ISLAM ME BETI KI FAZILAT

ISLAM ME BETI KI FAZILAT Beti Bachao Muhim Aaj se 1400 Saal Pahle

ISLAM ME BETI KI FAZILAT



Allah ﷻ jisko chahe beta de Beti de Ya kuchh na de

Islam ne betiyon ko Azmat bakhsi hai
Aur iska Waqar Buland Farmaya
Hai

Musalman Allah ﷻ Ka Aajiz bandah hai
Aur Uske Ehkam Ka Paawand hota hai
beti mile ya beta
Ya be'Aulaad Rahe Har me Allah ki Rizaa par Raazi rehna chahye
Allah ﷻ Quraane Paak me Irshad Farmata hai

"Allah hi ke liyehai Aasmano Aur
Zameen ki hukoomat
Paida karta hai jo chahe
Jisey chaahe Betiyan Ataa Farmaye Aur jise chahe Bete de
Ya dono milade Bete Aur Betiyan
Aur Hise Chahe Baanjh karde
Beshaq wo Ilm Wa Qudrat Waala hai"
{Paara 25 Surah Shura Ayat 49,50}


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Islami Masail
► Auraton ke MasaiL
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL


Beti Bachao Muhim Aaj se 1400 Saal Pahle

Hadees:
Nabi-e-Kareem *صلى الله عليه وسلم*
Ne Farmaya jiske yahan
beti Paida ho Aur wo
Usey koi taklif na de
Aur Usko bura na Jane Aur Na hi
Bete ko Beti par Fazilat De
To Allah ﷻ Us Insan ko Jannat Me Dakhil Farmaega
(Al-Mustadrak vol 5 Page 248 Hadees no. 7428)


Hadees:
Jis Insan par Betiyon ki Parwarish
Ka bojh Aa Pade
Aur Wo Uske Sath Achha sulook
(Yaani Achha Bartao)
Kare to Ye Betiyan Uske liye
Jahannam Se Rok Banjayengi
{Muslim Sharif Page 1414 Hadees no. 2629}


Hadees:
Jab kisike Ghar Ladki Paida hoti he To
Allah Ta'Ala Farishte ko bhejta hai
Jo Aakar kehta hai ki Aye Gharwalo
Tumpar Salamti ho
Fir Woh Farishta Us Ladki ko
Apne Paron ke Saaye me Le leta he
Aur
Us shakhs ke Sar Par hath fairte hue kehta he ki

Ye ek kamzor jaan he jo Ek
Naatuwa
{yani kamzor} se Paida hui he
Jo insan is Naatuwa jaan ki Parwarish ki Zimmedari Lega
Qayamat Tak Allah ki Madad
Uske Shamile Haal Rahegi
{ Majmauzzawaid jild 8 Page285
Hadees No.13484}

Allah Ta'Ala hamen Betiyon Se Beton Se bhi Zyada mohabbat karne ki Toufiq Ataa Farmaye
Aameen

New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣