Miladun Nabi Par Kuchh Sawalon Ke Jawab

Miladun Nabi Par Kuchh Sawalon Ke Jawab

Miladun Nabi Par Kuchh Sawalon Ke Jawab


Nabi e Kareem *صلى الله عليه وسلم* Ka Youme Paidaish
Manana Chahye Ya Nahi
Ye Sawal Aksar logo ke Zahen me Rehta hai
Kuchh log Isko biddat kehte hai to kuchh
Log
Isko shirk tak bol dete hain
Ye unki na Samjhi hai wo ye nahi jante ki
Shirk kehte kise hai
Shirk usko kaha jaata jisme kisi zaat ko Allh ke Barabar ya uski mishl samjha jae
Lekin Milaad ke Mayne hai
Paidaish Ab Bhala Aap hi
Sochiye ki kisi ki paidaish ka din
Bhala shirk kaise ho sakta hai
Aur Allah khud Quraan me Farmata hai
Ki Wo Paida nahi hua Aur na usko kisine janaa Surah ikhlas
To pata ye chala ki jo Paida hua Wo kabhi khuda nahi ho sakta islie
Nabi  *صلى الله عليه وسلم* Paida hue hai
Wo khuda nahi To fir shirk bhala kaise
Hua


Ab Rahi baat isko biddat kehne ki to ye biddat bhi nahi hai
Kyunki kisiki paidaish bhala biddat kaise ho
Sakti hai
Agar paidaish biddat hoti to sare hi log biddati ho jaate
Lekin paidash biddat nahi Rahi baat
Is din ko manane ki to
Koi keh sakta hai ki bhai
Shariyat me ye manana kaha se Aa gya
To iska jawab ye hai ki
Is din ko khud Sahaba-e-Kiraam ne
Apne Apne Tareeqe Se manaya
Aur sadqa khairat bhi kia


Aiye Pahle dekhte hai is Muamle me Allah ﷻ ka kya hukm hai
Allah ﷻ Surah Yunus Aayat
no. 58 Me Farmata hai
قُلْ بِفَضْلِ ٱللَّهِ وَبِرَحْمَتِهِ فَبِذٰلِكَ فَلْيَفْرَحُواْ هُوَ خَيْرٌ مِّمَّا يَجْمَعُونَ
"Tum Farmao Allah hi ke Fazat Aur usi ki Rehmat Aur usi par chahye ke khushi Manao"
(Surah Yunus Aayat 58)

Aur Quraan Me hi Allah ﷻ Ne dusri jagah
Farmaya
وَمَآ أَرْسَلْنَاكَ إِلاَّ رَحْمَةً لِّلْعَالَمِينَ
"Aur humne tumhe bhej Saare jahan ke lie
Rehmat banakar"
(Surah Al-Ambiya Aayah 107)

To in Ayaton se Saaf pata chalta hai ki
Nabi-e-Kareem  *صلى الله عليه وسلم*
Saare Jahan Walo ke lie Rehmat hain
Aur Allah ne Farmaya jab meri rehmat tum par Nazil ho to tum Uski
Khushi manao

Hadees:
Khud Nabi-e-Kareem  *صلى الله عليه وسلم* ne Apni Milaad ke Din Allah ka Shukar Baja Laane ki Talkin Farmayi Aur Targib di,
Detail👇👇
(Muslim Sharif Vol 2 Page 819
Nisaai Sharif Vol 2 Page 147
Behaqi Sharif Vol 4 Page 286)


Hadees:
Hum (Sahaba-e-Kiram)
Apne Bachcho ke Samet
Huzoor  *صلى الله عليه وسلم* Ke istiqbal Ke
Liye Wida Ghatiyo Tak Gaye
(Bukhari Sharif Vol 1 Page 543)


Hadees:
Nabi-e-Kareem  *صلى الله عليه وسلم* Ne Khud
Apna milaad Manaya
Hai
Aur Madeena Sharif  Me Bakrah Zibah Karke
Garibo Miskeeno ko Khilaya
{Al Hawil-il Fatawi Vol 1 Hadees 196}

Hadees:
Huzoor e kareem  *صلى الله عليه وسلم*
Peer (Monday) k din Roza Rakha Karte the
Aapse iske bare me Poochha gya
to Aap  *صلى الله عليه وسلم* Ne Farmaya
Isi din meri Pedaish hui thi Aur Isi Din mujhpar Quraan-e-Paak Nazil hua
(Sahih Muslim Sharif Jild 2 Kitab us Siyam Page no.367 Hadees no.2850


Hadees:
Hazrat Ali Radiallahu Ta'ala Anhu
Allah ki Bargaah me Huzoor  *صلى الله عليه وسلم*
Ki Taraf se Ek Mendha Zibah kia Karte the
Details👇👇
(Tirmizi Shareef Vol 1 Page 538
Sunan Abu Dawood Sharif Vol 2 Page 29)

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Nabi-ﷺ-ke-bare-me-aham-maloomat
► hazrat-ismail-wa-hazrat-ishaaq-alaihissalam
► haabeel-aur-qabeel-ka-qissa


Jhande Lagana Kiski Sunnat ?


Hazrat Amina Radhiallahu ta'ala Anha
farmati hain ki
jab Mohammed  *صلى الله عليه وسلم*
Paidaish hui
Us Waqt Hazrat Jibrail alaihissalam
Ne 3 Jagah jhande Lagaye the
Ek Maghrib ki jaanib Ek Mashrik ki Janib Aur
ek kaabe ki Chhat par
(Khasais Al Kubra Vol 1 Page 82)

is Riwayat ko Shah Abdul haq Muhaddis Dahelvi Rehmatullahi Alaih
ne Apni kitab "Madarijun Nabuwa" jild 2
me Likha hai

Hadees Shareef Me Aata hai ki jab
Sarkar *صلى الله عليه وسلم*
Makka Se Madina Shareef Tasreef Laye
aur Madina Me dakhil hue To
Aapke Hath me Hare Colour ka jhanda tha
(ibne Zauji al wafa Vol 1 Page 243)

In hadeeso se Saaf Pata chalta hai ki
Huzoor ki Aamad par jhande Lagane me koi Harj Nahi hai jaiz Kaam hai


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Ruhaani Ilaaj Quran Se
► Dini Knowledge
► Nabiyon Ka Bayaan

Miladun'Nabi ko Eid Miladun'Nabi Kehna Kaisa


Aaiye Dekhte hain Hadeese Paak ki Roshni me
Huzoor e kareem  *صلى الله عليه وسلم*
Ne Farmaya Jume ka Din Momin ke
lie Eid Hai
Kyunki isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam ko Paida Farmaya gya
(Ibne Majah Vol 2 Page 8 Hadees No.1084)

HADEES:
Hazrat ibne Abbas Radiallahu ta'ala Anhu
se Riwayat hai ki
Huzoor  *صلى الله عليه وسلم*
ne Farmaya Jume ka di Allah ta'ala
Ne Musalmano ke lie Eid ka din Banaya hai
To jo Jumah ko Paaye to ghusal kare
aur khushboo(Attar) Lagaye Aur Mishwaq kare
(Ibne majah  kitab iqamat Salat fi Sunnah Hadees 1152

Jab Hazrat Aadam Alaihissalam ki Paidaish ka din Eid hai
To Hamare Nabi  *صلى الله عليه وسلم*
Ki paidaish jis din hue Wo Badarje Aula Eid hua
Is Hadees Se Saaf pata chalta hai ki
Huzoor ki Paidaish ke Din ko Eid kehne
Me koi Burayi nahi hai


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Islami Masail
► Auraton ke MasaiL
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL

Eid Milaadun'Nabi Par khushi Manaye Ya Gham


Sawal ye uthta hai ki isi din huzoor ki Wafaat hui Aur isi din
Aapki wiladat hui
To fir hum khushi Manaye Ya Gham
Aiye Dekhte hain is Masle Main
Allah Ka Kalaam kya kehta hai
 QURAAN:
 Hazrat isaa Alaihissalam Quran ki
 Aayat me Kuchh is Tarah farmate hai

Maryam – مريم
[Ayath:33]
وَٱلسَّلاَمُ عَلَىَّ يَوْمَ وُلِدْتُّ وَيَوْمَ أَمُوتُ وَيَوْمَ أُبْعَثُ حَيّاً

"Salamati ho Mujhpar jin din mein Paida hua  jis Din meri Wafaat hogi
 Aur Salamti ho Us din par jis din me Dowara uthaya jaunga (yaani Qayamat ke din)
(Surah Maryam Aayat 33)


Aur Dusri Jagah fir Se Quraan Hazrat Yahya Alaihissalam ke lie bhi
yahi farmata hai

Maryam – مريم
[Ayath:15]
وَسَلاَمٌ عَلَيْهِ يَوْمَ وُلِدَ وَيَوْمَ يَمُوتُ وَيَوْمَ يُبْعَثُ حَياً

"Salamti ho jis din wo Paida hue Aur jis din Unki Wafaat hogi Aur jis Din Unko dowara uthaya Jaega"
(Surah Mariyam Aayat 15)


In Quraan ki Dono Aayaton me Hazrat Isaa Alaihissalam Aur Hazrat Yahya Alaihissalam
Khud Apne milad ke Aur Wafaat ke din
Par Salamati Bhej Rahe hai
To bhala Hamare Nabi  *صلى الله عليه وسلم*
Ki Wafaat ka din Gham ka kaise ho Sakta hai
Unka to Aana bhi hamare liye rehmat hai Aur jaana bhi



Har Zamane ke
Bohat Saare Aaimma_e_Islam
Ne Eid milad ko Apni kitabo me jaiz likha hai


1- Imaam Jalaluddin Suyuti Rehmallahi Alaih
Paidaish 849 Hijri
Kitab Naam 'Husnul maksad fi Amalil Maulid'

2- Mulla Ali Qaari Rehmallahi Alaih
Paidaish 1014 Hijri
Kitab Naam 'Al moriul ruvi fi Maulid in Nabi'

3- Muhaddis Imaam ibne Jauzi Rehmallahi Alaih
Paidaish 510 Hijri
Kitab Naam 'Bayaan Al Maulid un Nabavi'

4- Imaam Zahbi Rehmallahi Alaih
Paidaish 673 Hijri
Kitab Naam 'Sayer ul Aalam wan nubala'

5- Imaam ibne Kaseer Rehmallahi Alaih
Paidaish 701 Hijri
Kitab Naam 'Al bidaya wan nihaya'


6- Imaam Shamsud deen bin Nasiruddeen Rehmallahi Alaih
Paidaish 777 Hijri
Kitab Naam 'Mawriduk Saadi fi Maulidil Haadi'


7- Imaam Ibne hajar Asqalani Rehmallahi Alaih
Paidaish 773 Hijri
Kitab Naam 'Suyuti Husnul maqasad fi amalil'

8- Imaam Shamud deen Al Sajkhavi Rehmatullahi Alaih
Paidaish 831 Hijri
Kitab Naam 'Subul huda wal Rushad'

9- Imaam Qustulani Rehmallahi Alaih
Paidaish 851 Hijri
Kitab Naam 'Al Mawahibul Laduniya'

10- Imaam Qutubud deen Hanafi
Rehmallahi Alaih
Paidaish 988 Hijri
Kitab Naam 'Al Aalam be Aalam e Baitullahil haraam'

11- Imaam ibne Hajar Makki Rehmallahi Alaih
Paidaish 909 Hijri
Kitab Naam 'Fatawa e hadisia'

12- Shaikh Abdul haq Mahaddis Rehmallahi Alaih
Paidaish 958 Hijri
Kitab Naam 'Ma sabat Minas Sunnah'

13- Shah Waliullah Muhaddis Dahelvi Rehmallahi Alaih
Paidaish 1174 Hijri
Kitab Naam 'Fuyuzul Haramain'

14-Haji Imdadullah Muhaajir Makki Rehmallahi Alaih
Paidaish 1233 Hijri
Kitab Naam 'Shamaim e imdaadiya'
aur ' Faisla Haft Mas'ala'

15- Imaam Abu Shama Rehmallahi Alaih
Paidaish 599 Hijri
Imaam Nabavi ke Sheikh hai
Kitab Naam 'Al Bais Ala inkaril Bada wal hawadis'

Aur bhi bohat Saare Muhaddis Aur Imaamo ne Apne kitabo me likha hai
Agar Nabi ka milaad manana Najaiz Aur haraam hota to
Har Zamane ke
Itne Saare Aaimma_e_Islam Eid milad manane ko Apni kitabo me jaiz nahi likhte
Aur ye wo imaam Aur ulma-e-kiraam hai
Jo Sekdo Saal Pahle aaye hai
Ye abke Dour ki baat nahi hai
Aur hamen koi Aisi kitab dikhaye ab se 400 ,500 Saal purani jisme Milad manane ko
shirk biddat Ya haraam kaha gya ho
Aur
Kis kis imaam ne Iske bare me koi kitab likhi ho jisme isko najaiz aur haraam kaha gya ho
Gargiz Aisa koi imaam ya muhaddis nahi jisne isko haraam kaha ho
Kyunki sabko maloom tha ki
Aamaade Rasool *صلى الله عليه وسلم* se badhkar
Dunia me koi mubarak din nahi
Hamara maksad hai logo ke samne haq Aur Wajeh Baat Rakhna
ab logo ke Upar hai ki wo us haq ko
Maane ya na maane

Ye to Allah ki Taraf se hi toufeeq Milti
Allah jisko wo hidayat dena chahta hai
Bade Afsos ki ke Sath Aajkal Kuchh Jahil Musalmano ko Ladwane k lie
Milaad un Nabi k Suboot Dekhne k baad bhi logo ko Ghumrah karte firte hai ki
kahan se Sabit hai ? kahan se Sabit hai ?
Agar koi Milad nahi manana chahta to wo na manaye Magar Milaad manane par Aitraz karke Musalman Qoum ko Na Ladaye


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣