biography of imam Hussain

Hazrat Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaheed-e-Aazam, Imaam-e-Aali maqaam, Sayyed-ush-Shabaabi Ahlil Jannah, Raihaan-e-Mustafa, Sibt-al-asghar, Sayyed-ul-Mazloomeen, Imaam-ush-Shohada, Shaah e Karbala.


biography of imam Hussain इमाम हुसैन की जिंदगी

Aap ki wilaadat 5 Sha’aban 4 Hijri (8 January 626 A.D.) ko Mangal ke roz Madeena munawwara me hui

biography of imam Hussain

Aap ke waalid ka naam Hazrate Ali Murtaza ibne Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naam Hazrate Sayyeda Faatima Zahra binte Muhammad Mustafa (sallallāhu alaihi wa sallam) radiy-Allāhu ta’ala anha hain.

Aap Quraish ke Banu Haashim khaandaan se hain.

*************
Aap Ahle bait me se hain aur panjatan me shaamil hain.

Aap ke baare me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai :
(1) Hasan aur Husain jannati jawaano ke Sardaar hai.
(2) Husain mujh se hai aur Main Husain se.
(3) Jis ne Husain se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki.
Aye ALLĀH! Tu us se mohabbat kar jo Husain se mohabbat kare.

****************
Ek martaba dauraane safar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Hasan aur Hazrat Husain radiy-Allāhu ta’ala anhuma ke rone ki aawaaz suni to Aap ne Hazrat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha se pucha “Bachche kyun ro rahe hain?” Sayyeda ne arz kiya “Pyaas ki wajah se.”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne tamam saathiyo se paani ke baare me puchha magar paani na mila. Farmaaya “Dono ko mere paas laao.” Sayyeda chaadar ke andar lekar aai to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne pehle Hasan ko uthaakar seene se lagaaya aur apni zabaan mubarak unke munh me daali aur Hazrat Hasan ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki zabaan chusna shuru kiya aur unki pyaas door hui aur chup ho gaye. Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Husain ko uthaakar seene se lagaaya aur unke munh me bhi zabaan mubarak daali aur woh bhi zabaan mubarak chuskar chup ho gaye.

************
Ek martaba jab Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam haalate namaaz me the aur Aap khelte khelte naana jaan ki pusht mubarak par sawaar ho gaye to pyare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ne Husain gir na jaaye is wajah se apne sajde ko taweel kar diya.

biography of imam Hussain इमाम हुसैन की जिंदगी


Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam Hazrate Husain ke sar ko sungha karte the.
Ashaaba ne puchha ki “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam chumne ki baat to samajh me aati hai, yeh sunghne ki kya wajah hai?” tab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Mujhe Husain se jannat ki khushboo aati hai.”

**************
Ek roz Hazrat Jibr'eel alaihis salaam Hazrat Dihyah al-Kalbi radiy-Allāhu ta’ala anhu ki shakl me Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haaazir the. Hazrate Husain waha aaye to Dihyah al-Kalbi samajh kar Hazrat Jibr'eel alaihis salaam ki god me baith gaye aur aadat ke mutaabiq khelne lage, kabhi girebaan me haath daalte, kabhi aaastin me haath daalte. Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne shafaqat ke saath shehzaade Husain ko rokna chaaha to Hazrat Jibr'eel alaihis salaam ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Inhe roke nahi. Yeh mujhe bahot mehboob hain, Inhe khelne den.’”
Phir Hazrat Jibr'eel alaihis salaam ne kaha “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Akṡar awqaat jab Aap ki shehzaadi Faatima Zahra namaaze Tahajjud padhkar so jaati thi aur shehzaade Husain gehwaare me hote aur bedaar ho jaate to Rab ta’ala ke hukm se main shehzaade Husain ka gehwara (jhula) jhulaata taake Faatima kuchh der aaraam se so le.”

**************
Jab Aap ki umr 7 saal thi tab Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ka aur phir Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anhu ka wisaal hua.

**************
Aap nihaayat hi haseen wa jameel the.
Aap ki peshaani aur rookhsaar se noor (roshni) nikalkar qarb wa zawaar ko munawwar karta tha.

**************
Ek baar Hazrate Abdullāh ibne Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath khelte hue bahes hui aur Hazrate Husain ne kaha ke “Tum aur tumhare waalid dono mere naana jaan ke ghulaam ho.”
Hazrate Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu ke kehne par Aap ne ek kaagaz par likhkar diya ke “Hazrate Umar aur Ibne Umar mere naana jaan ke ghulaam hain.”

Ibne Umar wo kaagaz lekar Hazrat Umar Faarooq ke paas aaye to Hazrate Umar Farooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ne adab se saath us kaagaz ko liya aur kaha ke “Is kaagaz ko hifaazat se rakhna aur jab meri wafaat ho ise meri mayyat ke saath qabr me rakh dena. In shaa Allāh ye kaagaz Rabbul aalameen ki baargaah me meri maghfirat ka zariya banega.”

**************
Aap ki Ibaadat, Husn e akhlaaq, Shakhaawat, Sabr, Ilm, aur Shuja’at mash'hoor hai.

**************
Log Aap se ahkaam e shariat ke masaa'il jaanne ke liye aate the.

**************
Aap ne 25 martaba paidal Hajj ada kiye.

**************
Ek roz ek shakhs Imaam Husain ki khidmat me haazir hua aur arz kiya “Main kaṡrat e ayaal ki wajah se be-had tangi aur iflaas me hu, Yahan tak ki aaj raat khaane ke liye bhi kuchh nahi.”
Hazrat Aap ne use apne paas thehraaya. Itne me Hazrat Ameer Muawiya radiy-Allāhu ta’ala anhu ne 5 tode dinaaro ke Hazrat Imaam Husain ki khidmat me bheje. Aap ne wo sab tode Us shakhs ko inaayat farma diye aur farmaaya “Tujhe thoda intazaar karna pada us ke liye maafi chaahta hu.”

**************
Ek martaba ek zaroorat-mand Dehaati Aap ke darwaaze par haazir hua aur ek parcha is tarah likhkar Aap ke paas bheja ‘Mere paas koi aisi cheez nahi hai jis se ek daana khareeda jaa sake. Meri haalat Aap par zaahir hai jise bayaan karne ki zaroorat nahi hai. Maine aabroo bacha rakhi thi use kisi ke haatho farokht karna pasand nahi karta tha. Magar ab khareed-daar mil gaya hai.”
Ittefaaq se jawaab aane me kuchh der lag gai to Dehaati ne phir se ek parcha is tarah likhkar bheja ‘Jab main lautunga to log mujh se puchenge ke Saahibe Fazal sakhi se tujhe kya mila hai to kya jawaab dunga agar kahunga ke nujhe diya hai to jhut hoga aur agar kahunga ke Sakhi ne apna maal rok liya hai (ya’ani nahi diya hai) to yeh baat maani na jaayegi.”
Hazrat Imaame Husain  ne 10,000 deenaar ki thaili us dehaati saa'eel ke paas bheji aur saath me kuchh Ash'aar likhkar bheje jis ka mafhoom yeh tha :
“Tum ne jald-baazi  ki. So tumhe yeh qaleel hissa mila. Agar tum jaldi na karte tumhe aur zyada milta. Abhi itna hi le lo. Yun samajhna ke sawaal kiya hi nahi aur hum yun samajhenge ke hum ne kuchh diya hi nahi.”

***********
Ek baar Aap raaste se guzar rahe the ke kuchh miskeeno ne Aap ko daawat ki. Aap ne use qubool kiya. Un logo ne Aap ke saamne roti ke kuchh tukde pesh kiye jo un ko kahi se mile the. Aap ko khaane ki haajat nahi thi magar un logo ki khushi ke liye Aap ne chand luqme khaaye aur phir un sab ko apne ghar par le gaye aur unko achha khaana khilaaya aur kapde aur maal ata kiya.

**************
Hazrat Anas  radiy-Allāhu ta’ala anhu bayaan farmaate hain ke
“Ek din main Hazrat Sayyedina Imaame Husain  radiy-Allāhu ta’ala anhu ki khidmat me baitha tha. Aap ki ek Qaneez ne phoolo ka ek guldasta laakar Aap ko pesh kiya. Aap ne guldasta haath me lekar sungha aur Qaneez se irshaad farmaaya : Jaao tum ALLĀH ki raah me aazaad ho.
Maine arz kiya : Aye Shehzaade Rasool! Ek guldaste par itni qeemati qaneez ko aap ne aazad farmaaya? Aap ne farmaaya : Aye Hazrat Anas phoolo ke guldaste ke badle sab se achha tohfa yehi ho sakta tha ke use ALLĀH ke liye aazaad kar du.”

**************
Aap se kisi ne puchha “Islaam kya hai ?”
Imaam ne jawaab diya “Khaaliq ki ibaadat aur Insaaniyat ki khidmat.”

**************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :

(1) Jannat ke muntazir na raho.
Balke aise ban jaao ke Jannat tumhari muntazir rahe.

(2) Jo ALLĀH ki ibaadat ka pura haq ada karta hai, Khuda use us ki zaroorat aur talab se kahin ziyada ata farmaata hai.

(3) Insaan ko izzat aur martaba us ke Husn e akhlaaq aur nek amal se hi milta hai.

(4) Ilm baghair sach ke mukammal nahi ho sakta.

(5) Jo shakhs apne musalman bhaai ki bhalai chaahega,
Wo Qayaamat ke din us ka badla paayega.

(6) Zulm ke khilaaf jitni der se uthoge utni hi zyada Qurbaani deni padegi.

(7) Jo dunya waalo ko raazi karne ke liye ALLĀH ki nafarmaani karta hai ALLĀH ta’ala use dunya waalo ke hawaale kar dega.

(8) Agar tumhe yaqeen ho ke ALLĀH ta’ala tumhare saath hai to koi farq nahi padta ke tumhare khilaaf kaun hai.

(9) Kisi nek kaam ko dikhaawe ke liye mat anjaam do aur kisi neki ko sharmindagi ki bina par mat chhodo.

(10) Eimaan waala wohi hai jo aakhirat ke liye tosha jama kare,
Sacha Aabid wohi hai jo ALLĀH ta’ala ki taqseem par raazi rahe.

(11) Jab tum kisi shakhs ko us ki daulat ki wajah se izzat dene lago to samajh lena ke tum ne apna Eimaan kho diya hai.

(12) Jo tumhe aa'ine ki tarah tumhari khaamiya bataaye wo tumhara sacha dost hai aur jo sirf khushaamad karta hai aur tumhari khaamiya jaankar bhi bataata nahi wo tumhara dushman hai.

(13) Agar tumhe ek dusre ki niyyaton ka ilm hota to tum ek dusre ko dafn bhi na karte.

(14) Hathiyaro se jung to jeeti jaa sakti hai, magar dil nahi.
Kyun ki Dil sirf Kirdaar ke saath jeete jaate hain.

(15) Aala darje ka faiyaaz who hai jo aise logo se Husn e sulook kare jin se use koi ummeed na ho.

(16) Dosto ke khilaaf taaqat dikhaana aur Dushmano se bhaagna ye Buzdili hai.

(17) Maal ko kharch karne ka sab se achha tareeqa ye hai ke us se kisi ki izzat o aabroo mehfooz ho jaaye.

(18) Agar dunya me inqilaab laana chaahte ho to tehzeeb ka aaghaaz khud se karo dunya khud ba-khud badalne lagegi.

******************
Imam Husain Ka Pariwar 

Aap ki 4 biwiya aur 3 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain :

(1) Shahar banu binte Yazdegerd se
1 beta – Zain ul aabideen Ali al-awsat,

(2) Rubaab binte Imra al-Qays se
1 beta - Abdullāh Ali al-asghar,
1 beti – Faatima al-kubra urfe Sakeena.

(3) Layla binte Abi Murrah al- Ṡaqafi se
1 beta – Ali al-akbar,
2 betiya – Ruqayya urfe Sakeena al- sughra, Faatima al-sughra.

(4) Umme Is'hāq binte Talha bin Ubaidullāh al-Ta'imi se
1 beti – Faatima.

♦ Aap ki nasl Hazrat Imaam Zain ul aabideen Ali al-Awsat rahmatullāhi alaihi se jaari hai.

**************
Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Aap Jung e Tabaristan (30 Hijri) me shaamil hue.

35 Hijri me jab raafziyo ne Ameer ul mo’mineen Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allahu ta’ala anhu ke makaan par ghera daala to tab Aap ne Hazrat Hasan ibn Ali, Hazrat Abdullāh ibn Zubair aur Marwaan ibn Hakam ke saath un ki hifaazat ke liye un ke ghar par pehra diya.

Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Aap Jung e Jamaal (Jamaadi-ul-awwal 36 Hijri) aur Jung e Siffin (Safar 37 Hijri ) me shaamil hue.

******************
Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke khalifa Hazrat Ali radiy-Allahu ta’ala anhu ke Silsila e tareeqat ke 4 khalifa me se  hain.

Aap Aa'imma e Ahle bait ke teesre Imaam hain.
Aap Imaam Hasan al-Mujataba radiy-Allāhu ta’ala anhu ke wisaal ke baad Imaam bane.

************
Rajab 60 Hijri me Hazrate Ameer Muawiya ke inteqaal ke baad un ke bete Yazeed ne Waleed Bin Uqba khat lekar bheja aur Madeena me Hazrat Husain ibn Ali, Abdullāh ibn Abu Bakr, Abdullāh ibne Umar Faarooq aur Abdullāh ibn Zubair radiy-Allāhu ta’ala anhuma ko bai'at ke liye kaha.

Aap ne Yazeed ibne Muawiya se bai'at karne se inkaar kiya.
Kyun ki Yazeed Faasiq tha aur har kaam khilaaf e shariat karta tha.

Jab Yazeed ka zulm badhne laga to Aap Maahe Sha’abaan 60 Hijri me Madeena se Makka tashreef le jaane ka faisla kiya taake Madeena munawwara me jung na ho aur khoon-rezi na ho.

Madeena munawwara se rawaangi se pehle raat ko naana jaan Huzoor Sarwar e Kaunain sallallāhu alaihi wa sallam ke Roza e anwar par haazir hue aur ro rokar haal arz kiya. Phir roza e anwar se lipatkar wahi so gaye. Khawaab me dekha ki naana jaan tashreef laaye hain. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Husain ko chuma aur sina e aqdas se laga liya aur farmaaya “Beta Husain! Anqareeb zaalim tumhe Karbala me bhuka pyaasa shaheed kar denge. Tere maa baap aur bhai tere intezaar me hain aur jannat tere liye sajaai jaa rahi hai. Us me aise darzaat e aaliya hain jo shaheed hue baghair tumhe nahi mil sakte. Jaao beta, sabr wa shukr se jaam e shahaadat nosh karke mere paas aa jao.”
Aap yeh khawaab dekhkar ghar aaye. Ahle bait ko jama karke yeh khawaab sunaaya aur Madeena se Makka jaane ka pakka iraada kar liya aur phir apne biradare akbar Hazrat Imaam Hasan radiy-Allāhu ta’ala anhu ke mazaar par haazir hue aur kalimaat e rukhsat kahe aur phir apni waalida Sayyeda faatim radi-Allāhu ta’ala anha ke mazaar par hazir hue aur arz kiya “Aye Ammi jaan! Tumhara Husain aaj tum se juda hone aaya hai aur aakhri salaam arz karta hai.” Qabr e anwar se aawaaz aai “Wa alaikum assalaam Ya mazloom.” Aap waha kuch der rote rahe aur phir waapas tashreef laaye aur subah ko Makka mukarrama ko rawaana ho gaye.

4 Sha’abaan 60 Hijri ko Aap Madeena ke liye rawaana hue.

******************
Karaamat e Imaam Husain

Jab Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu Madeena munawwara se Makka mukarrama ki taraf rawaana hue to raaste me Hazrat Ibne Mutti’ rahmatullāhi alaihi se mulaaqaat hui. Unho ne arz ki “Huzoor! Mere kuen me paani bahot kam hai. Bara e karam aap dua e barkat kijiye.” Aap ne us kuen ke paani ko talab farmaya. Jab paani ka dol haazir kiya gaya to aap ne munh lagakar us me paani piya aur us me kulli ki. Phir dol ke paani ko waapas kuen me daal diya. To kuen ka paani kaafi badh gaya aur pehle se zyada meetha aur lazeez bhi ho gaya.

******************
Jab Aap Makka mukarrama pahunche to Hazrate Abdullāh ibn Zubair radiy-Allāhu ta’ala anhu se mulaaqaat hui aur Aap ne un ke yaha qayaam farmaaya.

Kuchh mahine tak Aap Makka mukarrama me rahe.
Is dauraan Ahle Kufa ne Aap ko khat likhkar Kufa aane ke liye paighaam bheje.
Imaame Husain ko khat likhkar arz kiya gaya ke “Hamare sar par koi imaam nahi hai to Aap tashreef laaiye ke Aap ki barkat se hum ko haq ki himaayat naseeb ho.”
Ye pehla khat Abdullāh bin Subi'i Hamadani aur Abdullāh bin Daal ke haatho Imaame ki khidmat me bheja gaya. Jo 10 Ramazaan 60 Hijri ko Makkah mukarrama pahuncha. Is tarah har roz kai khat Aap ko Ahle Kufa ki taraf se milte rahe. Aur wo log khat me kehne lage ke “Agar aap bai'at ke liye Kufa tashreef na laaye to hume majbooran Yazeed se bai'at karni hogi.”
Aakhir me Hazrate Haani bin Haani Subi'i aur Saeed bin Abdullāh Hanafi ka khat milne par mashwara karke tay kiya gaya ke aap ke chachazaad bhai Hazrate Muslim bin Aqeel Kufa jaakar haalaat ka jaa'iza len aur phir Imaam Husain waha tashreef le jaayen.
Aap ne jawab likkha ke “Tum logon ke jazbaat wa aqeedat o mohobbat ka lihaaz karte hue me apne chachazaad bhai Muslim bin Aqeel ko bhej raha hu. Agar unho ne haalaat saazgaar hone ki khabar di to main bhi jald chala aaunga.”
Imaam Husain ne unhe Kufa ke qaasid Qays bin Saidawi, Ammarah ibn Abdullāh al-Saluli aur Abdur Rahmān ibn Abdullāh al-Azdi ke saath Kufa bheja.

********************
Hazrat Muslim bin Aqeel 15 Ramazaan 60 Hijri ko Makka se rawaana hue aur Madeena pahunche. Roza e Rasool par haazir hone ke baad jab apne ghar par tashreef le gaye aur saari baat batakar Kufa ke rawaana hone ki tayyaari kar rahe the tab aap ke 2 saahabzaade Muhammad aur Ibrāheem ne bhi un ke saath aane ki zid ki.
Dono saahabzaado ko saath lekar 5 Shawwaal ko Kufa pahunche aur Mukhtaar ibn Abu Ubaid al-Ṡaqafi ke ghar par thehre. Ahle Kufa ne un ka isteqbaal kiya aur bahot ta’azeem ki. 12000 logo ne un se bai'at ki. Chand din ke baad unho ne Imaam Husain ko qaasid ke saath Kufa waalo ke husn e sulook ke baare me aur aap ko Kufa tashreef laane ke liye paighaam bheja.

Muslim bin Yazeed Hajrami aur Ammara bin Waleed bin Uqaba ne Kufa Se khufiya tareeqe se Yazeed ko ittela de di. Yazeed ko jab Kufa ke haalaat ka pata chala to us ne Basra ke governer Ubaidullāh ibne Ziyad ko bulaakar Nomaan ibn Basheer ki jagah par use Kufa ka governor banaaya.
Ubaidullāh ibne Ziyad ne logo ko daraaya ke “Agar tum Yazeed ke khilaaf rahoge to tum logo ka bura anjaam hoga.” Hukoomat ke khuaf ki wajah se Kufa ke log aahista aahista Hazrat Muslim bin Aqeel ko chhodkar jaane lage.

Phir Hazrate Muslim Hazrate Haani bin Urwa ke ghar par aa gaye. Ibne Ziyad ne apne ghulaam Ma'aqil ko Hazrat Muslim ke saathiyo me saamil karaaya. Ma'aqil se khabar milne par Ibne Ziyad ne Hazrate Haani ko qaid kiya aur un par bahot zulm kiya.
Hazrat Muslim bin Aqeel khud ko bachaate hue Taw'ah naami aurat ke ghar par pahunche aur peene ke liye paani maanga. Us aurat ne haqeeqat jaankar aap ko panaah di. Magar us ke bete ne Ibne ziyad ko khabar de di. Hazrat Muslim bin Aqeel ko gher liya gaya. Aap ne bahaaduri ke saath sipaahiyo ka muqaabala kiya. Aakhir me wo log chhat par chadh gaye aur patthar phenkne lage au un ko qaid kar liya gaya aur un ko shaheed kar diya gaya. Aur is ke baad un ke dono saahabzaado ko bhi bhi shaheed kar diya gaya.

Is ke baad Hazrate Haani bin Urwa ko bhi shaheed kar diya gaya.
Phir Hazrate Muslim ke 2 bache Muhammad aur Ibrāheem ko bhi Haariṡ naai shakhs ne shaheed kar diye.
Phir in bacho ko madad karne ke liye qaid-khaane se baahar nikaalne waale Mashkoor naami daarogha ko bhi shaheed kar diya gaya.

******************
Lekin is duaraan Imaam Husain Ahle bait aur apne saathiyo ke saath Makka se Kufa tashreef le jaane ka faisla kar liya tha.
Jab Ahle Makka ko Imaame Husain ka Iraq ki taraf jaane ka pata chala to Hazrate Abdullāh bin Abbaas, Abdullāh bin Umar, Jaabir, Abu Saeed Khudri, Abu Waqid Laisi aur deegar Jaleel-ul-Qadr sahaaba Aap ke paas aaye aur arz ki ke “Aap Koofa hargiz na jaayen. Waha ke log laalachi hain. Aap ko dhoka de sakte hain.”
Aap ne farmaaya ke “Main ALLĀH se khair ka taalib hu. Dekhte hain ke kya hota hai.”

Aap 3 Zil Hijja 60 Hijri ko Tawaafe Ka’aba karke apne ahle bait aur aqaarib ke saath Makka mukarrama se Kufa ki taraf rawaana ho gaye.

Maqaame Zaat-ul-Irq par Baser bin Ghaalib Asadi se mulaaqaat hui jo Kufa se aa rahe the un se Kufa waalo ka haal puchha to unho ne jawaab diya ke “Huzoor! Kufa waalo ke dil aap ke saath hai aur talwaaren Bani Umayya ke saath hai.”
Maqaame Saffah par Farzaduk naami shaayar se mulaaqaat hui jo Kufa se aa rahe the un se Kufa waalo ka haal puchha to unho ne bhi yehi jawaab diya ke “Huzoor! Kufa waalo ke dil aap ke saath hai aur talwaaren Bani Umayya ke saath hai.”

*****************
Maqaame Batne Rooma pahunchkar Aap ne Hazrat Qays bin Mushir ke saath Kufa waalo ko ek khat bheja ke “Hazrate Muslim bin Aqeel ka khat hume mila. Is liye main anqareeb tumhare paas aa raha hu.”
Hazrat Qays bin Mushir Maqaame Qaadsiya par pahunche to Hasin bin Nameer ko bade lashkar ke saath padaaw daale dekha aur pata chala ke Ibne Ziyad ko ma’aloom ho chuka hai ke Imaame Husain Makka mukarrama se Kufa ke liye rawaana ho chuke hain. Is liye Ibne Ziyad ne tamaam raasto par sipaahiyo ki chokiya bitha di hai.
Yeh jaankar Hazrat Qays bin Mushir ne chaaha ke posheeda tor par waha se nikal jaaye. Lekin Hasin bin Nameer ne un ko giraftar kar liya aur Ibne Ziyad ke paas Kufa bhej diya. Ibne Ziyad ne Hazrat Qays bin Mushir se kaha ke “Main ek shart par tumhe chhod sakta hu ke Tum Jum'aa ke roz Kufa ki Jaama masjid ke mimbar par Husain ki buraai aur Yazeed ki ta’areef karo.”
Unho ne iqraar farma liya.  Magar Jum'aa ke roz mimbar par chadhe to Yazeed ki khabaasat bayaan karke Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ki khoob Ta’areef o tausif ki. Ibne Ziyad ne ghusse me aakar un ko chhat par chadwa kar teesri manzil se girakar shaheed kar diya.

****************
Jab Imaame Husain Manzile Batne Rooma se aage badhe to ek kunve par Hazrat Abdullāh bin Mutee'a se mulaaqat hui. Unho ne Aap se puchha “Aye Ibne Rasool-Allāh! Aap kaha tashreef le jaa rahe hain?” Aap ne apne safar ka maqsad bayaan kiya to Hazrat Abdullāh bin Mutee'a ne arz kiya “Aye Sibte Rasool! Main Aap ko Hurmate Islaam, Hurmate Arab aur Hurmate Quraish ka waasta deta hu ke aap Kufa tashreef na le jaayen. Waha yaqeenan shaheed kar diye jaayenge.”Aap ne farmaaya “Hume hargiz koi takleef na pahunchegi magar jo ALLAH ne hamari taqdeer me likha diya hai sirf wohi hoga.”

*****************
Maqaame Zarood par bulandi par ek khaima laga hua nazar aaya. Ma’aloom hua ke Hazrat Zahir bin Keen Bijli hain jo Hajj karke aaye hain aur Kufa jaa rahe hain. Imaame Husain ne unhe bulwaaya. Jab wo aaye aur qaafila e Ahle bait ko dekha to un ke chehre par khushi chha ghai. Apne saathiyo se kaha ke “Mera khaima Imaame Aali maqaam ke khaime ke saath laga do.” Phir farmaaya “Jise shahaadat ki tamanna ho wo mere saath rahe aur jo ghar jaana chaahe chala jaaye.” Phir apni biwi ko bulaakar kaha “Main Imaame Aali maqaam ke saath jaa raha hu. Ab Zindagi ka aitbaar nahi. Lihaaza tum mere maal me se jitna chaaho le lo aur apne waalidain ke ghar chali jaao.”  Biwi saahiba ne rote hue arz kiya “Aap Imaame Aali maqaam ki khidmat ke liye un ke saath jaa rahe hain to main bhi Sayyeda Faatima Zahra  radiy-Allāhu ta’ala anha ki saahabzaadiyo ki kaneez bankar chalungi.”

*****************
Maqaame Salba par pahunche Aap ko Hazrat Muslim aur Hazrat Haani bin Urwa ki shahaadat ki khabar mili. Aap ne baar baar padha “Inna lillāhi wa inna ilaihi raajioon.”

*****************
Aap Maqaame Sarat se kuchh aage badhe to theek dopahar ke waqt Hazrat Hoor ka lashkar raaste me mila. Us lashkar ne chaaro taraf se Aap ke qaafile ko gher liya.
Aap ne is kas maqsad jaanne ke liye aadami bheja to Hazrat Hoor khud haazire khidmat hue. Aap ne un ko dekhkar farmaaya “Aye Hoor! Yeh lashkar hamari madad ke liye aaya hai ya hume giraftaar karne ke liye?”
Hazrate Hoor ne jawaab diya “Huzoor! Yeh lashkar Ibne Ziyad ka hai aur Aap ke muhaasre ke liye hai. Mere zimme sirf yeh kaam hai ke main aap ko Kufa ke darwaaze tak pahuncha du.”
Zohar ki namaaz ka waqt hua to Aap ne Hazrat Hoor se kaha “Jaao, Tum apne lashkar ke saath namaaz padho, Main apne logo ke saath namaaz ada karunga.” Hazrat Hoor ne Aap ki iqtida me namaaz ada karne ke liye arz ki aur dono giroh ne Imaame Aali maqaam ki iqtida me namaaze zohar ada ki.
Namaaz se faarigh hokar Aap ne Hazrate Hoor aur un ke saathiyo ko bataaya ke “Main Kufa ke liye khud-ba-khud nahi aaya balke mujhe bulaane ke liye Ahle Kufa ne muttawaatir payaam aur musalsal khat bheje hain.”
Hazrat Hoor  ne qasam khaakar kaha ke “Huzoor! Mujhe is ka kuchh ilm nahi hai.”

Namaaze asr ada karne ke baad Ibne Ziyad ka qaasid ek khat lekar Hazrat Hoor   ke paas aaya, jis me likha tha ke “Husain ke qaafile ko aisi jagah rok lena ke jaha paani aur ghaas na ho.” Hazrat Hur ne Imaame Husain se iltija kio ke “Huzoor! Aap lashkar se saath aap ka qaafila lekar chalen. Jab raat me sab so jaayen to aap apne qaafile ke saath waha se dusri jaanib rawaana ho jaana. Main yeh keh dunga ke raat me sab log chale gaye aur hum be-khabar rahe.”
Chunaanche Imaam Husain raat me apne qaafile ke saath rawaana ho gaye. Raat bhar safar karne ke baad 2 Moharram Jumeraat ke roz Aap ka ghoda ek maqaam par rook gaya aur bahot koshish ke baad bhi aage na badha. Aap ne udhar se guzarne waale ek shaks se pucha ke “Is sar zameen ka naam kya hai?” Us ne kaha “Ise Mariya kehte hain.” Aap ne farmaaya “Is ka aur koi naam hai?” Us ne kaha “Ise Karbala bhi kehte hain.” Aap ne waha qayaam kiya.

Hazrat Hoor ne khufiya paighaam bhejkar Aap ko iltija ki ke “Huzoor! Karbala se aage kooch kar jaayen.” 7 Muharram 61 Hijri tak musalsal har raat ko Aap safar farmaate rahe. Magar Subah ko khud ko usi maqam par paate jaha se chale the. Aap jaan gaye ke yehi marzi e khuda hai. Chunaanche Aap ne wahi muqeem hone ka faisla kiya.

********************
Kufa ke governor Ubaidullāh ibne Ziyad  ne Umar ibn Sa’ad ki sardaari me ek bada lashkar bheja. Us lashkar ne Aap ko Karbala me gher liya.
Jab Ibne Ziyad ne Imaam Husain ko ye paighaam pahunchaya gaya ke “Agar ab bhi Yazeed se bai'at kar lo to amaan paaoge.” to Aap ne is ko qubool karne se inkaar kar diya aur farmaaya “Aise haalaat me main maut ko shahaadat aur zaalimo ke saath zinda rehne ko zillat maanta hu.”

Ibne Ziyad ke hukm par Amr bin Hajjaaj ne 500 sawaaro ke saath Nehr e Furaat (Euphrates) par qabza kar liya.
Yazeedi lashkar ne Imaam Husain aur aap ke saathiyo ke liye paani band kar diya aur be-shumaar gustaakhiya aur zulm kiye.

*******************
Jab jung ke ilaawa aur koi raasta baaqi na raha tab Aap ne Hazrate Abbaas ko  bhejkar paighaam diya ke “Aaj raat ki mohlat de do taake hum kuchh ibaadat kar len.” Unho ne ye baat maan li.

Raat ko Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ne apne saathiyo ko jama karke farmaaya “Aye mere saathiyo! Yazeed ki dushmani mujh se hai aur ye lashkar e baatil mujhe qatl karna chaahta hain. Aur ye munaasib nahi ki meri wajah se tum sab ki jaan ko khatra ho. Chunaache aap sab yaha se rawaana ho jaao aur salaamat jagah par chale jaao.”
Kuchh der tak koi khaime se baahar nahi gaya to Aap ne farmaaya “Lagta hai ki sab ke saamne yaha se jaane me tum log sharm mehsoos kar rahe ho. Is liye khaime ke tamaam chiraagh bujha do. Aur andhere me yaha se baahar nikal jaao.” Jab chiraagh waapas jalaaye gaye to aap ne dekha ki koi waha se baahar nahi gaya tha.
Tab aap ne farmaaya “Shaayad tum log yeh soch rahe ho ki mehshar me mere naana jaan Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke saamne kis tarah haazir honge. Magar main yeh zimmedaari leta hu ki main waha gawaahi dunga ki mere kehne par hi ye sab mujhe chhodkar gaye the ya phir ahle bait ke ek ek shakhs ko saath lekar yaha se chale jaao taake yeh keh saken ke ahle bait ki hifazat ke liye gaye the.”
Jab Aap ne yeh farmaaya to aap ke saathiyo ne arz kiya “Aye Imaam e aali maqaam! Aap hume yaha se jaane ke liye keh rahe hain. Magar hum aashiqaane Rasool hain aur aap ke wafadaar saathi hain. Aale Rasool ko museebat me chhodkar yaha se jaane waale nahi hain. Hum aap ke saath hi rahenge aur aap ki hifaazat ke liye apni jaano ki qurbaani denge. Aur qayaamat me bhi in shaa Allāh aap hi ke saath rahenge.”
Yeh sunkar Aap ka darya e rahmat josh me aaya aur bashaarat farmaai ke “Apne apne saro ko aasmaan ki taraf uthaao aur jannat me apne mahelo ko dekh lo.”

Phir Aap ne apne Ahle bait aur saathiyo ko naseehaten farmai aur saari raat ibaadat me guzaari.

******************
Is ke baad raat ko pichhle paher Aap apne khaime ke darwaaze par talwaar se tek lagaakar baithe the ke isi haalat me istigraak ki kaifiyat taari hui aur aankh lag gai. Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam aap ke khwaab me tashreef laaye aur farmaaya “Aye Husain! Mere dil ke chain, Main khoob jaanta hu ke dushman tumhare pichhe pade hain aur tumhe qatl karna chaahte hain. Beta, tum sabr wa shukr se is waqt ko guzaarna. Tere jitne qaatil hain qayaamat ke din meri shafa’at se mahroom rahenge aur tujhe shahaadat ka bahot bada darja milne waala hai. Ab jald hi tum humare paas aane waale ho. Tere waalidain jannat ke darwaaze par teri raah dekh rahe hain.” Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne aap ke sar wa seene par haath mubarak pherkar dua ki “Aye ALLĀH! Mere Husain ko sabr wa ajr inaayat farma.” Aap ki aankho se aansoo jaari ho gaye. Aap ki aawaaz sunkar Sayyeda Zainab waha aai to Aap bedaar hue aur Sayyeda Zainab ke puchhne par aap ne ye sab baaten batai. Yeh sunkar Aap ki humshira rone lagi. Aap ne unhe tasalli di.

****************
Dusre din Aap ne apne saathiyo ke saath namaaze fajr aur phir namaaze ishraaq ada ki.

Phir yazeedi lashkar se mukhaatib hokar shaandaar taqreer farmai.
Jise sunkar Hazrat Hur radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Ibne Sa’ad se kaha ke “Kya waqaai me tum log  Imaame Husain ke saath jung karoge?” Ibne Sa’ad ne kaha ke “Haan, Hum zaroor jung karenge.” Yeh sunkar Hazrate Hoor apne bete ke saath foran yazeedi lashkar se nikalkar Imaame Aali maqaam ki baargaah me haazir ho gaye aur arz kiya “Aye farzande Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Main wohi Hoor hu jo Aap ko manzile Suraat par mila tha aur aap ko roka tha. Ab main Baargaahe Rabbul aalameen me tauba karta hu. Kya meri tauba qubool ho sakti hai?” Aap ne farmaaya “Haan, ALLĀH ta’ala tumhari tauba qubool farmaega.”

Umar ibne Sa’ad aur Shimr ne kaha “Ab zyada guftagu mat karo aur jung ke liye tayyaar ho jaao.”
Shimr mabroos [ya’ani safed daago waala] tha. Use dekhkar Aap ne farmaaya “ALLĀH ta’ala aur us ek Rasool sallallāhu alaihi wa sallam sache hain. Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya tha ke ek ablak kutte ko dekhta hu jo mere ahle bait ke khoon me munh daal raha hai.”

*************
Aap ne Islaam ki hifaazat ke liye Yazeedi lashkar ke saath jung ki.
Aap ne Maymana par Hazrat Zaheer bin Qeen radiy-Allāhu ta’ala anhu ko muqarrar kiya. Maysara par Hazrat Habeeb bin Mazaahir radiy-Allāhu ta’ala anhu ko muqarrar kiya. Alam (Jhanda) apne Bhai Hazrat Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu ko diya.

Umar ibne Sa’ad ne Husaini lashkar ki jaanib teer chalaaya aur kaha “Tum sab gawaah ho jaao ke Husain par sab se pehle maine teer chalaaya hai.”
 Is ke baad foran yazeedi lashkar se 10,000 teer chalaaye gaye.
Phir Ziyad bin Abu Sufyaan ka aazaad karda ghulaam Yaasar aur Ibne Ziyad ka aazaad karda ghulaam Saleem maidaan me aaye aur muqaabale ke liye lalkaara. Un ke muqaabale ke liye Hazrat Habeeb bin Mazaahir aur Hazrat Bareer bin Hazeer  radiy-Allāhu ta’ala anhuma aage badhne lage. Magar Imaam ne unhe rok liya.
Phir Hazrate Abdullāh bin Umair Kalbi Imaame Aali maqam se ijaazat lekar aage aaye. Yaasar aur Saleem ne un se muqaabala karne se inkaar kiya. Magar unho ne talwaar chalaakar dono ko qatl kar diya aur phir jung karte hue shaheed ho gaye.
Un ki biwi Umme Wahab un ke sirhaane aaakar baithi un ke chehre se gard o gubaar saaf karte hue kaha “Tumhe jannat me jaana Mubarak ho.” Yeh sunkar Shimr ne ghusse me aakar apne ghulaam Rustam ko Umme Wahab ko maarne ke liye kaha. Us ne Umme Wahab ke sar par zor se lohe ka danda maara. Un ka sar phat gaya aur woh bhi shaheed ho gai.

Is tarah Aap ke jaan-nisaar aur wafaadaar saathi ek ke baad ek aap se ijaazat lekar maidaan e jung me aate rahe aur bahaaduri ke saath Yazeedi lashkar se jung karte rahe aur jaam e shahaadat nosh karte rahe. Tamaam ne azeem qurbaani pesh ki.
Jin me Hazrate Abdullāh bin Umair Kalbi, Hur bin Yazeed al-Tameemi, Muslim bin Ausaja al-Asadi, Zuhair ibn Qeen aur Habeeb ibn Muzaahir aur deegar aashiqaane ahle bait aur phir afraade ahle bait me se aap ke bhatije Hazrate Qaasim, Abu Bakr aur Abdullāh bin Hasan, aap ke bhaanje Hazrate Aun aur Muhammad ibn Abdullāh, aur aap ke bete Naujawaan Hazrte Ali akbar aur 6 maah ke Ali asghar, Aap ke bhai Hazrate Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu aur deegar bhai,  aur deegar Ahle bait shaheed ho gaye.

*****************
Is ke baad Husaini khaime me aap ke ilaawa chand aurten, chand bache aur shadeed beemaar Hazrat Zainul aabideen Ali ibn Husain baaqi rahe.
Imaam e Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Quba-e-Misri Pehni, Amaama Rasool-e-Khuda baandha, Sapar (dhaal)-e--Hamza aur Zulfikar-e-Ali Murtaza lekar maidaan ne jung me jaane ka iraada kiya.

Maidaan e jung me jaane se pehle Aap Hazrat Zainul aabideen ke paas aaye to unho ne bistar se uthne ki koshish karte hue kaha ke “Aye Abba jaan! Abhi main maujood hu. Is liye aap se pehle mujhe maidaan e jung me jaane ki ijaazat den.” Magar beemaari aur kamzori ke sabab khade na ho paaye. Imaame Husain ne farmaaya ke “Aye mere bete! Rab ta’ala ki ye hi marzi hai ke tum meri shahaadat ke baad Ahle bait ki aurto ki hifaazat karo aur tum se hi meri nasl jaari rahegi.”
Phir Imaam e Husain ne Hazrat Zainul aabideen ko Khilaafat aur Imaamat ata farmai. Aur woh phir se be-hosh ho gaye.

Is ke baad Aap ne apne Ahle bait se wa’az aur naseehat farmaai ke “Meri judaai aur museebat par sabr karna. Jab main maara jaaun to hargiz munh aur seena na peetna aur baal na nochna aur girebaan chaak na karna. Aye bahen Zainab! Tum Faatima Zahra ki beti ho. Jis tarah unho ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki judaai par sabr kiya tha usi tarah tum bhi meri museebat par sabr karna.”

******************
Is ke baad aap maidaan e jung me aaye.
Pehle aap ne khutba diya aur farmaaya “Aye logo! Mujhe pehchaano, Mujhe Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Jannati jawaano ka sardaar bataaya hai. Agar ye nahi maante to kam se kam ye to yaad karo ke main Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam nawaasa hu aur aaj puri dunya me mere siwa aur koi nabi ka nawaasa maujood nahi. Main Ali ka beta hu aur Faatima ka peesar hu. Agar tum jung rok do aur hume salaamat jaane do to main tumhe muaf kar dunga. Tum me se koi mere bhai ka qaatil hoga, koi mere bhatije ka aur bhaanje ka qaatil hoga, koi mere naujawaan bete Ali akbar ka aur koi mere bete Ali asghar ka qaatil hoga. Magar main use bhi muaf kar dunga. Magar tum yeh mat samajhna ke Husain dar gaya hai. Agar Islaam ki azmat aur waqaar ki hifaazat ke liye meri qurbaani bhi deni pade to main is ke liye bhi tayyaar hu.”

Zaalim yazeedi lashkar waale na maane to Islaam ki hifaazat ke liye Aap maidaane jung me aa gaye aur aisi shuja’at dikhaai ki lashkar ko bhaagne ka raasta dikhai nahi deta tha.
Aap jab ek jagah rook kar khade ho gaye. Jaz'az naami ek zaalim ne aage badhkar aap par talwaar se hamla kiya. Aap ne us ka haath pakadkar aisa jhatka diya ke us ka haath kandhe se juda ho gaya.  Ab zaalimo ne door se hi teer chalaana shuru kiya. Chaaro taraf se teer aur nejo ki baarish hone lagi. Ek teer aap ki peshaani mubarak par laga aur khoon ka fawwaara jaari gaya. Aap ne us chullu me lekar apne chehre par mal liya.
Aakhir me jab aap ghode se girkar neeche tashreef laaye to ek zaalim ne aap ko teer maara jo aap ke halak par lag gaya. Phir chand zaalimo ne aap ko gher liya. Jar’aa ibn Shuraik ne aap ke dast e mubarak par talwaar maari, Shimr ibn Zil-Jawshan aap ke gale mubarak par talwaar maari aur Sinaan ibn Anas ne pusht mubarak par neza maara. Phir Shimr ibn Zil-Jawshan aap ke seene ke upar chadh gaya to aap ne us se 2 rak'at namaaz ada karne ke liye mohlat maangi.
Dopahar dhal chuki thi. Aap maidaane jung me hi namaaz e zohar padhna shuru kiya. Dauraan e namaaz haalat e sajda me Shimr ibn Zil-Jawshan ne khanjar se aap ko shaheed kar diya aur Khauli bin Yazeed ne aap ke sar ko kaatkar jism se juda kar diya.

Imaam ne jung ke duraan namaaz ke liye sajde me sar rakha magar ye aisa bemiṡaal sajda ban gaya ke sajde se sar waapas utha nahi.

*****************
Is tarah Aap ne Karbala me Islaam ki hifaazat ke liye baatilo ke khilaaf jung ki aur apne khaandaan aur jaan-nisaar saathiyo ki qurbaani di aur khud bhi shaheed ho gaye.
Aur Mo’mino ko ye dars e amal diya ke hamesha haq ka saath dena, Aur koi bhi pareshaani ho Sabr aur Namaaz se ALLĀH ta’ala se madad talab karna.

**************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Abdullāh Yemeni naami Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ke mureed tijaarat ke liye  jahaaz me saamaan ke saath samundar me safar kar rahe the. 10 Moharram 61 Hijri ko dopahar ke waqt jahaaz toofaan me phans gaya. Jab laga ke jahaaz doob jaayega to unho ne Imaam ko yaad karke istighaaṡah ki ke “Aye farzande Rasool! Khabar lijiye.”
Foran ek naqaab-posh buzurg tezi se paani ke upar ghoda daudate hue tashreef laaye jin ke kapdo par gard o gubaar aur khoon ke chheente hain Aur dono haatho se ek nanhe bache ko gale lagaaye hue hain. Us bache ke hulkum se khoon ke qatre tapak rahe hain.
Toofaan ke andar ghode ko laakar jahaaz ke paas tashreef laaye. Haath to khaali nahi the. Lihaaza apne daahine baazu se jahaaz ko sahaara dekar toofaan se baahar pahunchaaya.

Hazrat Abdullāh Yemeni ne ye hairat afroz manzar dekhkar arz kiya “Huzoor! Aap kaun hain?” Us buzurg ne apne chehre se naqaab hataaya to dekha ke Imaame Husain jalwa afroz hain.
Hazrat Abdullāh Yemeni be-chain hokar arz kiya “Aye Aaqa! Meri jaan aap par qurbaan, mere maa-baap aap par qurbaan, Main Sarkaar ko kis haal me dekh raha hu.”
Imaame Aali maqaam farmaaya “Aye Abdullāh Yemeni! Mere naana jaan ka kalma padhne waale aur un ke ummati kehlaane waale zaalimo ne Maidaane Karbala me mere qaafile ko ghera hai. Chaahte hai ke faasiq o faajir, be-namaazi Yazeed se bai'at karke Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ke deen e paak ko paamaal kar du.”

**************
Aap 10 Moharram 61 Hijri (10 October 680 A.D.) ko Jum’aa ke roz shaheed hue.

Aap ka mazaar Karbala (Iraq) me hai.

*************
Shaheed e aazam Imaam e Aali maqaam ki karaamat shahaadat ke baad bhi jaari hai.
Shahaadat ke baad bhi aap ka sar mubarak Tilaawat e Qur’an kar raha tha.

Hazrate Zaid bin Arqaam radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ke
Jab yazeediyo ne Imaame aali maqam Sayyeduna Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ke sare anwar ko naize par chadha kar Kufa ki galiyo me gasht kiya us waqt main apne makaan ke baalakhane par tha.
Jab sare mubarak mere samne se guzra to maine suna ke sare paak ne Qur’an majeed ki Surah al-Kahf ki Aayat -9 tilaawat farmai.
Tarjuma : “Kya tumhe ma'aloom hua ke pahaad ki khoh (gaar) aur jangal ke kinaare wale hamari ek ajeeb nishaani the.”

Ek buzurg se riwaayat hai ke Jab yazeediyo ne Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ke sare mubarak ko naize se utarkar Ibne Ziyad ke mahel me daakhil kiya to aap ke muqaddas honth hil rahe the aur zabaane aqdas par Surah Ibrāheem ki aayat - 42 ki tilaawat jaari thi.
Tarjuma : “Aur hargiz ALLĀH ta’ala ko be-khabar na jaanna zaalimo ke kaam se.”

**************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Shohada e Karbala aur Ahle bait waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments