कुरान में चींटियों के बारे में तथ्य(Facts about Ants in Holy Quran)

Cheenti Me Nar Ki Kunniyat Abu Mashgool Aur Maada Ki Kunniyat Umme Tooba Hai,Inme Jode Nahin Hote Aur Na To Sohbat Karne Ka Tariqa Balki Unke Badan Se Ek Mamooli Cheez Nikalti Hai Aur Badhte Badhte Wo Ande Ki Shakl Ikhtiyar Kar Leti Hai Jisse Ki Unki Nasl Chalti Rahti Hai,Cheenti Rizq Ke Maamle Me Bahut Harees Hoti Hai


Kayi Kayi Saalon Ka Rizq Ikattha Karke Rakhti Hai Halaanki Uski Khud Ki Umr 1 Saal Se Zyada Nahin Hoti,Rizq Ko Jama Karne Ka Kaam Sirf 3 Log Karte Hain Pahla Chuha Dusra Cheenti Aur Teesra Insaan Iske Alawa Koi Bhi Apna Rizq Jama Karke Nahin Rakhta,Aur Cheenti To Bahut Hi Tadbeer Se Kaam Leti Hai Ki Har Daane Ko Todkar Rakhti Hai
Ki Kahin Ug Na Aaye Aur Dhaniya Wagairah Ke 4 Tukde Kar Deti Hai Kyunki Dhaniya 2 Tukdon Par Bhi Ug Sakta Hai,Jab Daane Me Badbu Ya Kharab Hone Ka Andesha Ho Jaata Hai To Use Zameen Par Daalkar Sukha Leti Hai Aur Phir Wahin Rakh Aati Hai,Jab Kahin Rizq Mil Jaaye To Fauran Sabko Ikattha Kar Leti Hai Taaki Sab Mil Baatkar Khaaye,

कुरान में चींटियों के बारे में तथ्य(Facts about Ants in Holy Quran)

Zameen Ke Neeche Inka Poora Gaanv Basa Hota Hai Jahan Alag Alag Manzilo Me Alag Alag Kamre Hote Hain Aur In Kamro Me Sardiyon Ka Zakhira Garmiyon Me Hi Jama Kar Liya Jaata Hai
📕 Hayatul Haiwan,Jild 2,Safah 670

* Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ne Cheenti,Shahad Ki Makkhi,Mendhak,Latura,Hudhud Wagairah In Jaanwaro Ko Maarne Se Mana Farmaya Hai
📕 Abu Daood,Jild 2,Safah 358

* Aur Kuchh Jaanwaro Ko Maarne Ki Taqeed Bhi Farmayi Hai Jaise Katkhana Kutta,Chuha,Bichchu,Cheel,Kawwa,Saanp Aur Har Moozi Jaanwar Jo Nuksaan Pahunchata Ho
📕 Fatawa Razviyah,Jild 10,Safah 100

* Cheenti Ka Zikr Ho Raha Hai To Ye Riwayat Zahan Me Aa Gayi Ki Hazrat Moosa Alaihissalam Raat Ke Andhere Me 10 Farsakh Ke Faasle Se Cheenti Ko Dekh Liya Karte The,1 Farsakh 3 Meel Ka Hota Hai Aur 1 Meel 1.60934 Kilometer Banta Hai Matlab Takiban 48 Kilometer Door Se Aap Chhenti Ko Dekh Liya Karte The
📕 Shifa Sharif,Safah 33

कुरान में चींटियों के बारे में तथ्य(Facts about Ants in Holy Quran)

* Ek Martaba Hazrat Moosa Alaihissalam Ne Rub Se Poochha Ki Ai Maula Jab Tu Kisi Basti Par Azaab Naazil Karta Hai To Usme To Aise Bhi Log Maare Jaate Hain Jo Neik Hote Hain Tu Aisa Kyun Karta Hai
* To Maula Ne Unko Is Tarah Jawab Diya Ki Aapko Neend Aa Gayi Aur Ek Peid Ke Neeche Aap So Gaye,Wahan Cheentiyan Bahut Thi Ek Cheenti Ne Aapke Pair Me Kaat Liya To Aapki Aankh Khul Gayi Maare Jalaal Ke Aapne Bahut Saari Cheentiyon Ko Pair Se Masal Daala Tab Maula Irshaad Farmata Hai Ai Moosa Tumhein Kaata To Ek Hi Cheenti Ne Tha
To Chahiye Tha Ki Usi Ko Maarte Magar Tumne Bahuto Ko Maar Daala Aisa Kyun,Phir Maula Irshaad Farmata Hai Ki Beshak Mera Azaab Neik Aur Bad Dono Par Taari Hota Hai Magar Bad Ke Liye Wo Saza Hota Hai
Aur Neik Ke Liye Taharat Aur Rahmat Ban Jaata Hai,Isi Tarah Ek Martaba Sakht Akaal Pad Gaya Aur Logon Ne Aapse Baarish Ke Liye Dua Karne Ko Kaha To Aap Dua Karne Ke Liye Nikle To Raaste Me Dekha Ki Ek Cheenti Ulti Leti Hai Apairon Ko Oopar Karke Aur Yun Dua Kar Rahi Hai Ki "
Ai Khuda Main Teri Makhlooq Me Se Ek Makhlooq Hoon Hum Tere Fazlo Karam Ke Mohtaaj Hain,Ai Allah Apne Gunahgaar Bando Ki Shaamat Par Hamein Na Pakad To Hamein Aisi Baarsish Se Sairab Kar Jisse Ki Darakht Uge Aur Tu Hamein Fal Khilaye" Jab Hazrat Moosa Alaihissalam Ne Uski Dua Suni To Waapas Ho Liye Aur Farmaya Ki Is Cheenti Ki Dua Se Ab Ab Baarish Ho Jayegi
📕 Ajaaybul Haiwanat,Safah 56

Hazrat Suleman Alaihissalam Aur Cheenti Ka Kissa

*Ⓩ Aur Hazrat Suleman Alaihissalam Aur Cheenti Ka Kissa Kise Nahin Pata Hoga Ki Quran Me Ek Surah Ka Naam Hi Cheenti Ke Naam Par Hai Yaani Surah Namal*

* Jab Hazrat Suleman Alaihissalam Takht Nasheen Hue To Tamam Jaanwar Mubarak Baad Dene Ke Liye Aaye Magar Ek Cheenti Aakar Aapki Taaziyat Karne Lagi To Aapne Usse Taaziyat Ki Wajah Poochhi To Kahne Lagi Ki Ab Aap Raat Din Baadshahat Me Guzarenge To Mujhe Lagta Hai Ki Ye Mubarak Baad Dene Ka Mauqa Nahin Balki Taaziyat Ka Mauqa Hai
📕 Ruhul Bayaan,Jild 7,Safah 713

Ek Martaba Hazrat Abu Qatada Raziyallahu Taala Anhu Koofa Tashreef Laaye Aap Bahut Buland Paaye Ke Aalim The Aapki Ziyarat Ke Liye Ek Kaseer Majma Ikattha Ho Gaya,
Aapne Us Majme Me Elaan Farmaya Ki Tum Mujhse Jo Chaho Poochh Lo Aur Aisa Kayi Baar Kaha Usi Majme Me Hamare Imaam Imaame Aazam Raziyallahu Taala Anhu Bhi Maujood The Magar
Abhi Aap Kamsin Bachche Hi The,Aapne Unke Kayi Baar Israar Karne Par Khud To Unke Adab Ke Lihaaz Se Nahin Magar Ek Shakhs Se Kaha Ki Inse Poochhiye Ki
*Waadiye Namal Me Jis Cheenti Ki Taqreer Sunkar Hazrat Suleman Alaihissalam Muskura Diye The Wo Cheenti Nar Thi Ya Maada* Jab Ye Sawal Usne Poochha To Hazrate Qatadah Raziyallahu Taala Anhu Ko Jawab Nahin Soojha To Sawal Karne Waale Ki Taraf Mukhatib Hue Aur Usi Se Jawab Maanga To Usne Hazrat Imaame Aazam Ko Aage Kar Diya,
*To Hazrat Imaame Aazam Raziyallahu Taala Anhu Farmate Hain Ki Wo Cheenti Maada Thi Ispar Hazrat Abu Qatadah Daleel Maangte Hain To Aap Farmate Hain Daleel To Quran Me Hi Maujood Hai Phir Aapne Padha Yahan Seega Muannas Ka Zikr Kiya Gaya Hai Aur Wo Cheenti Nar Hoti To Yahan Ki Jagah Hota,Ispar Hazrat Abu Qatadah Raziyallahu Taala Anhu Unke Ilm Par Khush Hue Aur Apne Kahe Par Naadim Hue
📕 Ruhani Hikayat,Hissa 1,Safah 12

*Kanzul Imaan* - Ek Cheenti Boli Ai Cheentiyon Apne Gharo Me Chali Jao Tumhein Kuchal Na Daale Suleman Aur Uska Lashkar Bekhabri Me.To Uski Baat Sunkar (Suleman) Muskura Kar Hansa
📕 Paara 19,Surah Namal,Aayat 18-19

*Tafseer* - Hazrat Suleman Alaihissalam Ek Azeem Lashkar Lekar Jo Ki 300 Meel Lambayi Wa 300 Meel Ki Chaudayi Par Mushtamil Tha Jisme 75 Meel Me Jinnat 75 Meel Me Insaan 75 Meel Me Wahshi Jaanwar Aur 75 Meel Me Parinde Raha Karte The Aur Us Poore Lashkar Ko Parinde Is Tarah Apne Paron Se Dhak Lete The Ki Suraj Ki Kiran Zameen Tak Nahin Pahunchti Thi,Jab Ye Lashkar Mulke Shaam Ya Taayaf Ke Jungalo Se Guzra Wahan Cheentiyan Bahut Thi To Ek Cheenti Ko Ki Maada Thi Langdi Thi Uska Naam Taakhiya Ya Manzara Ya Jarmi Tha Aur Ye Khud Mallika Thi Iske Lashkar Me 40000 Afsar The Aur Har Afsar Ke Maathat 40000 Cheentiyon Ki Safen Thi Aur Har Saf Mashrik Se Lekar Maghrib Tak Chali Gayi Thi,Ye Un Sabko Mukhatab Karke Boli Ki Apne Apne Gharon Me Chali Jao Kahin Aisa Na Ho Ki Suleman Ka Lashkar Tumhein Kuchal De Aur Unhein Khabar Tak Na Ho,Jab Ye Cheenti Unko Ye Kah Rahi Thi Tab Hazrat Suleman Alaihissalam Usse 3 Meel Ki Doori Par The,Uski Isi Daanayi Par Aap Muskura Diye
📕 Ruhul Bayaan,Jild 7,Safah 718-723
📕 Nuzhatul Majalis,6,Safah 695

Chinti Ko Allah Ne Kitni Sunni Ki Taqat Di Hai

*Tafseer* - Ab Zara Calculation Kijiye 1 Meel = 1.60934 Kilometer To 3 Meel = 4.82802 Yaani Takriban Aapne 5 Kilometer Door Se Cheenti Ki Aawaz Suni,To Jab Cheenti Ki Na Sunayi Dene Waali Aawaz Bhi Ek Nabi Sun Sakte Hain To Hamare Aaqa Wa Maula Jo Ki Nabiyon Ke Sardaar Hain Unki Sama'at Ka Kya Aalam Hoga,Cheenti To Phir Bhi Ek Jaandar
Cheez Hai Ki Uski Aawaz Ka Sunna Mushkil Zaroor Hai Magar Namumkin Nahin Magar Mere Aaqa Wa Maula Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ko Jab Maqame Khaibar Me Zahar Aalood Gosht Diya Gaya To Khud Paka Hua Gosht Ka Tukda Mere Aaqa Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Se Kalaam Karta Hai Aur Kahta Hai Mujhe Zahar Aalood Kiya Gaya Hai Magar Chunki Rub Ki Raza Thi Lihaza Aapne Use Tanawul Farmaya Ye Hai Mere Sarkaar Ki Sama'at Ka Aalam Subhaan Allah,Aur Ambiya Ka Hansna Bhi Muskurana Hi Hota Hai Jaisa Ki Farmaya Gaya Ki Hansne Ki Ibtidayi Kaifiyat Jisme Aawaz Nahin Hoti Use Tabassum Kaha Jaata Hai Aur Muskurane Ke Saath Hi Kuchh Awaaz Paida Ho Jaaye Jise Khud Sun Sake Use Zihak Kahte Hain Aur Itni Aawaz Se Hansna Ki Sab Sun Sake Use Kahkaha Kahte Hain To Tabassum Farmana To Ambiya Alaihissalam Ki Sunnat Hai Aur Zihak Bhi Baaz Mauqo Par Saabit Hai Magar Kahkaha Lagaana Behuda Pan Kahlata Hai Aur Ye Ambiya Ki Shaan Nahin Lihaza Hazrat Suleman Alaihissalam Ka Hansna Bhi Kahkahe Se Paak Tha

*Ambiya Ko Gunahgaar Thahrane Waale Log Cheenti Se Bhi Kam Aql Hain* Khud Quran Is Baat Ki Gawahi De Raha Hai Jaisa Ki Cheenti Ka Qaul Bayaan Hua Ki "Apne Gharo Me Chali Jao Ki Kahin Tumhein Suleman Aur Uska Lashkar Kuchal Na Daale Bekhabri Me" Yahan Bekhabri Farmakar Usne Saabit Kar Diya Ki Allah Ke Nabi Masoom Hote Hain Zaalim Nahin Ki Kisi Par Zulm Karein Albatta Bekhabri Me Aisa Ho Sakta Hai,Ab Wo Log Apni Aql Par Roya Karein Jo Maaz Allah Nabiyon Ko Masoom Nahin Jaante
📕 Tazkiratul Ambiya,Safah 221

Post a Comment

0 Comments