Aapki kitni aulaad hai isme kaafi ikhtelaaf hai,jalalain me hai ki aapke 4 bete the ismayee-ishaaq-madyan aur madayan,Alitqaan me allama jala uddin suyuti ne 12 likhe ismayeel-ishaaq-maan-zamraan-sarah-nafsh-nafshan-ameem-keesan-soorah-lootan-naafish,tafseere nayimi me 8 ka zikr hai ismayeel-ishaaq-madyan madayan-zamraan-baqshan-yashbaq-nooh

📕 Jalalain,jild 1,safah 328
📕 Alitqaan,jild 2,safah 185
📕 Tafseere nayimi,jild 1,safah 870

To be continued..........
Insha Allah Agli Post Jald Ki Jayegi
Isko Share Karen


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Ruhaani Ilaaj Quran Se
► Dini Knowledge
► Nabiyon Ka Bayaan

Yahan Se Download Karen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Audio Speech
► Video Speech
► Islami Books

Post a Comment

0 Comments