Bimariyo Se Bachne Ki Duayen




Bimariyo Se Bachne Ki Duayen

(1) Allāhumm inni aa'oozu bika minal barasi wal junooni wal juzaami wa min sayyi-il asqaam.

[Tarjuma : Aye ALLĀH main panaah maangta hu baras / kodh se aur junoon se aur juzaam se aur tamaam buri beemariyo se.]

(2) اَللّٰھُمَّ عَافِنِیْ فِیْ بَدَنِیْ اَللّٰھُمَّ عَافِنِیْ فِیْ سَمْعِیْ اَللّٰھُمَ عَافِنِیْ فِیْ بَصَرِیْ لَآ اِلَہَ اِلَّااَنْتَ

Allāhumm aafini fee badanee Allāhumm aafini fee sama'ee Allāhumma aafini fee basaree, laa ilāha illa anta.

[Tarjuma : Aye ALLĀH badan me aafiyat farma, Aye ALLĀH kaan se sunne me aafiyat ata farma, Aye ALLĀH aankh se dekhne me aafiyat ata farma, koi ma’abood nahi sirf tu hai.]


  1. Miya Bivi Me Mohabbat Paida Karne Ka Amal
  2. Qaid Se Rehai Ka Wazifa
  3. Musibat ko Door Karne ka Amal


(3) A'oozu bi kalimaatillāhit taammaaati min sharri ma khalaq.
[Tarjuma : Panaah maangta hu ALLĀH ke kalimaat ke saath  makhlooq ki harburaai se.]

(4) بِسْمِ اللهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
Bismillāhillazee laa yadurru ma’a asmihi shay'un feel ardi wa laa fees samaa'i wa huwas samee ul aleem.

[Tarjuma : ALLĀH ke naam se jis ke naam ke saath zameen aur aasmaan me koi cheez nuqsaan nahi pahunchaati aur woh sab sunne waala aur jaanne waala hai.]

(5) Bismillāhi ala deeni bismillāhi ala nafsee wa wuldee wa ahlee wa maalee.

(6) Aayat-ul-Kursi (2 Soorah al-Baqarah, Aayat 255)

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اللَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ ۚ لَا تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلَا نَوْمٌ ۚ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۗ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلَّا بِإِذْنِهِ ۚ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ ۖ وَلَا يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلَّا بِمَا شَاءَ ۚ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ ۖ وَلَا يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا ۚ وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ

Bismillāhir Rahmānir Raheem.
Allāhu laa ilāha illaa huwa, Al hayyul qayyoom, Laa taakhuzuhū sinatunw wa laa nawm, Lahū maa fis samāwāti wamaa fil ardi, Man zallazee yashfa'u indahū illaa bi-iznihee, Ya’alamu ma bayna aideehim wa maa khalfhum, Wa laa yuheetoona bi-shay-inm min ilmihī illaa bimaa shaa’a, Wasia kursiyyuhus samāwāti wal ard, Wa laa ya'ooduhū hifzuhuma, Wa-huwal aliyyul azeem.

(7) Yaa Allāhu Yaa Salaamu.

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Shohar-bivi-me-Mohabbat-ke-liye-Ek-Qurani-Amal
► Burayi-se-Chhutkare-Ke-Lie-Ek Amal
► Ladka-Paida-Hone-ka-Amal
► NAJAIZ-TA-LLUQ-KHATM-KARNE-KA-AMAL
► Ladka-Paida-Hone-ka-Amal


Beemaari se Shifa ke liye duaen


(1) اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ أَذْهِبِ الْبَاسَ، اشْفِهِ وَأَنْتَ الشَّافِي، لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ، شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا
Allāhumma rabbin naas azhibal baasa washfi antash shaafee, Laa shifaaa illa shifaa'ooka, shifa'an Laa Yugaadiru saqama.

[Tarjuma : Aye ALLĀH insaano ke rabb is takleef ko door farma aur shifa ata farma tere siwa koi shifa dene waala nahi lekin sirf tu shifa ata farmaane waala hai aisi shifa ata farma ki beemaari baaqi na rahe.]       

(2) حَسْبُنَا اللّٰهُ وَنِعْمَ الْوَكِيْلُ
HasbunAllāhi wa ni'amal wakeel.

[Tarjuma : Hamare liye ALLĀH kaafi hai aur woh behtareen kaarsaaz hai.]

(3) لاَّ إِلَـهَ إِلاَّ أَنتَ سُبْحَـنَكَ إِنِّى كُنتُ مِنَ الظَّـلِمِينَ.
 Laa ilāha illaa anta sub'hānaka innee kuntu minaz zaalimeen.

[Tarjuma : (Aye ALLĀH), Tere siwa koi ma’abood nahi, Teri zaat paak hai, Beshak main hi (apni jaan par) zyaadati karne waalo me se tha.]

(4) Durood e Shifa :
Allāhumm salli ala sayyidina muhammadin salaatan tashfeena wasallim alaihi salaaman yudaawina wa ala aalihi wa sahbihī wa sallim.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko Huzoor Sarware kaunain Rahmatalil aalameen Aneesil ghareebeen Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ki ita’at aur itteba karne ki taufiq at farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko batane ki taufiq ata farmae.
Tamaam muhlik [jaan-lewa] beemariyo se sab ki hifaazat farmae aur sab ko shifa aur sehat ata farmae.
Aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments