Hamal (Pregnancy) Ke Dauraan Sohbat (Sex) Karna

Hamal (Pregnancy) Ke Dauraan Sohbat (Sex) Karna



Aurat Jab Hamal Se Ho To Us Halat Me Sohbat Karna Shariyate Islami Ki Ru Se Mana Nahi Hai Aur Is Par Koi Gunah Bhi Nahi 

Lekin Hakeemon Ke Nazdeek Sohbat Na Karna Behtar Hai Ki Sohbat Karne Se Naye Hamal Ke Thaharne Ka Khatra Hota Hai

Hamal (Pregnancy) Ke Dauraan Sohbat ( Sex ) Karna


*Hadees* Imaame Azam Abu Haneefa ( Radiallahu Ta-Ala Anhu ) Apni Musnad Me Hazrat Ibne Umar ( Radiallahu Ta-Ala Anhu) Se Riwayat Karte Hain
 Rasool Allah ( Sallallahu Ta-Ala Alaihi Wasallam) Ne Mana Farmaya Hamla ( Pet Wali ) Aurton Se Sohbat Na Ki Jaye Jab Tak Ki Woh Jann Na Le Apne Peton Ke Bachchey 
 📚 Musnade Imame Azam Baab No.131 Safah No.227
 

In Haamila Aurton Se Murad Jihad Me Qaid Ki Gai Qaneezein Hain Kunki Imame Azam Se Dusre Tariqe Se Aur Riwayat Hai Jisme Hubala Ke Sath Minal Sabi Ki Bhi Qaid Hai Jisse Sabit Hota Hai Ki Is Se Muraad Qaid Ki Gai Aurtein Hai 

Yeh Hukm Apni Biwi Ke Liye Nahin Hai (Yani Apni Biwi Se Sohbat Kar Sakta Hai) Ulma e Kiraam Farmate Hain Ki Woh Aurat Jiska Hamal Zina Se Ho Us Se Sohbat Jayez Nahin (Haan Jiska Shauhar Khud Zani Ho Use Sohbat Karne Mein Harj Nahin) 

Bachcha Paida Hone Ke Baad Bachcha Jab Tak Dudh Pita Hai Un Dino Tak Hakeem Hazrat Sohbat Karne Se Mana Karte Hain

Unke Nazdeek Dudh Pite Bachche Ki Maujudgi Mein Biwi Se Sohbat Karne Se Bachche Ko Nuksaan Hai
 Woh Is Tarah Ki Bachcha Janne Ke Baad Agar Aurat Se Sohbat Ki Jaye To Aurat Ka Dudh Kharab Ho Jata Hai Jiske Pine Se Bachche Ki Sehat Par Asar Padta Hai 
Shariyyat Bhi Hamein Aisi Baatein Ikhtiyar Karne Ki Hidayat Karti Hai Jo Hamare Liye Hi Faydemand Ho Aur Un Baaton Se Mana Karti Hai Jismein Hamare Liye Hi Nuksaan Ho

Hamal (Pregnancy) Ke Dauraan Sohbat ( Sex ) Karna


*Hadees* Huzur ( Sallallahu Ta-Ala Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya Poshida ( Chupe ) Taur Par Apni Aulad Ko Qatl Na Karo 
*
*Qasam Hai Us Zaat Ki Jiske Qabze Mein Meri Jaan Hai Dudh Pilane Ke Waqt Mein Biwi Se Sohbat Karna Sawaar Ko Ghodey Ki Pith Se Gira Deta Hai
*📚 Abu Daud Shareef Jid 3 Baab No. 198 Hadees No.484 Safah 172
*📚 Ibne Maaja Jild 1 Baab No.649 Hadees No.2063 Safah No. 560
*


Tahkeek Ye Hai Ki Dudh Pilane Ke Dauraan Aurat Se Sohbat Karna Jayez Hai Aur Is Hadees Mein Huzur ( Sallallahu Ta-Ala Alaihi Wasallam) Ne Nasihatan Mana Farmaya Hai 

Aap Ka Ye Irshaad Najayez Ya Mumaniyat Ke Darje Mein Nahi
Isliye Bhi Ki Agar Aurat Ke Dudh Pilane Ki Wajah Se Sohbat Karna Na Jayez Kar Diya Jata To Mardon Ko Is Se Taqleef Hoti 

Kunki Aurat Bachche Ko Aam Taur Par Do ( 2 ) Saal Tak Dudh Pilati Hai Aur Mard Ka Do ( 2 ) Saal Apne Aap Ko Aurat Se Rokna Mushkil Hota

Lihaza Shariyyat Ne Ise Na Jayez Na Kaha Aur Sohbat Ki Ijazat Di Jaisa Ki * Ibne Maaja * Wa * Mishkaat Shareef * Ki Dusri Ek Aur Hadees Se Zahir Hai Woh Hadees Yeh Hai

Nabie Kareem ( Sallallahu Ta-Ala Alaihi Wasallam) Irshaad Farmate Hain Maine Irada Kiya Tha Ki Dudh Pilane Wali Aurat Se Sohbat Karne Se Mana Kar Dun 
Lekin Farasi Aur Rumi Bhi Is Zamane Mein Apni Biwiyon Se Sohbat Karte Hain To Unki Aulad Ko Koi Nuksaan Nahin Pahunchta 
📚 Ibne Maaja Jild 1 Baab 649 Hadees No. 2082 Safah No.560 
📚 Mishkaat Shareef Jild 2 Hadees No. 3057 Safah No.88

👉 Lekin Behtar Ye Hai Ki Un Dino Baar Baar Sohbat Na Kare Aur Na Hi Zyadah Sohbat Kare 

*Ba Hawala 📚 Kitab*
*📚 Kareenae Zindagi Safah 203 - 205 📚

Post a Comment

0 Comments