Jannah Ki Ne'maton Ka Koi Andaaza Nahi Laga Sakta, Magar Sabse Bada Aur Azeem Inaam Allah Ka Deedar Hoga. Ye Woh Saadat Hai Jo Sirf Jannatiyon Ko Naseeb Hogi.
Quran Se Daleel:
اللَّهُ سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى ارشاد فرماتا ہے:
﴿وُجُوهٌ يَوْمَئِذٍ نَّاضِرَةٌ إِلَىٰ رَبِّهَا نَاظِرَةٌ ﴾
"Us Din Bohot Se Chehray Taazgi Wale Honge, Apne Rab Ki Taraf Dekhne Wale Honge."
(Surah Al-Qiyamah: 22-23)
Hadees Se Daleel:
Rasoolullah ﷺ Ne Irshad Farmaya:
إِذَا دَخَلَ أَهْلُ الجَنَّةِ الجَنَّةَ، قَالَ اللَّهُ: تُرِيدُونَ شَيْئًا أَزِيدُكُمْ؟ فَيَقُولُونَ: أَلَمْ تُبَيِّضْ وُجُوهَنَا؟ أَلَمْ تُدْخِلْنَا الجَنَّةَ، وَتُنَجِّنَا مِنَ النَّارِ؟ قَالَ: فَيَكْشِفُ الحِجَابَ، فَمَا أُعْطُوا شَيْئًا أَحَبَّ إِلَيْهِمْ مِنَ النَّظَرِ إِلَىٰ رَبِّهِمْ
"Jab Jannati Jannat Mein Dakhil Ho Jayenge, To Allah Farmayega: ‘Kya Tum Koi Mazeed Cheez Chahte Ho?’ Wo Kahenge: ‘Kya Tu Ne Hamare Chehrey Roshan Nahin Kar Diye? Kya Humein Jannat Mein Daakhil Nahin Kiya? Aur Humein Jahannam Se Bacha Nahin Liya?’ Phir Allah Apna Parda Hata Dega Aur Jannatiyon Ke Liye Allah Ka Deedar Sabse Badi Ne'mat Hogi."
(Sahih Muslim: 181)
Natija:
Jannat Ki Har Ne'mat Lajawab Hogi, Magar Sabse Bada Inaam Allah Ka Deedar Hoga, Jo Har Ne'mat Se Barh Kar Hoga. Allah Humein Bhi Jannat Mein Apne Deedar Ki Saadat Ata Farmaaye. Aameen!
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe