Ye baat bilkul ghalat hai ke sirf Alwida (Jummah-tul-Wida) ke din 2 rakat Nafil padhne se poori zindagi ki Qaza namaz muaaf ho jaye. Quran aur hadees se is ka koi daleel nahi milti.
Quran Se Daleel
اللّٰه تعالیٰ farmaata hai:
فَوَيْلٌ لِلْمُصَلِّينَۙ ﴿٤﴾ الَّذِيْنَ هُمْ عَنْ صَلَاتِهِمْ سَاهُوْنَۙ ﴿٥﴾
"to un namaziyo ke liye kharabi hai jo apni namazo se gafil hain."
📖 (Surah Al-Ma'un, Ayat 4-5)
Ye ayat wazeh karti hai ke jo log namaz ko qaza karte hain, unke liye sakht azaab hai, na ke sirf ek din 2 rakat padh lene se sab maaf ho jaye.
Hadees Se Daleel
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Jis par koi namaz qaza ho jaye to jab usko yaad aaye, usko ada kare, iske ilawa iska koi kaffara nahi."
📖 (Sahih Muslim, Hadees 684)
Yaani agar koi namaz chhoot jaye to uska sirf ek hi hal hai ke use qaza kiya jaye.
Nateeja
❌ Sirf Alwida ke din 2 rakat Nafil padhne se poori life ki kaza namaz muaaf hone ka aqeeda ghalat hai.
✅ Jo namaz qaza ho chuki hai, usko Ada karna zaroori hai.
✅ Magar Tauba karne aur Nafil ibadat karne se Allah gunah zaroor maaf farmata hai.
Allah sab ko namaz ki pabandi ki taufeeq ata farmaye! Aameen.
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe