Maahe Shawwaal-ul-Mukarram Mubarak

Maahe Shawwaal-ul-Mukarram Mubarak.
(माहे शव्वाल-उल-मुकर्रम मुबारक)
Shawwaal Lafz ‘Shawlun’ se bana hai ya’ani Uthaana, Ooncha karna.
Is mahine me Hajj ki tayyaari shuru ki jaati hai.


Mahe Shawal Ki Fazilat


Hadeeṡe Nabawi :

Jo shakhs Ramazaan ke roze rakhe aur us ke baad Maahe Shawwaal ke 6 roze rakhe to use pura saal roza rakhne ke barabar ṡawaab milega.

(Muslim , Jild -3, Hadeeṡ -2758)

Note :
(1) Maahe Shawwaal ke 6 roze Mustahab hain aur Eid-ul-Fitr ke baad musalsal (lagaatar) 6 din tak bhi rakh sakte hain ya pure mahine me alag alag koi bhi 6 din ke roze rakh sakte hain.

(2) Maahe Shawwaal ke 6 roze rakhne waale ko pura saal roza rakhne ke barabar ṡawaab tabhi milega jab pehle us ne Ramazaan ke pure roze rakhe ho. Sirf Maah e Shawwaal me 6 roze rakhne waale ko nahi.
Agar kisi uzr ki wajah se Ramazaan ka 1 ya zyada roze chhut gaye ho to pehle us ki qaza kar len phir us ke baad hi Shawwaal ke 6 roze rakhen.

(3) Ulama pura saal roza rakhne ke baraabar ṡawaab ka bayaan is tarah karte hain ke ALLĀH ta’ala 1 neki ke badla 10 ata farmaata hai. Ramazaan ke 30 aur Shawwaal ke 6 roze milakar 36 roze honge. Jis ka ṡawaab 360 ke barabar ata farmaega. Aur Ramazaan ul mubarak ke roze me jaane anjaane me jo kotaahiya ho gai hai ya kami reh gai ho unhe apni rahmat se muaf farmaega. In shaa Allāh.

Mahe Shawal Ki Fazilat


Is mubarak mahine me Eid-ul-Fitr aati hai - Ramazaan-ul-mubarak ke baad rahmato aur ne'amto ka din.

*****************
Maahe Shawwaal-ul-Mukarram ka chaand (Eid-ul-Fitr ka chaand) dekhkar ‘Soorah al-Lahab’ padhen.

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
تَبَّتْ يَدَا أَبِي لَهَبٍ وَتَبَّ
مَا أَغْنَىٰ عَنْهُ مَالُهُ وَمَا كَسَبَ
سَيَصْلَىٰ نَارًا ذَاتَ لَهَبٍ
وَامْرَأَتُهُ حَمَّالَةَ الْحَطَبِ
فِي جِيدِهَا حَبْلٌ مِنْ مَسَدٍ

Bismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Tabbat yadă abee lahabinw wa tabb.
Mă agnā anhu maaluhū wan a kasab.
Sayaslā naaran zaata lahab.
Wa-mra atuhū, Hamma latal hatab.
Fee jeedihaa hablum mim masad.

Phir yeh masnoon dua padhen :
اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه ، هلال رشد وخير

Allāhumma ahillahu alayna bil amni wal eimaani was salaamati wal islaami Rabbee wa Rabbuk-Allāh hilaalu rushdin wa khayrin.

अल्लाहुम्म अहिल्लहु अलयना बिल अम्नि वल ईमानि वस्सलामति वल इस्लामि रब्बी व रब्बुकल्लाह हिलालु रुश्दिन व ख़ैरिन।

Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH is chaand [mahine] ko hum par amn aur eimaan aur salaamati aur islaam ke saath , Tera Rabb aur mera Rabb ALLĀH hai, yeh chaand hidaayat aur khair waala ho.

Translation :
O Allāh, let this moon appear on us with security and faith with safety and Islaam. (O moon!) Your Rabb and mine is Allāh. May this moon be bringing guidance and good.
 
(Jaami Tirmizi, Jild -2, Hadeeṡ -1376 /Hasan;
Tabarani, Al-Mujam-ul-Awsat, Hadeeṡ -6241)

Maahe Shawwaal-ul-Mukarram ke khaas din

1 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Muhammad Bukhari Mohaddeeṡ rahmatullāhi alaihi (Khartank, Samarqand / Uzbekistan)

1 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Fakhr-ud-deen Raazi rahmatullāhi alaihi (Herat / Afghanistan);

1 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Aarif Reogari rahmatullāhi alaihi (Reogar / Uzbekistan);

1 Shawwaal – Yaum e Urs Hazrat Khwaja Siraaj-ud-deen Uṡmaan urfe Akhi Siraaj rahmatullāhi alaihi (Gaur, Bengal);

1 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sayyed Jamaal-ul-Auliya rahmatullāhi alaihi (Kora Jahanabad, Uttar Pradesh);

1 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Haafiz Abu Saeed Mujaddidi rahmatullāhi alaihi (Delhi);

2 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Muhammad Aarif Shattaari rahmatullāhi alaihi (Burhanpur, Madhya Pradesh);

3 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Hasan Raza Khan rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);

4 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Badr-ud-deen Kaamil Qaadri Jilani rahmatullāhi alaihi (Vadodara, Gujarat);

5 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrate Sawdah bint Zam'ah radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);

5 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Uṡmaan Haarooni rahmatullāhi alaihi (Makka mukarrama);

5 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Muslih-ud-deen Saadi rahmatullāhi alaihi (Shiraz / Iran);

5 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Abdur Raheem Shaah urfe Qaazi Gudri Shaah Ṡaani rahmatullāhi alaihi (Ajmer / Rajasthan);

6 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sayyed Taaj-ud-deen Abdur Razzaaq Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);

6 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Sharf-ud-deen Ahmad Yahyā Maneri rahmatullāhi alaihi (Bihar sharif, Bihar);

6 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Noor-ud-deen Mohammad Peer Satgor rahmatullāhi alaihi (Navsari, Gujarat);

7 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abu Hubaira Basri rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq);

7 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi (Delhi);

7 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Baaba Kamaal Kirmani rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);

8 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Qaazi Siddeeq Husain urfe Chal Fir Shaah rahmatullāhi alaihi (Chittorgadh, Rajasthan);

10 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Mufti Muhammad Abdullāh Baloch Naeemi Shaheed rahmatullāhi alaihi (Karachi / Pakistan);

11 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Habeebullāh Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi (Singapore);

12 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Ahmad Ganj Khattu rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);

12 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom e Gujarat Azeem-ud-deen Qaadri Jilani rahmatullāhi alaihi (Vadodara, Gujarat);

13 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Haaji Najm-ud-deem Sulaimāni Chishti rahmatullāhi alaihi (Fatehpur Shekhawati, Rajasthan);

13 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Mueez-ud-deen Ādam Naqshbandi Mujaddidi Binauri rahmatullāhi alaihi (Madeena munawwara);

14 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Huzaifa Mar'ashi rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq);

14 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abu Bakr ibn Abdullāh Eidarusi rahmatullāhi alaihi (Aden / Yemen);

14 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Eisā Jundullāh Qaadri Shattaari rahmatullāhi alaihi (Burhanpur, Madhya Pradesh);

14 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed La’al Shaah Baaba Qaadri Jilani rahmatullāhi alaihi (Dhoraji, Gujarat);

15 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Ameer Hamza aur Shohada e Uhad radiy-Allāhu ta’ala anhuma (Madeena munawwara);

15 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Abu Daawūd, Sulaimān Mohaddeeṡ rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq);

16 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Siraaj-ud-deen Mohammad Junaidi rahmatullāhi alaihi (Gulbarga, Karnataka);

16 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sayyed Abdullāh ibn Abu Bakr Sakraan Eidarusi rahmatullāhi alaihi (Aden / Yemen);

16 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Rukan Shaah Wali rahmatullāhi alaihi (Okha, Gujarat);

16 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Shaah Ahmad Nooraani Siddeeqi rahmatullāhi alaihi (Karachi, Pakistan);

17 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Sayyed Mohammad Khaamis urfe Shaikh Saarang rahmatullāhi alaihi (Majhgawan, Uttar Pradesh);

17 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Maulawi Muhammad Abdul Qadeer Siddeeqi Qaadri Hasrat rahmatullāhi alaihi (Hyderabad, Telangana);

18 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Ameer Khusru rahmatullāhi alaihi (Delhi);

19 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Ahmad Hankori Nagori rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);

19 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Uwais rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);

19 Shawwaal –  Yaum e Urs Hazrat Shaikh Sayyed Abul Qaasim Qaadri urfe Hare Bhare Shaah rahmatullāhi alaihi (Delhi);

19 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Allama Maulana Mohammad Zareef Faizi Chishti rahmatullāhi alaihi (Ahmadpur Sharqia, Punjab / Pakistan);

21 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Qaazi Shaah Hammaad Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);

21 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Rukn-ud-deen Naqshbandi Alwari rahmatullāhi alaihi (Alwar, Rajasthan); 

22 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Haaji Dost Muhammad Kandahari rahmatullāhi alaihi (Dera Ismāeel Khan / Pakistan);

23 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Ali Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);

23 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Baaba Taaj-ud-deen Sher sawaar rahmatullāhi alaihi;

23 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Peer Nizaam-ud-deen Chishti Fareedi rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);

23 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Abdul Haq Khairabadi rahmatullāhi alaihi (Khairabad / Uttar Pradesh);

24 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Ghaazi Saalaar Saahoo rahmatullāhi alaihi (Satrikh, Uttar Pradesh);

24 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Abul Hasan Noori rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);

24 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Mohammad Saadiq Marehrawi rahmatullāhi alaihi (Sitapur, Uttarakhand);

25 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaikh Saif-ud-deen Abdul Wahaab Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);

25 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Haaji Saaleh Muhammad Peer Ji Qaadri rahmatullāhi alaihi (Mumbai, Maharashtra);

27 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Abu Bakr Mohammad Kataani rahmatullāhi alaihi;

27 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Allama Mufti Fazle Rahmān Qaadri Madani rahmatullāhi alaihi (Madeena munawwara);

29 Shawwaal –  Yaum e Wisaal Hazrat Sarmad Shaheed rahmatullāhi alaihi (Delhi).

********
ALLĀH ta’ala is Maah e mubarak me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wasallam ke sadqe me aur Ahle bait Aulia Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur Hamare nek amal qubool farmae aur In buzurgaan e deen ko isaal e sawaab karne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaaiz muraado ko puri farmae aur Sab ko Ilm me, Amal me aur Rizq me barkat ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar us par amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments