Fateha Mein Khana Paani Samne Rakhna Kaisa

Fateha Mein Khana Paani Samne Rakhna Kaisa


Is Barey Mein Do Qism Ke Log Paye Jate Hain
 Kuch Toh Wah Hain Ki Agar Khana Ya Sherni Waghairah Samne Rakh Kar Sureh Fateha Waghairah Ayate Quraaniya Padh Di Jayetoh Unhein Us Khane Se  Chidh Ho Jati Hai 

Aur Wah Us Khane Ke Dushman Ho Jate Hain Aur Woh Use Haram Khayal Karte Hain

 Yah Woh Log Hai  Jinke Dilon Mein Bimari Hai Toh Khudae Ta-ala Ne Unki Bimari Ko Aur Badha Diya

Fateha Mein Khana Paani Samne Rakhna Kaisa


Qaseer Ahadis Aur Aqwale Aimma Aur Mamulate Buzurgane Deen Se Munh Mod Kar Apni Chalate Aur Khwaham Khwah Musalmanon Ko Bid-ati Batate Hain

Dusre Hamare Wah Kuch Musalman Bhai Hain Jo Apni Jihalat Aur Waham Parasti Ki Buniyad Par Yah Samajhne Hain 
Ki Jab Khana Samne Na Ho Toh Quraan Ki Tilawat Wa Isale Sawab Mana Hai

Ye Bhi Padhen👇👇

 Kuch Jagah Dekha Gaya Hai Ki Meelaad Shareef Padhne Ke Baad Intezar Karte Hain Ki Mithai Aa Jaye Tab  Tilawat Shuru Karein 

Yahan Tak Ki Agar Mithai Aane Mein Agar Der Ho Toh Gilass Mein Pani La Kar Rakha Jata Hai Ki Unke Liye Unke Jahilana Fateha Padhna Jayez Ho Jaye

 Kabhi Aisa Hota Hai Ki Imaam Sahab Aa Kar Baith Gaye Hain Aur Musalley Par Baithey Intezar Kar Rahe Hain Agar Khana Aaye Toh Quraan Padhein Yeh Sab Waham Parastiyan Hain

 Haqeeqat Ye Hai Ki Fateha Mein Khana Samne Hona Zaruri Nahin Hai

Agar Quraani Ayatein Aur Suratein Padh Kar Khana Ya Shirni Waghairah Baghair Samne Laye Yun Hi Taqseem Kar Di Jaye Tab Bhi Isaale Sawab Ho Jayega Aur Fateha Mein Koi Kami Nahin Aayegi 


Sayyadi Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza Khan Barelvi Farmate Hain Ki Fateha Wa Isaale Sawab Ke Liye Khane Ka Samne Hona Zaruri Nahin 
📚fatawa Razwiyya Shareef Jild 4 Safah 225📚

Aur Dusri Jagah Farmate Hain Ki Agar Kisi Shakhs Ka Yah Etikad Ho Ki Jab Tak Khana Samne Na Kiya Jaye Sawab Na Pahunchega Toh Yah Uska Ghuman Ghalat Hai 
📚fatawa Razwiyya Shareef Jild 4 Safah 195📚

Khulasa Yah Hai Ki Khane Pine Ki Chizein Samne Rakh Kar Fateha Padhne Mein Koi Harj Nahin Balki Hadeeson Se Uski Asl Sabit Hai 

Fateha Mein Khana Paani Samne Rakhna Kaisa


Aur Fateha Mein Khana Samne Rakhne Ko Zaruri Khayal Karna Ki Uske Baghair Fateha Nahin Hogi Yah Bhi Islaam Mein Zyadti Waham Parasti Aur Khayale Khaam Hai Jisko Mitana Musalmanon Par Zaruri Hai 

Hazrat Maulana Mufti Muhammad Khaleel Khan Sahab Marharvi Farmate Hain Ki 
Tumne Niyaaz Durood Wa Fateha Mein Din Wa Tareekh Muqarrarah Ke Bare Mein Yah Samjh Rakha Hai Ki Unhin Dinon Mein Sawab Milega Aage Piche Nahin Toh Yah Sochna Huqme Shr-ai Ke Khilaf Hai 

Yun Hi Fateha Wa Isaale Sawab Ke Liye Khane Ka Samne Hona Kuch Zaruri Nahin Ya Hazrate Fatimah Khatoone Jannat Ki Niyaz Ka Khana Pardey Mein Rakhna
 Aur Mardon Ko Na Khane Dena Aurton Ki Jihalate Hain Be Saboot Aur Gadhi Hui Baatein Hain Mardon Ko Chahiye Ki In Khayalat Ko Mitayein Aur Aurton Ko Sahi Raste Aur Huqme Shara-i Par Chalayein 
📚Taujih Wa Tashreeh Faisla Haft Mas-ala Safah 142📚
📚Bahawala Ghalat Fahmiyan Aur Unki Islaah Safah 57📚

Post a Comment

0 Comments