Qazaa namaaz ke bare Me Masail


Namaaz ki farziyyat ka bayaan 

Qur’an :
4 Surah an-Nisa’, Aayat -103 :

إِنَّ الصَّلَاةَ كَانَتْ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ كِتَابًا مَوْقُوتًا

"Beshak namaaz mo’mino par muqarrar waqt ke hisaab se farz hai"

Hadees e Nabawi :

Jis ne jaan-bujh kar namaaz chhodi us ka naam dozakh ke us darwaaze par likh diya jaayega jis me se wo daakhil hoga.

**********************
Musalman ko din me 5 baar waqt par namaaz padhna farz hai.
Aur har namaaz us ke waqt par ada karna zaroori hai.

**********************
Behtar hai ke puri koshish karen ki masjid me jaakar ba-jama’at namaaz padhte rahen.
Aur agar jama’at chhut jaaye to masjid me tanha namaaz ada kar sakte hain.
Agar koi jaa'iz uzr ho to ghar par namaaz padh sakte hain.

Aurto ko bhi waqt par ghar me namaaz padhna zaroori hai.

Agar waqt bahot kam ho to us waqt ki Farz namaaz ki rak’at padh len.
Aur Isha’ me Farz ke baad 3 rak’at Witr waajib padh len.

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

Qazaa namaaz ke baare me chand khaas baaten :

(1) Agar waqt ke dauraan namaaz na padhi to wo namaaz Qaza ho gai.
Aur jab bhi us namaaz padhen to qaza padhni hogi.

Aur jaan-bujhkar namaaz qaza karna gunaah e kabeerah hai.

Namaaz na padhne wala Faasiq hai.
Aur Waqt par namaaz na padhne waala ya hamesha Qaza padhne waala Faajir hai.

Is ke liye ALLĀH ta’ala se sachi tauba bhi karni hogi.
Aur aainda namaaz qaza na ho uska pura khayaal rakhna hoga.
Aur wo sab namaazen qaza ki niyyat se padhni hogi.

Ummeed rakh sakte hain ke ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me muaf farma de.

(2) Qaza namaaz jald hi padh lena zaroori hai.
Aisa nahi ki sirf raat ko hi ya kisi khas waqt me hi qaza namaaz padh sakte hain.
Jab bhi mauqa mile apni qaza namaaz padhte rahe taake bari uz zimma ho jaaye.

Namaaz ke liye jo makrooh awqaat hain un me qaza namaaz nahi padh sakte.
Baaqi pure din aur raat me jab bhi waqt mile qaza namaaz padhte rahen.

▪▪► Awaam me jo galat fehmi hai ke ba’az khaas awqaat par ya mubarak raato me ya dino me ya Ramazaan ke aakhri Jum’ah me Qaza e umri ki niyyat se 4 rak’at ya jitni namaaz padh sakte hain utni padh le to kaam ho jaayega.

Wo bilkul sahi nahi hai. Har namaaz ki Qaza har ek ki niyyat ke saath alag alag aur puri padhni hogi.

(3) Jin ki qaza namaazen baaqi hain, un ke liye Nafl namaaz padhne se behtar hai ke wo pehle apni qaza namazen padh len, Taake bariuz zimma ho jaayen.


Nafl namaaz ka pura sawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai.

Farz namaaz ALLĀH ta’ala ka hum par Qarz hai aur bande ko use dena hi hai.
Jo waqt par namaaz ada kar lete hain wo to khusqismat hain ki ALLĀH ta’ala ki Ibaadat ke zariye wo us ke qareeb hote hain.

Lekin agar kisi bhi wajah se Namaaz waqt par ada nahi ki ho to jald hi use Qaza karke bhi padh len.

Mubaarak raato me aur dino me hum ALLĀH ta’ala ki raza ke liye Nafl namaaz aur Ibaadat karte hain ye achhi baat hai.
Lekin pehle apni qaza namaaz padhte rahen.
Phir kuchh nafl namaaz bhi padhen.

▪▪► Haan,  Farz namaaz ke ilaawa jo Sunnat namaazen roz padhte hain (Ishraaq, Chaasht, Awwaabin, Tahajjud) inhe us ke waqt par padh len.

(4) Agar yaad na ho ki kitni Qaza namaaz padhni baaqi hai tab bhi Qaza namaaz ki niyyat se namaaz padhte rahen. Jab Qaza namazen puri ho jaayengi to us ke baad in sha’ Allāh Nafl namaaz ka sawaab milta rahega.

(5) Namaaz Musalman, Aaqil, Baaligh par Farz hai.
Lihaaza agar koi pehle kaafir tha aur baad me musalman hua to us par Musalman hone ke saath hi namaaz Farz hogi. Use kufr ke zamaane ki namaazen Qaza nahi karni hogi.


Qaza namaaz padhne ka Tareeqa :

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

▪▪►Namaaz ki qaza padhne ka tareeqa bhi waisa hi hai jaise waqt par namaaz ada karte hain.

Us ke liye tamaam Sharaa'it, Faraa'iz, Waajibat aur Sunnate wo hi hain.

▪▪►Ba-wuzu qibla roo khade hokar jo qaza namaaz padhni ho us ki niyyat karen.

Farz ki qaza me Farz ki niyyat karen, Waajib ki qaza me waajib ki niyyat karen aur Sunnat ki qaza me sunnat ki niyyat karen.

Agar yaad ho to jis din ki qaza namaz padh rahe ho us ki niyyat karen.
Aur agar bahot zyada namaazen qaza baaqi ho to har baar jis waqt ki (Maslan : Fajr, Zohar, Asr, Maghrib, Isha’) Qaza namaaz padhen us ki niyyat me ye kahen ke
‘Is waqt ki jo qaza namaazen baaqi hain us me se sab se pehli wali namaaz ki qaza padh raha hu.’

Musaafir ke liye 4 rak’at wali farz namaaz me sirf  2 rak’at farz padhne ka hukm hai.
Is liye Safar ke dauraan jo namaazen qaza hui ho wo namaaz padhte waqt namaaz e kasr qaza padhen.

▪▪► Niyyat ke baad Takbeer e tehreema, Phir Sana, Ta’awwuz, Tasmiyah (Bismillāah), Surah al-Faatiha aur Qir’at ke baad Rukoo’ aur Sujood karke pehli rak’at puri karen aur phir isi tarah dusri rak’at puri karke Qa’ada karen aur phir khade hokar teesri aur chothi rak’at puri karen.

Sab raka’ate puri karke Qa’ada e aakhirah ke baad salaam pherkar namaaz mukammal karen. Agar 2 rak’at hi padhni hai to dusri rak’at me Qa’ada e aakhirah ke baad salaam pherkar namaaz mukammal karen.

▪▪► Agar bahot ziyada qaza namaazen padhne ki baaqi ho to
Rooku’ me 3 baar ke badle 1 baar Tasbeeh padhen aur Sajde me bhi 1 baar Tasbeeh padhen aur Qa’ada e aakhirah me Durood e Ibrāheemi ke badle ‘Allāhumm salli ala Sayyidina Mohammadin wa ala aali Mohammadin’ padh sakte hain aur puri Dua e Maashura ke badle ‘Allāhumm ghfirlee’ padh sakte hain.

Aur Witr me puri Dua e Qunoot padhne ke badle ‘Allāhumm rabbana aatena fid dunya hasanatanw wa fil aakhirati hasanatanw wa kina azaaban naar’ padh sakte hain.

Aur agar waqt ho to qaza namaaz me har cheez puri padhen.


**********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko sahi tareeqe se ba-jama’at namaazen ada karne ki taufiq ata farmae aur Hamari ibaadat ko qubool farmae aur us ke foyuz o barkaat ata farmae.
Aameen.


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
          www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

4 Comments

  1. Mashaa Allah Allah apko jaza e khair ata frmaye

    ReplyDelete
  2. Masha allah hame bahut khusi huee ye pdh ke our jankari huee

    ReplyDelete

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe