Namazi Ke Aage Se Guzarne Ka Wabaal

Namazi Ke Aage Se Guzarne Ka Wabaal


Hazrat Abu Zuhaim ( Radi Allahu Ta-ala Anhu) Se Marvi Hai Ki Huzure Aqdas ( Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya 
Agar Namazi Ke Aage Se Guzarne Wala Ye Jaan Leta Ki Namazi Ke Aage Se Guzarne Ka Kya Gunaah Hai To Chalis Saal Tak Khade Hokar Intezar Karna Ganwara Kar Leta 

Namazi Ke Aage Se Guzarne Ka Wabaal


Hazrat Abu Hurairah ( Radi Allahu Ta-ala Anhu) Se Marvi Hai Ki Huzure Aqdas (Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya 

Agar Tum Mein Se Kisi Ko Malum Ho Jata Ki Apne Bhai Ki Namaz Mein Khalal Dalte Hue Uske Aage Se Guzarne Ka Gunah Kya Hai

 Jab Ki Wo Apne Rab Se Munajaat ( Dua )Kar Raha Hai To Woh Namazi Ke Aage Se Guzarne Ke Muqable Us Jagah Sau Saal Khada Rahna Pasand Karta 

 👉 *Note* Namazi Ko Khud Bhi Aisi Jagah Nahin Khada Hona Chahiye Jahan Se Kisi Ke Guzarne Ka Imkaan Ho Warna Wo Khud Bhi Gunahgaar Hoga 
■*Saff Ki Khali Jagah Bharne Ka Sawab* Hazrate Aayesha ( Radi Allahu Ta-ala Anha) Se Marvi Hai Ki Huzure Aqdas ( Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya 

Beshaq Allah Aur Uske Farishtey Rahmat Bhejte Hain Un Logon Par Jo Saff Ki Khali Jaghon Ko Pura ( Muqammal ) Kar Dete Hain

👉 Hazrate Aayesha ( Radi Allahu Ta-ala Anha) Se Marvi Hai Ki Huzure Aqdas ( Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya 

Ki Jo Aadmi Saff Ki Khali Jaghon Ko Bhar De Allah Ta-ala Uske Darjon Ko Buland Farmayega Aur Jannat Mein Uske Liye Ghar Taamir Farmayega 

👉 Hazrat Bara-a Bin Aajib ( Radi Allahu Ta-ala Anhu Se Marvi Hai Ki Huzure Aqdas ( Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya 

Koi Bhi Allah Ki Baar Gaah Mein Us Aadmi Ke Qadam Se Pasandida Jo Chal Kar Saff Ki Khali Jaghon Ko Bhar De

👉 Hazrat Abdullah Bin Umar ( Radi Allahu Ta-ala Anhu) Se Marvi Hai Ki Huzure Aqdas ( Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya 

Ki Jisne Kisi Saff Ko Pura (Muqammal) Kar Diya To Allah Ta-ala Use Apni Rahmat Se Jod Dega Aur Jisne Saff Kaat Di To Allah Ta-ala Use Apni Rehmat Se Kaat Dega 

📗 Namaz Ki Ahmiyat Safah 44-45 📗

Post a Comment

0 Comments