Biography Of The Sayyedus Shuhada Amire Hamza

Hazrat Ameer Hamza ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu

Alqaab :
Asad-ur-Rasool, Sayyed-ush-Shohada.

Aap ki wilaadat 567 A.D. me Makka me hui
Aap ke waalid ka naam Hazrat Abdul Muttalib ibn Haashim aur waalida ka naam Haala binte Uhayb hai.
Aap Quraish ke Banu Haashim khaandaan se ta’alluq rakhte hain.
Aap Huzoore akram Rasool-Allāh sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ke Chacha hain aur Ahle bait shaamil hain.

Biography Of The Sayyedus Shuhada Amire Hamza 


3 Nabawi (616 A.D.) me ek baar shikaar se waapas aaye to Abdullāh bin Jad’aan ki baandi se Aap ko pata chala ki Abu Jahl ne safa ki pahaadi ke qareeb Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko bahot bura bhala kaha hai aur phir un par patthar se hamla kiya hai.
Aap use talaash karte hue Ka’aba me pahunche. Abu Jahl apne saathiyo ke saath waha baitha tha. Aap ne kaha “Tum ne Muhammad (sallallāhu alaihi wa sallam) ko takleef di hai. Ab main us ka badla lunga.” Ye kehkar Aap ne us ke sar par waar kiya, jis se wo jakhmi ho gaya.
Phir Aap ne Daar-al-Arqaam me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke paas aakar ye sab bataaya.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Aye mere chacha! Agar aap Islaam apna len, to mujhe sab se zyada khushi hogi.”
Aap foran kalma padhkar eimaan laaye.
Aap as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.

Phir Aap Ka’aba shareef par gaye aur Quraish ke saamne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki shaan wa fazeelat bayaan karte hue taqreer farmai.

Aap Bahot Bahaadur The.
Aap Ke Musalman Hone Se Islaam Ko Nai taaqat mili.

*************
1 Hijri (622 A.D.) me Aap hijrat karke Madeena aa gaye.
Yaha Aap Masjid ki taameer ke kaam me madad karte rahe.

**********
Hijrat ke 7 mahine baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par Aap 30-40 musalmano ke giroh ke saath Juhayna ilaaqe me al-Is ke samundar ke kinaare par Abu Jahl ki sardaari me Shaam se aa rahe 300 Kaafiro ke giroh ka muqaabala karne ke liye pahunche. Magar Majdi bin Amr al-Juhani ke samjhaane par dono giroh ne jung nahi ki. Aur Hazrate Hamza musalmano ko lekar Madeena waapas aaye.

Biography Of The Sayyedus Shuhada Amire Hamza 


17 Ramazaan 2 Hijri (13 March 624 A.D.) ko Junge Badr me kaafiro ne muqaabale ke liye humsar bhejne ke liye kaha to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Hamza, Hazrate Ali ibn Abu Taalib aur Hazrate Ubaida ibne Haariṡ radiy-Allahu ta’ala anhuma ko Makka ke kaafiro ke muqaabale me bheja.
Hazrate Hamza ne Shaiba ko qatl kiya aur Hazrate Ubaida ke jakhmi hone ke baad Utba ko bhi qatl kiya.
Aur phir jab jung shuru hui to kai kaafiro ko qatl kiya.

**********
Is ke baad 10 Shawwaal 2 Hijri (624 A.D.) ko Madeena me Banu Qaynuqa ke khilaaf jung me bhi shaamil hue.

**********
Shawwaal 3 Hijri me Jung e Uhad se pehle Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Abdullāh bin Jubair bin Nomaan radiy-Allāhu ta’ala anhu ki sardaari me taqreeban 50 tirandaaj ashaaba ko Jable Rumah par theharkar nigraani karne ke liye farmaaya aur farmaaya ke 
“Haalaat kaise bhi ho chaahe fatah mile ya nakaami, jab tak mera hukm na ho tum log yaha se hatna nahi.”

Aap ne jung ki ibtida me Uṡmaan ibn Abu Talha al-Abdari aage aaya to Hazrate Hamza ne us ka muqaabala karke use qatl kiya.

Jab jung me kuffaar musalmano ka muqaabala na kar sake aur maidaan chhodkar bhaagne lage tab pahaadi par thehre hue un ashaaba ne socha ke ab to musalmano ko fateh milne wali hai. 

Is liye hume bhi neeche aa jaana chaahiye. Hazrat Abdullāh bin Jubair bin Nomaan radiy-Allāhu ta’ala anhu ne unhe bahot roka aur kaha”Jab tak Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ka hukm na ho hume neeche nahi jaana chaahiye.” 
Magar wo nahi maane aur pahaadi par se neeche aa gaye.

Kaafiro ke sardaar Khaalid bin Waleed ne jab mauqa dekha to apne ghud-sawaar saathiyo ke saath musalmano par peeche se hamla kiya. Aur baazi palat gai aur Musalmano ko apni hifaazat ke liye bhaagna pada.

Biography Of The Sayyedus Shuhada Amire Hamza 


Hazrate Talha bin Ubaidullāh aur Hazrate Sa’ad bin Abi Waqqaas radiy-Allāhu ta’ala anhuma ne 7 ansaar ashaaba ke saath bahot bahaaduri se kaafiro ka muqaabala kiya aur Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki hifaazat ki.

Baad me Hazrate Abu Dujaana Simak bin Kharasha, Hazrate Hamza radiy-Allāhu ta’ala anhu, Hazrat Ali ibn Abu Taalib, Hazrat Abu Bakr Siddeeq, Hazrat Umar Faarooq, Hazrate Abu Ubaida Aamir ibn Jarrah, Hazrat Abdur Rahmān bin Awf, Hazrate Abu Talha, Hazrat Musaib bin Umair, Hazrate Sahl bin Haneef, Hazrate Malik bin Sinaan, Hazrate Hateeb bin Abu Balta'a, Hazrate Qataadah bin Nomaan Ansaari aur deegar ashaaba radiy-Allāhu ta’ala anhuma bhi madad ke liye pahunche.

Hazrate Hamza dono haath me talwaar ke saath bahot bahaaduri se kaafiro ka muqaabala karte rahe aur unhe aage aane se roka. Aap ne 31 kaafiro ko waasile jahannam kiya.

Jubair ibn Mut'im ne apne chacha Tuwayma ibn Adiy ki maut ka badla lene ke liye Wahshi ibn Harb naam ke ghulam ko tayyar kiya tha. Us ghulaam ne aap ko shaheed kar diya. 

Aur Hind bint Utbah ne apne baap ki maut ka badla lene ke liye aap ke naak, kaan, haath kaate aur aap ka kaleja nikaalkar chabaaya.
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne aap ki laash ko talaash karke pehchana aur aap ko ‘Sayyed-ush-Shohada’ aur ‘Asad-ur-Rasool’ ke alqaab ata farmaaye ya’ani ‘Tamaam shohada ke sardaar’ aur ‘Rasool-Allāh ka Sher’.

♦ Is jung me Utbah bin Abi Waqqaas ne patthar phenkar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke dandaane mubarak shaheed kiye the.

**********
Aap ki shahaadat 15 Shawwaal 3 Hijri (19 March 625 A.D.) ko Shanichar ke roz hui.

**********
ALLĀH ta’ala ne in shohada ki azmat wa shaan zaahir karne ke liye ye aayat naazil farmai :
“Aur jo log ALLĀH ki raah me qatl kiye jaayen unhe hargiz murda khayaal na karo, Balke wo apne Rab ke huzoor zinda hain unhe rizq [jannat ki ne'amnaten] diya jaata hai.”
(3 Soorah Aale Imraan, Aayat 169)

**********
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam har saal Shohada e Uhad ki mazaar par tashreef le jaate aur waha farmate ‘Tum par salaam ho kyun ki tum ne sabr kiya. Tumhara akhirat ka ghar kaisa achha hai.’

Isi tarah Ameer-ul-mo’mineen Hazrat Abu Bakr Siddeeq, Hazrat Umar Faarooq, Hazrat Uṡmaan Ghani aur Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhuma bhi har saal Shohada e Uhad ke mazaar e mubarak ki ziyarat karte the.

Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya hai :

(1) Shohada e Uhad ke mazaar par jaakar Salaam pesh kiya karo ke jo bhi aisa karega Qayaamat tak un ke Salaam ka jawaab paayega.

(2) Jin ki dua qubool hone me der hoti ho unhe chaahiye ke Hazrate Hamza ke waseele se dua karen, In shaa Allāh zaroor qubool hogi.

Sayyedus Shuhada Amire Hamza Ka Pariwaar

Aap ki 3 biwiya aur 3 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain.

(1) Salma bint Umays se
1 beti : Umaama bint Hamza;
(2) Binte Milla ibn Malik al-Awsi se
1 beta : Aamir;
(3) Khawla bint Qays al-Najjaari se
2 bete : Yaala aur Umara;
2 betiya : Jin ka bachpan me hi intiqaal ho gaya.

**********
Junge Uhad me Hazrate Ameer Hamza radiy-Allāhu ta’ala anhu aur 69 dusre ashaaba shaheed hue. 
Shohada e Uhad ko Jable Uhad par dafn kiya gaya. Aur chand shohada ko Jannatul Baqi me dafn kiye gaye.

46 saal ke baad ek baar sailaab ki wajah se nehar ka paani un ki qabro me jaane se nuqsaan hone ka andesha tha tab mashwara karke yeh tay kiya gaya ke Shohada ko qabro se nikaalkar dusri salaamat jagah par muntaqil kiya jaaye.

Jab Shohada e Uhad ki qabro ko khola gaya to pata chala ke tamaam shohada ke jism aur kafan usi tarah mehfooz the aur un ke jakhmo se khoon jaari tha aur shohada ke haath un ke jakhm par the. Jab un ke haath ko sahi karne koshish ki gai to phir se un ke haath un ke jakhmo par waapas aa jata.

Phir unhe nai qabro me dafn kiya gaya. Ek qabr me Hazrate Hamza, Dusri do qabro me Abdullāh ibne Jabash aur Mus'ab ibne Umair aur dusre 63 ashaaba ko ek badi qabr me dafn kiya gaya.

(Jazb-ul-Quloob)

Un Shohada ke Mazaar Jable Uhad ke qareeb hain.
Hajj ya Umrah ke liye jaane waale jab Madeena shareef jaate hain tab un ke mazaar ki ziyarat ke liye jaate hain.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Ameer Hamza ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Ahle bait aur Ashaaba aur tamaam Shohada ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments